"dil-e-viraan bhi thaa maskan kisi kaa usi mein nuur thaa raushan kisi kaa gaDhi hai aarzu zinda hai hasrat kisi kaa ghar hai dil madfan kisi kaa bapaa hai shor-e-mahshar qatl-gah mein kisi kaa haath hai daaman kisi kaa do-aalam ko tah-o-baalaa na kar de badalnaa naaz hai chitvan kisi kaa gulistaan mein zaraa jaa kar to dekho kisi ki khandgi shevan kisi kaa bharosaa charkh par ai dil na karnaa huaa kab dost ye pur-fan kisi kaa charaagh-e-ishq hai aansu se raushan kisi kaa khun-e-dil roghan kisi kaa tamannaa shauq se nigaraan hai is mein kisi kaa zakhm-e-dil rauzan kisi kaa 'jamila' dasht mein kahti thi ro kar ilaahi dil na ho dushman kisi kaa"
pahlu ko tire ishq mein viraan nahin dekhaa — Jameela Khuda Bakhsh
"pahlu ko tire ishq mein viraan nahin dekhaa is dil ko kabhi khaali-az-armaan nahin dekhaa surat ko miri dekh ke hairat hai tumhein kyaa tum ne to miraa haal-e-pareshaan nahin dekhaa muusaa hue behosh tajalli-e-laqaa se taalib the magar jalva-e-jaanaan nahin dekhaa rote hain gunaahon pe vahi jin mein hai imaan kaafir ko kabhi ham ne pashemaan nahin dekhaa dekhaa jo miraa daagh-e-jigar hans ke vo bole aisaa to charaagh-e-tah-e-daamaan nahin dekhaa ai dard-e-jigar chain zaraa lene de mujh ko tujh saa bhi koi jaan kaa khvaahaan nahin dekhaa sar kaT ke giraa shauq se qaatil ke qadam par aisaa bhi koi banda-e-ehsaan nahin dekhaa rone pe miri tum ko tahayyur ye abas hai kyaa tum ne kabhi abr ko giryaan nahin dekhaa dekhi hai bahut aap ne aaine ki hairat aashiq kaa magar dida-e-hairaan nahin dekhaa sar-gashta vo sahraa-e-musibat mein na hogaa jis ne tiri zulfon ko pareshaan nahin dekhaa puchhaa jo 'jamila' se to vo mujh se ye bole dil saa to koi dusraa aivaan nahin dekhaa"
پہلو کو ترے عشق میں ویراں نہیں دیکھا اس دل کو کبھی خالی از ارماں نہیں دیکھا صورت کو مری دیکھ کے حیرت ہے تمہیں کیا تم نے تو مرا حال پریشاں نہیں دیکھا موسیٰ ہوئے بے ہوش تجلئ لقا سے طالب تھے مگر جلوۂ جاناں نہیں دیکھا روتے ہیں گناہوں پہ وہی جن میں ہے ایماں کافر کو کبھی ہم نے پشیماں نہیں دیکھا دیکھا جو مرا داغ جگر ہنس کے وہ بولے ایسا تو چراغ تہ داماں نہیں دیکھا اے درد جگر چین ذرا لینے دے مجھ کو تجھ سا بھی کوئی جان کا خواہاں نہیں دیکھا سر کٹ کے گرا شوق سے قاتل کے قدم پر ایسا بھی کوئی بندۂ احساں نہیں دیکھا رونے پہ مری تم کو تحیر یہ عبث ہے کیا تم نے کبھی ابر کو گریاں نہیں دیکھا دیکھی ہے بہت آپ نے آئینہ کی حیرت عاشق کا مگر دیدۂ حیراں نہیں دیکھا سرگشتہ وہ صحرائے مصیبت میں نہ ہوگا جس نے تری زلفوں کو پریشاں نہیں دیکھا پوچھا جو جمیلہؔ سے تو وہ مجھ سے یہ بولے دل سا تو کوئی دوسرا ایواں نہیں دیکھا
पहलू को तिरे इश्क़ में वीराँ नहीं देखा इस दिल को कभी ख़ाली-अज़-अरमाँ नहीं देखा सूरत को मिरी देख के हैरत है तुम्हें क्या तुम ने तो मिरा हाल-ए-परेशाँ नहीं देखा मूसा हुए बेहोश तजल्ली-ए-लक़ा से तालिब थे मगर जल्वा-ए-जानाँ नहीं देखा रोते हैं गुनाहों पे वही जिन में है ईमाँ काफ़िर को कभी हम ने पशेमाँ नहीं देखा देखा जो मिरा दाग़-ए-जिगर हँस के वो बोले ऐसा तो चराग़-ए-तह-ए-दामाँ नहीं देखा ऐ दर्द-ए-जिगर चैन ज़रा लेने दे मुझ को तुझ सा भी कोई जान का ख़्वाहाँ नहीं देखा सर कट के गिरा शौक़ से क़ातिल के क़दम पर ऐसा भी कोई बंदा-ए-एहसाँ नहीं देखा रोने पे मिरी तुम को तहय्युर ये अबस है क्या तुम ने कभी अब्र को गिर्यां नहीं देखा देखी है बहुत आप ने आईने की हैरत आशिक़ का मगर दीदा-ए-हैराँ नहीं देखा सर-गश्ता वो सहरा-ए-मुसीबत में न होगा जिस ने तिरी ज़ुल्फ़ों को परेशाँ नहीं देखा पूछा जो 'जमीला' से तो वो मुझ से ये बोले दिल सा तो कोई दूसरा ऐवाँ नहीं देखा

More by Jameela Khuda Bakhsh
View all →"khaali aashiq se kabhi kucha-e-jaanaan na rahaa kaun si shab vo thi jis mein koi giryaan na rahaa dekhiye naakhun-e-vahshat ke sabab aashiq kaa taar-e-daamaan na rahaa taar-e-garebaan na rahaa shaikh kyaa vaaz sunaataa hai dikhaane ke liye dil mein tasvir-e-sanam hai tiraa imaan na rahaa ho gayaa saath dil-e-zaar ke vo bhi rukhsat maaya-e-zist jo apnaa thaa vo armaan na rahaa ham-safiro na kaho naghma-zani ko mujh se ab chali baad-e-khizaan aur gul-e-khandaan na rahaa rukh dikhaate hi kiyaa mahv-e-tamaashaa tu ne kab tiraa shefta aaina saa hairaan na rahaa ashk-e-dida to hue khushk 'jamila' kah do khizr tum aae to kyaa chashma-e-haivaan na rahaa"
"sozish-e-shola-e-furqat se fanaa ho jaanaa maraz-e-gham ke liye hai ye davaa ho jaanaa sahl hai naavak-e-mizhgaan kaa qazaa ho jaanaa ghamza-e-chashm kaa aasaan hai jafaa ho jaanaa aarzu tujh se ye kahtaa huun shab-e-furqat mein khud duaa honaa kabhi dast-e-duaa ho jaanaa surat-e-khaak-e-gulistaan mein na rahnaa ai dil misl-e-bu daaman-e-gulshan se judaa ho jaanaa daagh ban kar to rahaa daaman-e-qaatil pe magar bu-e-khun bahr-e-khudaa bu-e-vafaa ho jaanaa be-qaraari se to raahat ho koi dam haasil jism se jaan-e-hazin jald judaa ho jaanaa shab-e-gham dil se 'jamila' ne yahi ro ke kahaa mil ke miTTi mein to naqsh-e-kaf-e-paa ho jaanaa"
"kaisi hai aah apni tabiat bhari hui aankhon mein ashk ashk mein hasrat bhari hui aTkheliyaan na kar tu nasim-e-sahar ki hai rag rag mein un gulon ki nazaakat bhari hui kyuun be-sabab hujum-e-tamannaa-o-yaas se hai is dil-e-hazin ki imaarat bhari hui kis jaa karegaa mayyat-e-ushshaaq dafn tu yaan hai shahid-e-naaz ki turbat bhari hui gar jaam tu pilaae to piinaa halaal hai tujh mein to saaqiyaa hai malaahat bhari hui kyuun kar gadaa na tere ghani huun sanam ki hai dast-e-karam mein tere sakhaavat bhari hui ifshaa-e-raaz-e-ishq na ho khauf hai yahi chhupti nahin hai aankh mohabbat bhari hui tum dekh lo 'jamila' ki dil gham huaa na ho aankhon mein un ke kyuun hai nadaamat bhari hui"
"kar diyaa zulf-e-pareshaan saa pareshaan mujh ko dasht mein chhoD gayaa hai dil-e-naadaan mujh ko daagh-e-yaaraan-e-vatan thaa jo dil-e-mahzun mein vo nazar aayaa charaagh-e-tah-e-daamaan mujh ko jaan-kani se kahin achchhaa hai miraa mar jaanaa nim-bismil na banaa naavak-e-mizhgaan mujh ko jalva-e-subh-e-qayaamat kaa maza detaa hai chaak-e-dil chaak-e-jigar chaak-e-garebaan mujh ko murgh-e-dil daam mein gesu ke ulajh kar na kahe ho mubaarak tumhein gulshan to ye zindaan mujh ko jalva-e-husn-e-khudaa-daad dikhaa kar dilbar misl-e-aaina kiyaa aap ne hairaan mujh ko apnaa apnaa ye muqaddar hai kahun kyaa vaa'iz mahfil-e-vaaz tujhe mahfil-e-rindaan mujh ko apni tanhaai pe rotaa huun baDi hasrat se apnaa pahlu jo nazar aataa hai viraan mujh ko ghuncha-e-zakhm-e-jigar khil ke dikhaa dete hain chaman-e-ishq sanam kaa gul-e-khandaan mujh ko mehmaan gosha-e-turbat kaa mujhe honaa hai kyuun na marghub ho ye gor-e-gharibaan mujh ko minnatein maut ki kartaa huun to vo kahti hai zindagi ne to kiyaa teraa nigahbaan mujh ko she'r-goi nahin sikhi hai 'jamila' main ne meri fitrat ne kiyaa saahab-e-divaan mujh ko"
"hujum-e-ranj-o-alam hai ye nim-jaan ke liye jafaa vo karte hain 'aashiq pe imtihaan ke liye buton ke jaur-o-jafaa par main sabr kartaa huun yahaan ke vaaste kuchh hai to kuchh vahaan ke liye khudaa ke vaaste rahne de apne dar pe use banaa hai sang ye dil tere aastaan ke liye hamaare pahlu-e-ghamgin mein haif ye dil-e-zaar nazaakaton se palaa ulfat-e-butaan ke liye Tapak ke dida-e-pur-nam se kyuun na gir jaataa banaa lahu miraa dil chashm-e-khun-chakaan ke liye havaa-e-tund khudaa ke liye na chheD mujhe ghubaar-e-raah banaa huun main kaarvaan ke liye kiyaa hai dard-e-dil-e-zaar ne use aajiz labon pe jaan-e-hazin aai hai fughaan ke liye 'jamila' taa-dar-e-mahbub kis tarah jaaun qadam uThaanaa hai dushvaar naa-tavaan ke liye"
More on Dil
View all →"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"