"zindagaani ko adam-aabaad le jaane lagaa har guzartaa din kisi ki yaad le jaane lagaa ek mahfil se uThaayaa hai dil-e-naashaad ne ek mahfil mein dil-e-naashaad le jaane lagaa kis taraf se aa rahaa hai kaarvaan asbaab kaa kis taraf ye khaanumaan-barbaad le jaane lagaa ik sitaara mil gayaa thaa raat ki tamsil mein aasmaanon tak miri fariyaad le jaane lagaa main hi apni qaid mein thaa aur main hi ek din kar ke apne aap ko aazaad le jaane lagaa"
mujhe udaas kar gae ho khush raho — Fazil Jamili
"mujhe udaas kar gae ho khush raho mire mizaaj par gae ho khush raho mire liye na ruk sake to kyaa huaa jahaan kahin Thahar gae ho khush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanvar gae ho khush raho udaas ho kisi ki bevafaai par vafaa kahin to kar gae ho khush raho gali mein aur log bhi the aashnaa hamein salaam kar gae ho khush raho tumhein to meri dosti pe naaz thaa isi se ab mukar gae ho khush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire liye to mar gae ho khush raho"
مجھے اداس کر گئے ہو خوش رہو مرے مزاج پر گئے ہو خوش رہو مرے لیے نہ رک سکے تو کیا ہوا جہاں کہیں ٹھہر گئے ہو خوش رہو خوشی ہوئی ہے آج تم کو دیکھ کر بہت نکھر سنور گئے ہو خوش رہو اداس ہو کسی کی بے وفائی پر وفا کہیں تو کر گئے ہو خوش رہو گلی میں اور لوگ بھی تھے آشنا ہمیں سلام کر گئے ہو خوش رہو تمہیں تو میری دوستی پہ ناز تھا اسی سے اب مکر گئے ہو خوش رہو کسی کی زندگی بنو کہ بندگی مرے لیے تو مر گئے ہو خوش رہو
मुझे उदास कर गए हो ख़ुश रहो मिरे मिज़ाज पर गए हो ख़ुश रहो मिरे लिए न रुक सके तो क्या हुआ जहाँ कहीं ठहर गए हो ख़ुश रहो ख़ुशी हुई है आज तुम को देख कर बहुत निखर सँवर गए हो ख़ुश रहो उदास हो किसी की बेवफ़ाई पर वफ़ा कहीं तो कर गए हो ख़ुश रहो गली में और लोग भी थे आश्ना हमें सलाम कर गए हो ख़ुश रहो तुम्हें तो मेरी दोस्ती पे नाज़ था इसी से अब मुकर गए हो ख़ुश रहो किसी की ज़िंदगी बनो कि बंदगी मिरे लिए तो मर गए हो ख़ुश रहो

More by Fazil Jamili
View all →"milne kaa bhi aakhir koi imkaan banaate mushkil thi agar koi to aasaan banaate rakhte kahin khiDki kahin gul-daan banaate divaar jahaan hai vahaan daalaan banaate thoDi hai bahut ek masaafat ko ye duniyaa kuchh aur safar kaa sar-o-saamaan banaate karte kahin ehsaas ke phulon ki numaaish khvaabon se nikalte koi vijdaan banaate tasvir banaate jo ham is shokh-adaa ki laazim thaa ki muskaan hi muskaan banaate us jism ko kuchh aur sameTaa huaa rakhte zulfon ko zaraa aur pareshaan banaate kuchh din ke liye kaam se fursat hamein milti kuchh din ke liye khud ko bhi mehmaan banaate do jism kabhi ek badan ho nahin sakte milti jo koi ruuh to yak jaan banaate"
"khvaab mein dekh rahaa huun ki haqiqat mein use main kabhi dekh nahin saktaa musibat mein use vo miraa yaar-e-tarah-daar ki khush-fahm bhi hai koi dhoka hi na de jaae mohabbat mein use zindagi ho to kai kaam nikal aate hain yaad aaungaa kabhi main bhi zarurat mein use ik taalluq thaa ki shishe ki tarah TuuT gayaa joD saktaa hi nahin main kisi surat mein use aaj tak jism miraa TuuT rahaa hai 'faazil' main ne dekhaa thaa kabhi niind ki haalat mein use"
"tum ne puchhaa hai to ahvaal bataa dete hain varna chehre bhi mah-o-saal bataa dete hain ruuh kaa haal bhi ai kaash bataae koi dil ki haalat to khad-o-khaal bataa dete hain ab maraasim bhi bisaaton pe saje mohre hain kaun si kis ne chali chaal bataa dete hain kis mein ab kitni uDaanon ki sakat baaqi hai har parinde ke par-o-baal bataa dete hain dil ke ghunche bhi the maasum hamaare jaise kis ke haathon hue paamaal bataa dete hain haakim-e-vaqt ko kis kis ne salaami di hai kis ki taali mein hai sur-taal bataa dete hain ghar ki divaar se girte hue roghan ki tarah ab miri umr mire baal bataa dete hain"
"daastaanon mein mile the daastaan rah jaaeinge umr buDhi ho to ho ham naujavaan rah jaaeinge shaam hote hi gharon ko lauT jaanaa hai hamein saahilon par sirf qadmon ke nishaan rah jaaeinge ham kisi ke dil mein rahnaa chaahte the is tarah jis tarah ab guftugu ke darmiyaan rah jaaeinge khvaab ko har khvaab ki taabir milti hai kahaan kuchh khayaal aise bhi hain jo raaegaan rah jaaeinge kis ne sochaa thaa ki rang-o-nur ki baarish ke baad ham faqat bujhte charaaghon kaa dhuaan rah jaaeinge zindagi be-naam rishton ke sivaa kuchh bhi nahin jism kis ke saath honge dil kahaan rah jaaeinge"
"apne hone ke jo aasaar banaane hain mujhe jaane kitne dar-o-divaar banaane hain mujhe khud ko rakhnaa bhi nahin jins-e-giraan ki surat bikne vaalon ke bhi meaar banaane hain mujhe tere qadmon mein bichhaane hain zamini raste aur apne liye kohsaar banaane hain mujhe apne jaisaa koi dushman bhi zaruri hai bahut tere jaise bhi kai yaar banaane hain mujhe silsila TuuT na jaae miri vahshat kaa kahin naqsh qadmon ke lagaataar banaane hain mujhe tu kabhi dhuup mein nikle bhi to chhaanv mein rahe raaste aur bhi chhitnaar banaane hain mujhe main rahun yaa na rahun teri kahaani to rahe apne jaise kai kirdaar banaane hain mujhe"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"