SHAWORDS

mohabbaton mein udaas ho kar rahaa na jaae — Gul Afshan

HomeGul AfshanGhazal
"mohabbaton mein udaas ho kar rahaa na jaae udaas mausam kaa tazkira bhi kiyaa na jaae milo to aise ki aaina aaine se jaise dilon mein ranjish yaa bughz rakh kar milaa na jaae main chaahti huun baghair mere na rah sake tu main chaahti baghair tere rahaa na jaae khayaal rakhiye safar mein apne bhi ham-safar kaa qadam se aage qadam baDhaa kar chalaa na jaae jo lafz mujh mein taDap rahe hain ve kyaa kareinge kisi bure ko agar buraa bhi kahaa na jaae"
Urdu

محبتوں میں اداس ہو کر رہا نہ جائے اداس موسم کا تذکرہ بھی کیا نہ جائے ملو تو ایسے کہ آئنہ آئنے سے جیسے دلوں میں رنجش یا بغض رکھ کر ملا نہ جائے میں چاہتی ہوں بغیر میرے نہ رہ سکے تو میں چاہتی بغیر تیرے رہا نہ جائے خیال رکھیے سفر میں اپنے بھی ہم سفر کا قدم سے آگے قدم بڑھا کر چلا نہ جائے جو لفظ مجھ میں تڑپ رہے ہیں وے کیا کریں گے کسی برے کو اگر برا بھی کہا نہ جائے

Hindi

मोहब्बतों में उदास हो कर रहा न जाए उदास मौसम का तज़्किरा भी किया न जाए मिलो तो ऐसे कि आइना आइने से जैसे दिलों में रंजिश या बुग़्ज़ रख कर मिला न जाए मैं चाहती हूँ बग़ैर मेरे न रह सके तू मैं चाहती बग़ैर तेरे रहा न जाए ख़याल रखिए सफ़र में अपने भी हम-सफ़र का क़दम से आगे क़दम बढ़ा कर चला न जाए जो लफ़्ज़ मुझ में तड़प रहे हैं वे क्या करेंगे किसी बुरे को अगर बुरा भी कहा न जाए

mohabbatoñ meñ udaas ho kar rahā na jaa.e
Gul Afshan
Gul Afshan
Gul Afshan
poet6 quotes

More by Gul Afshan

View all →
Quote
"ranj mein raahat kyaa hoti hai tum kyaa jaano jaanaan hasrat kyaa hoti hai tum kyaa jaano ab tak mujh patthar ko taraashaa kab hai tum ne koi murat kyaa hoti hai tum kyaa jaano ghusse mein bhi ham ko chup rahnaa paDtaa hai jaan muravvat kyaa hoti hai tum kyaa jaano dhyaan rahe ki ham ko tumhaari aadat bhi hai lekin aadat kyaa hoti hai tum kyaa jaano saat janam ko becho phir bhi kam paD jaae dil ki qimat kyaa hoti hai tum kyaa jaano tum kyaa jaano nafrat ke paimaane kyaa hain aur mohabbat kyaa hoti hai tum kyaa jaano chehra laal sharaabi aankhein ho jaati hain pyaar ki rangat kyaa hoti hai tum kyaa jaano"
Gul AfshanGul Afshan
Quote
"ghalat-fahmi hai tum ko ham tumhaare to nahin hain hamaari aankh mein aise ishaare to nahin hain hamaare ho to phir aao hamaaraa saath bhi do masaail zindagi ke sab hamaare to nahin hain udaasi ko udaasi kyuun nahin taslim karte miri palkon pe aansu hain sitaare to nahin hain main baahar khvaab se aa bhi gai to kyaa karungi miri duniyaa mein kuchh achchhe nazaare to nahin hain mahaaz-aaraai jaari hai abhi so laD rahe hain abhi ham laD rahe hain jang haare to nahin hain magar ye kaise aalam aa rahe hain yaad mujh ko ki aise roz-o-shab main ne guzaare to nahin hain pari kahte ho mujh ko aur kabhi tum huur saahab hamaare khaal-o-khad kuchh itne pyaare to nahin hain"
Gul AfshanGul Afshan

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil