SHAWORDS

muntashir har shai qarine se sajaa di jaaegi — Ehteram Islam

HomeEhteram IslamGhazal
"muntashir har shai qarine se sajaa di jaaegi yaa mire kamre ki shakhsiyyat miTaa di jaaegi saath rakhiye kaam aaegaa bahut naam-e-khudaa khauf gar jaagaa to phir kis ko sadaa di jaaegi aag bhaDkegi havaa paa kar baDaa sach ye nahin sach baDaa ye hai ki shoalon ko havaa di jaaegi be-Thikaana yuun kiyaa jaaegaa ik jaltaa charaagh taaqche mein mom ki guDiyaa biThaa di jaaegi aaina haalaat kaa aaegaa jo bhi dekhne koi umda si ghazal us ko sunaa di jaaegi bolne par koi paabandi nahin kuchh boliye haan magar aavaaz uTThegi dabaa di jaaegi sar-ba-kaf ho jaaeinge pir-o-javaan sab dekhnaa desh ki khaatir mataa-e-jaan luTaa di jaaegi ghair-mumkin kuchh nahin duniyaa mein lekin 'ehtiraam' aap ki sohbat bhalaa kaise bhulaa di jaaegi"
Urdu

منتشر ہر شے قرینے سے سجا دی جائے گی یا مرے کمرے کی شخصیت مٹا دی جائے گی ساتھ رکھئے کام آئے گا بہت نام خدا خوف گر جاگا تو پھر کس کو صدا دی جائے گی آگ بھڑکے گی ہوا پا کر بڑا سچ یہ نہیں سچ بڑا یہ ہے کہ شعلوں کو ہوا دی جائے گی بے ٹھکانہ یوں کیا جائے گا اک جلتا چراغ طاقچے میں موم کی گڑیا بٹھا دی جائے گی آئنہ حالات کا آئے گا جو بھی دیکھنے کوئی عمدہ سی غزل اس کو سنا دی جائے گی بولنے پر کوئی پابندی نہیں کچھ بولئے ہاں مگر آواز اٹھے گی دبا دی جائے گی سر بکف ہو جائیں گے پیر و جواں سب دیکھنا دیش کی خاطر متاع جاں لٹا دی جائے گی غیرممکن کچھ نہیں دنیا میں لیکن احترامؔ آپ کی صحبت بھلا کیسے بھلا دی جائے گی

Hindi

मुंतशिर हर शय क़रीने से सजा दी जाएगी या मिरे कमरे की शख़्सिय्यत मिटा दी जाएगी साथ रखिए काम आएगा बहुत नाम-ए-ख़ुदा ख़ौफ़ गर जागा तो फिर किस को सदा दी जाएगी आग भड़केगी हवा पा कर बड़ा सच ये नहीं सच बड़ा ये है कि शोलों को हवा दी जाएगी बे-ठिकाना यूँ किया जाएगा इक जलता चराग़ ताक़चे में मोम की गुड़िया बिठा दी जाएगी आइना हालात का आएगा जो भी देखने कोई उम्दा सी ग़ज़ल उस को सुना दी जाएगी बोलने पर कोई पाबंदी नहीं कुछ बोलिए हाँ मगर आवाज़ उट्ठेगी दबा दी जाएगी सर-ब-कफ़ हो जाएँगे पीर-ओ-जवाँ सब देखना देश की ख़ातिर मता-ए-जाँ लुटा दी जाएगी ग़ैर-मुमकिन कुछ नहीं दुनिया में लेकिन 'एहतिराम' आप की सोहबत भला कैसे भुला दी जाएगी

muntashir har shai qarīne se sajā dī jā.egī
Ehteram Islam
Ehteram Islam
Ehteram Islam
poet16 quotes

More by Ehteram Islam

View all →
Quote
"bazm-e-tanhaai mein aks-e-shoala-paikar thaa koi yaa hamaare saamne yaadon kaa lashkar thaa koi qurbaton ke ghaaT par sukhi nadi saabit huaa faaslon ke dasht mein gahraa samundar thaa koi us ki saari iltijaaein hukm Thahraai gaiin jis ghaDi dekhaa gayaa jaame se baahar thaa koi devtaa hai ab vahi mandir ke aasan par jamaa Thokarein khaataa huaa raste kaa patthar thaa koi us ki khvaahish thi ki sath-e-aab par chal kar dikhaae kyaa muqaddar thaa ki dariyaa kaa muqaddar thaa koi karb apne baune-pan kaa jheltaa huun aaj tak soch ubhri thi bujhi mere baraabar thaa koi saamne us ke agar suraj nahin thaa 'ehtiraam' paani paani aakhirash kyuun shoala-paikar thaa koi"
Ehteram IslamEhteram Islam
Quote
"fazaa-e-shaam ziyaa-e-sahar usi se mili kashish hayaat ko al-mukhtasar usi se mili usi se mujh ko milaa ishtiyaaq manzil kaa mire safar ko fazaa-e-safar usi se mili buland martaba-e-musht-e-khaak usi ne kiyaa tamaam fahm-o-zakaa-o-nazar usi se mili ghurur khud pe jise jis qadar bhi ho lekin mili jise bhi mata-e-hunar usi se mili usi ne zulmat-e-gum-gashtagi ko duur kiyaa talaash-e-haq ko rah-e-mo'tabar usi se mili ataa karegaa hamein bhi vahi ridaa-e-ziyaa ki jugnuon ko qabaa-e-sharar usi se mili vo be-khabar hai nahin ehtiraam jis ko khabar ki aadmi ko mili har khabar usi se mili"
Ehteram IslamEhteram Islam
Quote
"tauqir andheron ki baDhaa di gai shaayad ik shama jo raushan thi bujhaa di gai shaayad phir dar-badari hone lagi us kaa muqaddar phir shauq ke shoalon ko havaa di gai shaayad mauhum nazar aataa hai ab josh-e-mulaaqaat kuchh garmi-e-ehsaas ghaTaa di gai shaayad is baar bhi shoalon ne machaa Daali tabaahi is baar bhi shoalon ko havaa di gai shaayad Tiktin nahin duniyaa-e-haqiqat pe nigaahein khvaabon ki koi bazm sajaa di gai shaayad aa Thahri thi jo zabt ke asraar se bach kar aankhon se vahi buund giraa di gai shaayad qaatil ko biThaayaa gayaa sar par mire hote mujh ko meri auqaat bataa di gai shaayad"
Ehteram IslamEhteram Islam
Quote
"haadson kaa silsila manzar-ba-manzar jam gayaa har kisi ke dhaD pe ik firaun kaa sar jam gayaa khaak ki kashti tale sone kaa saaghar jam gayaa dida-e-be-khvaab mein khvaab-e-sikandar jam gayaa mausamon ke biich ki duuri kaa andaaza lagaao bah gae parbat pighal kar aur samundar jam gayaa laDkhaDaa kar gir paDi unchi imaarat dafatan dafatan taa'mir ki kursi pe khanDar jam gayaa rifat-e-charkh-e-barin mahdud ho kar rah gai jab saron par dhund kaa saffaak lashkar jam gayaa dida-e-gurba se kyaa phuTi shuaa-e-jaan-guzaa phaDphaDaayaa tak nahin zinda kabutar jam gayaa ahl-e-duniyaa se mujhe to koi andesha na thaa naam teraa kis liye mere labon par jam gayaa"
Ehteram IslamEhteram Islam
Quote
"surkh mausam ki kahaani hai puraani ho na ho aasmaan kaa rang aage aasmaani ho na ho khvaab mein mujh ko nazar aati hain bhigi sipiyaan aankh khulne par tiri aankhon mein paani ho na ho saath hoti hai mire har gaam par sanjidgi ho rahi hai duur ab mujh se javaani ho na ho har jagah niklegi teri baat mujh ko dekh kar tazkira teraa kahin meri zabaani ho na ho raushni dete raheinge mujh ko zakhmon ke charaag ab andhere mein kahin se zau-fishaani ho na ho ik taraf meri anaa hai ik taraf teri khushi aa gayaa mere liye pal imtihaani ho na ho zahr kaa paani mein honaa tai-shuda hai 'ehtiraam' aagahi ke ghaaT par dariyaa mein paani ho na ho"
Ehteram IslamEhteram Islam
Quote
"ghaiz kaa suraj thaa sar par sach ko sach kahtaa to kaun raas aataa kis ko mahshar sach ko sach kahtaa to kaun sab ne paDh rakkhaa thaa sach ki jiit hoti hai magar thaa bharosa kis ko sach par sach ko sach kahtaa to kaun maan rakhtaa kaun vish kaa kaun apnaataa salib koi iisaa thaa na shankar sach ko sach kahtaa to kaun thaa kisi kaa bhi na maqsad sach ko jhuTlaanaa magar munh mein rakh kar luqma-e-tar sach ko sach kahtaa to kaun aadmi to khair se basti mein milte hi na the devtaa the so the patthar sach ko sach kahtaa to kaun sab haqiqat mein ubhartaa jab bhi sach lagtaa na thaa khvaab mein hote ujaagar sach ko sach kahtaa to kaun yaad thaa 'suqraat' kaa qissa sabhi ko 'ehtiraam' sochiye aise mein baDh kar sach ko sach kahtaa to kaun"
Ehteram IslamEhteram Islam

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari