Quote
"baa'd muddat ke mujh se milaa aaina dekh kar mujh ko hairaan huaa aaina us ne mujh se ta'alluq kiyaa munqata’ jis kisi ko bhi main ne diyaa aaina jaa-ba-jaa 'aks meraa thaa bikhraa huaa haath se jab mire gir gayaa aaina us ko banne-sanvarne se fursat nahin haath us ke hai jab se lagaa aaina roz dekhun main chehra kharaashon bharaa roz dene lagaa hai sazaa aaina har koi mujh se nazrein churaane lagaa jab se 'afzal' main jag mein banaa aaina"
