Quote
"gardish mein aaina ho na kyuun rozgaar kaa chullu mein khuun liye huun dil-e-be-qaraar kaa bhaDki hui thi surkh gulon se chaman mein aag daaman na jal gayaa ho nasim-e-bahaar kaa aae hain le ke ghair ko vo puchhne mizaaj tum ne gila kiyaa thaa dil-e-be-qaraar kaa mahshar ki bhi umiid pe be car jaan di kyaa e'tibaar vaada-e-be-e'tibaar kaa itni to aarzu hai kabhi yaad kar lein dost shaayad kabhi phir aae zamaana bahaar kaa saaghar ubal rahe hain to shishon mein josh hai niklaa hai khich ke dam jo kisi baada-khvaar kaa tum aae kyaa ki rang-e-zamaana badal gayaa gul ho gayaa charaagh hamaare mazaar kaa tasvir ki ragon mein lahu dauDne lagaa kyaa aa gayaa jahaan mein mausam bahaar kaa"
J
Javed Lakhnvi