"ye havaa kaisi chali barham zamaana ho gayaa haal-e-dehli bazm-e-aalam mein fasaana ho gayaa dil kisi fard-e-bashar kaa khaali is gham se nahin gham ye shaae ku-ba-ku khaana-ba-khaana ho gayaa har sar-e-mizhgaan na ho favvaara-e-khun kis tarah gham-zadon ke dil mein jab gham kaa khazaana ho gayaa ek ho to roiye kis kis ko roein yaad kar dekh kar us haadisa ko dil divaana ho gayaa dekhte hi dekhte aankhon mein aage apne yaan dam ke dam mein aur hi kuchh kaarkhaana ho gayaa aah gulgun-e-bahaar-e-gulshan dehli ko 'aish' mauja-e-baad-e-khizaan kyaa taaziyaana ho gayaa"
mujh se puchhe hain vo ki kyaa hai dil — Hakeem Aagha Jan Aish
"mujh se puchhe hain vo ki kyaa hai dil kyaa kahun khaana-e-khudaa hai dil kyaa kahun kyaa buri balaa hai dil us ki zulfon se jaa guthaa hai dil teri furqat mein ai but-e-dam-baaz ho ke aankhon se khuun bahaa hai dil mil ke us se huaa miraa dushman dekh kyaa sakht bevafaa hai dil jab se aashiq huaa huun us kaa main raat-din sirf muddaaa hai dil unsur-e-khaak sard dil ye garm kaun si khaak se banaa hai dil ai muhavvis jo yaar ke dar par khaak hoe to kimiyaa hai dil gham-e-hijraan mein ho ke qatra-e-khun nok-e-mizhgaan pe aa rahaa hai dil siine mein ik khaTak si hai bas aur ham nahin jaante ki kyaa hai dil yaad mein us ke tir-e-mizhgaan ke hadaf-e-naavak-e-balaa hai dil tujh se koi bhalaa mile kyuun kar teraa har harf khud judaa hai dil qadr-e-dil 'aish' koi kyaa jaane makhzan-e-raaz-e-kibriyaa hai dil"
مجھ سے پوچھے ہیں وہ کہ کیا ہے دل کیا کہوں خانۂ خدا ہے دل کیا کہوں کیا بری بلا ہے دل اس کی زلفوں سے جا گتھا ہے دل تیری فرقت میں اے بت دمباز ہو کے آنکھوں سے خوں بہا ہے دل مل کے اس سے ہوا مرا دشمن دیکھ کیا سخت بے وفا ہے دل جب سے عاشق ہوا ہوں اس کا میں رات دن صرف مدعا ہے دل عنصر خاک سرد دل یہ گرم کون سی خاک سے بنا ہے دل اے مہوس جو یار کے در پر خاک ہوئے تو کیمیا ہے دل غم ہجراں میں ہو کے قطرۂ خوں نوک مژگاں پہ آ رہا ہے دل سینہ میں اک کھٹک سی ہے بس اور ہم نہیں جانتے کہ کیا ہے دل یاد میں اس کے تیر مژگاں کے ہدف ناوک بلا ہے دل تجھ سے کوئی بھلا ملے کیوں کر تیرا ہر حرف خود جدا ہے دل قدر دل عیشؔ کوئی کیا جانے مخزن راز کبریا ہے دل
मुझ से पूछे हैं वो कि क्या है दिल क्या कहूँ ख़ाना-ए-ख़ुदा है दिल क्या कहूँ क्या बुरी बला है दिल उस की ज़ुल्फ़ों से जा गुथा है दिल तेरी फ़ुर्क़त में ऐ बुत-ए-दम-बाज़ हो के आँखों से ख़ूँ बहा है दिल मिल के उस से हुआ मिरा दुश्मन देख क्या सख़्त बेवफ़ा है दिल जब से आशिक़ हुआ हूँ उस का मैं रात-दिन सिर्फ़ मुद्दआ' है दिल उंसुर-ए-ख़ाक सर्द दिल ये गर्म कौन सी ख़ाक से बना है दिल ऐ मुहव्विस जो यार के दर पर ख़ाक होए तो कीमिया है दिल ग़म-ए-हिज्राँ में हो के क़तरा-ए-ख़ूँ नोक-ए-मिज़्गाँ पे आ रहा है दिल सीने में इक खटक सी है बस और हम नहीं जानते कि क्या है दिल याद में उस के तीर-ए-मिज़्गाँ के हदफ़-ए-नावक-ए-बला है दिल तुझ से कोई भला मिले क्यूँ कर तेरा हर हर्फ़ ख़ुद जुदा है दिल क़द्र-ए-दिल 'ऐश' कोई क्या जाने मख़्ज़न-ए-राज़-ए-किबरिया है दिल
More by Hakeem Aagha Jan Aish
View all →"aap ke ishq mein ham se to zamaana chhuTaa tum se afsos na ik ghair kaa milnaa chhuTaa be-hijaabaana the baiThe hue aghyaar ke paas dekhte hi mujhe daalaan kaa parda chhuTaa rind to rind aji zaahid-o-vaaiz se bhi to dekhte hi use tasbih-o-musalllaa chhuTaa havas-e-dil mein khudaa jaane ki kyaa lazzat hai ki jo lab se na kabhi harf-e-tamannaa chhuTaa taank-jhaank aap ki vaisi hi buDhaape mein bhi hai 'aish' buDhe bhi hue par vo na lapkaa chhuTaa"
"tujh mein us gul se rang-o-bu kam hai vo ziyaada hai is mein tu kam hai ho koi kyon mughaan kaa minnat-kash apnaa piine ko kyaa lahu kam hai dil se insaan ke ye hoti kab havas-o-hirs-o-aarzu kam hai ahl-e-ghairat ko ai falak kyaa kuchh marg hai minnat-e-adu kam hai dekh kar us bahaar-e-khubi ko ho gayaa gul kaa rang-o-bu kam hai baat baaqi hai aur kaun si 'aish' kyaa hui us se guftugu kam hai"
"kaifiyyat aisi hai nigah-e-mast-e-khvaab mein zaahid bhi dekh le to nahaave sharaab mein kyon kyaa kaheinge hazrat-e-yusuf javaab mein chori kiyaa hai dil jo zulekhaa kaa khvaab mein honTon ko tar to karte ho qadh-e-sharaab mein aisaa na ho ki aag lage aaftaab mein hai josh-e-girya ab bhi vo chashm-e-pur-aab mein dariyaa ke dam ko band kiyaa hai habaab mein likkhaa hai aashiqon ne ye dil ki kitaab mein hain pand mana sunne mohabbat ke baab mein chin-bar-jabin ho kis kaa paDaa aks aab mein is tarah mauj-e-bahr jo hai pech-o-taab mein bu aur maza vo hai tire munh ke luaab mein goyaa ghulaa hai qand-e-mukarrar gulaab mein shaayad ki azm-e-kucha-e-jaanaan hai dil ko aaj bhejaa hai pahle jaan ko jo paa-turaab mein gardish hai us ki chashm ko hasti mein yaa kahin nargis kaa phuul tair rahaa hai sharaab mein apnaa to vaqt yaad karo tum ne shaikh ji kyaa kyaa maze uDaae hain ahd-e-shabaab mein suntaa hai ham-nashin nigah-e-naaz be-tarah ghar kar gai hai is dil-e-khaana-kharaab mein chechak ke daagh us rukh-e-taabaan pe dekh lo taare khile na dekhe hon gar aaftaab mein mat ghusl diijo dast-e-hinaai kaa huun shahid nahlaa chukaa hai dashna mujhe khun-e-naab mein le chakh to shokhi-e-lab-o-namkini-e-zaqan kyaa khuub nuun mirch hain dil ke kabaab mein us ki si kuchh yahin nahin kahte hain daad-gar sab mil ke vaan bhi cheind kareinge hisaab mein ab yaan se kaabe khaak uDaane chale hain shaikh bahr-e-savaab khaak paDe is savaab mein baatein sunaa sunaa ke Daraaeinge apne saath zaahid na saaniyo tu kisi ko azaab mein miltaa nahin kuchh aur gar ai chaaraagar tujhe laachaar kuchh to chain paDe iztiraab mein zakhmon pe dil ke suda-e-almaas hi chhiDak hal kar ke ho so ho namak-o-mushk-e-naab mein zabt-e-fughaan mein Dar hai mujhe 'aish' dil kahin siine se baahar aa na paDe iztiraab mein"
"jaan-e-muztar ko na ho kyuun dil-e-betaab se haz hotaa ahbaab ko hai sohbat-e-ahbaab se haz nigah-e-mast se paataa hai vo dil kaifiyyat hoe makhmur ko jis tarah mai-e-naab se haz kyaa kahun furqat-e-jaanaan mein ki jo guzre hai puchhe ab is kaa koi maahi-e-be-aab se haz ahl-e-dil paate hain jamiyyat-e-dil se lazzat ahl-e-duniyaa ko hai jamiyyat-e-asbaab se haz dekh kar ru-e-butaan jaan mazaa paati hai andalibon ko na ho kyuun gul-e-shaadaab se haz kartaa bad-haz hai faqat taala-e-bedaar ko khvaab varna har jaagne vaale ko milaa khvaab se haz jab na ho saath vo mah-ru shab-e-mahtaab mein 'aish' kyaa uThe khaak bataao shab-e-mahtaab se haz"
"yuun baat kisi ki ham kab yaar uThaate hain dil tum ko diyaa is se laachaar uThaate hain ham matlab-e-dil chaahein gardun se ye kyaa mumkin aazaad-manash us ke kab aar uThaate hain bahkaane se ghairon ke kyaa kiije ilaaj is kaa har baat mein vo mujh se takraar uThaate hain munh kyaa hai falak teraa koh-e-gham-e-hijraan kaa ye hazrat-e-dil hi hain jo baar uThaate hain ham tufta-jigar zaalim hai kuchh bhi khabar tujh ko ulfat mein tiri kyaa kyaa aazaar uThaate hain ik jumbish-e-abru hi ushshaaq ko kaafi hai kyuun qatl ko vo un ke talvaar uThaate hain kuchh 'aish' sunaa tu ne us bazm mein aashiq par tufaan nae kyaa kyaa aghyaar uThaate hain"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"