Quote
"rahegaa yaad tu jab tak hayaat baaqi hai ki teri yaadon ki ik kaaenaat baaqi hai guzar rahaa hai ye be-rang zindagi kaa safar na din hi baaqi rahaa hai na raat baaqi hai tumhaari yaad ke raushan charaagh har su hain shab-e-firaaq se milni najaat baaqi hai abhi na bazm-e-sukhan se uThaaiye mujh ko kisi nazar kaa abhi iltifaat baaqi hai na kaam aai hamaare jo karbalaa mein kabhi balaa se apni jo mauj-e-furaat baaqi hai tamaam umr chale ishq ki Dagar 'mukhtaar' magar safar mein abhi pul-siraat baaqi hai"
