SHAWORDS

phir rag-e-shoala-e-jaan-soz mein nashtar guzraa — Abdul Hadi Wafa

"phir rag-e-shoala-e-jaan-soz mein nashtar guzraa naala kyuun aabla-e-dil se ulajh kar guzraa main huun dil-daari-e-afsun-e-vafaa par naazaan jo raqibon pe na guzraa thaa vo mujh par guzraa kyaa muhit-e-mai-e-be-rang mein tufaan aayaa josh-e-rang anjuman-e-naaz se baahar guzraa tishna-e-hasrat-e-jaaved huun main kyaa jaanun kyuun gale se mire talkhaaba-e-kausar guzraa aao mere dil-e-afsurda ki tamkin dekho jaao is kashmakash-e-naaz se main dar-guzaraa luT gai jaan to ummid ke pahlu DhunDe miT gai raah to andesha-e-rahbar guzraa is takalluf se gai umr-e-giraan-maaya 'vafaa' ek dam sainkaDon barson ke baraabar guzraa"
Urdu

پھر رگ شعلۂ جاں سوز میں نشتر گزرا نالہ کیوں آبلۂ دل سے الجھ کر گزرا میں ہوں دل دارئ افسون وفا پر نازاں جو رقیبوں پہ نہ گزرا تھا وہ مجھ پر گزرا کیا محیط مئے بے رنگ میں طوفاں آیا جوش رنگ انجمن ناز سے باہر گزرا تشنۂ حسرت جاوید ہوں میں کیا جانوں کیوں گلے سے مرے تلخابۂ کوثر گزرا آؤ میرے دل افسردہ کی تمکیں دیکھو جاؤ اس کشمکش ناز سے میں در گزرا لٹ گئی جان تو امید کے پہلو ڈھونڈے مٹ گئی راہ تو اندیشۂ رہبر گزرا اس تکلف سے گئی عمر گراں مایہ وفاؔ ایک دم سینکڑوں برسوں کے برابر گزرا

Hindi

फिर रग-शो'ला-ए-जाँ-सोज़ में नश्तर गुज़रा नाला क्यूँ आबला-ए-दिल से उलझ कर गुज़रा मैं हूँ दिल-ए-दारी-ए-अफ़्सून-ए-वफ़ा पर नाज़ाँ जो रक़ीबों पे न गुज़रा था वो मुझ पर गुज़रा क्या मुहीत-ए-मय-ए-बे-रंग में तूफ़ाँ आया जोश-ए-रंग अंजुमन-ए-नाज़ से बाहर गुज़रा तिश्ना-ए-हसरत-ए-जावेद हूँ मैं क्या जानूँ क्यूँ गले से मिरे तल्ख़ाबा-ए-कौसर गुज़रा आओ मेरे दिल-ए-अफ़सुर्दा की तमकीं देखो जाओ इस कश्मकश-ए-नाज़ से मैं दर-गुज़रा लुट गई जान तो उम्मीद के पहलू ढूँडे मिट गई राह तो अंदेशा-ए-रहबर गुज़रा इस तकल्लुफ़ से गई उम्र-ए-गिराँ-माया 'वफ़ा' एक दम सैंकड़ों बरसों के बराबर गुज़रा

phir rag-e-sho.ala-e-jāñ-soz meñ nashtar guzrā
Abdul Hadi Wafa
Abdul Hadi Wafa
Abdul Hadi Wafa
poet17 quotes

More by Abdul Hadi Wafa

View all →
Quote
"be-kasi ne ghar banaayaa mere ghar ke saamne ro rahaa huun baiTh kar divaar-o-dar ke saamne bas-ki nairang-e-taghaaful thaa nazar ke saamne maut bhi khoi gai kyaa banjar ke saamne ibrat-e-vaamaandgaan huun hasrat-e-vaaraftagaan ik taraf baiThaa huaa huun rahguzar ke saamne shauq-e-rusvaai ko bhi khaaka uDaanaa thaa zarur hashr ik tasvir-e-aksi hai nazar ke saamne bakht-e-bad ne fitna-e-roz-e-jazaa ke parde mein aaina rakkhaa junun-e-be-khabar ke saamne umr baDhti hai fareb-e-aarzu ki yaad mein aarzu miTti hai us bedaad-gar ke saamne hon vo mast-e-sheva-e-saaqi ki saaghar ki tarah sainkaDon maikhaane phirte hain nazar ke saamne intizaar-e-shauq ki ye naa-tamaami haae haae mar gayaa huun naama de kar naama-bar ke saamne bakht-e-mehnat-aazmaa ki naa-rasaai haae haae miT gayaa huun jaada-e-raah-e-safar ke saamne raahzan ko DhunDhtaa hai shauq-e-aazaadi talab shikva-e-baad-e-garaan hai raahbar ke saamne aaine se khinchte hain goyaa bahut hi saade hain vo na Thahre apni chashm-e-fitnagar ke saamne haan abhi bazm-e-khayaal-e-ghair se aayaa huun main tum na aanaa mere shauq-e-parda-dar ke saamne rahguzaar-e-kaarvaan-e-aarzu ab miT gayaa manzilein thiin dil ki pahlu mein jigar ke saamne ai 'vafaa' qatra bhi hai shaamil kamaal-e-bahr mein aib ho kar aae ham ahl-e-hunar ke saamne"
Abdul Hadi WafaAbdul Hadi Wafa
Quote
"dil mein rah kar chhupaa kare koi aankh ban kar hayaa kare koi ham ne maanaa vafaa kare koi chaara-e-yaas kyaa kare koi us ki shokhi pukaare kahti hai khul gae ham chhupaa kare koi tiri mahfil se fitna-gar kab tak dard ban kar uThaa kare koi naaz hai apni be-niyaazi par vaqf-e-mehnat rahaa kare koi sabr-e-ayyub se gharaz kis ko shukr-e-neamat adaa kare koi rashk-e-dushman bhi hai aziiz mujhe teri baatein kiyaa kare koi donon aalam ko kyaa karun le kar qimat-e-dil adaa kare koi tu bigaaDe to phir banaae kaun tu jo ruThe to kyaa kare koi jurat-e-naaz taab-farsaa hai kyaa kahe aur kyaa kare koi sar-e-mahshar bhi ye taqaazaa hai haan hamaaraa gilaa kare koi haae kis dil se kah diyaa us ne ghair ban kar milaa kare koi daulat-e-husn-o-ishq baDhti jaae aap kosein duaa kare koi kaash vo intizaar-e-marg sahi dard ho kar davaa kare koi apne aaine se mukaddar ho khaak tum par miTaa kare koi dil huaa zauq-e-dard se khaali ab namak-daan bharaa kare koi zakhm kambakht ji churaane lagaa namak-afshaan huaa kare koi ai 'vafaa' baad mirzaa-'ghaalib' ke haan ghazal yuun likhaa kare koi"
Abdul Hadi WafaAbdul Hadi Wafa
Quote
"hairat ko muzhda garm hai baazaar-e-aaina khubaan-e-khud-numaa hain kharidaar-e-aaina haan 'aashiqon ko kashmakash-e-jaur se faraagh vo hai asir-e-shaana giraftaar-e-aaina mujh ko bhi yuun hai zaanu-e-hasrat se vaasta tu jaise har ghaDi hai nigah-daar-e-aaina dallaal chashm-e-shokh hai qimat nazaara hai aur husn be-hijaab kharidaar-e-aaina naakaam tiri diid se hain khvaab mein bhi ham laaein kahaan se taalea-e-be-daar-e-aaina husn-e-'amal ki daad sikandar ko mil gai vo rashk-e-aaina hai talabgaar aaina"
Abdul Hadi WafaAbdul Hadi Wafa
Quote
"bhuul kar pahlu-e-ummid main aayaa na gayaa jo pataa ham ko bataayaa thaa vo paayaa na gayaa qalam-andaaz-e-fanaa huun miri vaqat dekho main huun vo harf-e-mukarrar jo miTaayaa na gayaa is takalluf pe kahaan lutf ham-aaghoshi kaa aap se pahlu-e-tasvir mein aayaa na gayaa vo adaa aur thi ye aur hai phir aur sahi be-niyaazi se koi rang jamaayaa na gayaa is rukaavaT mein bhi nairang-e-dil-aavezi hai ruuTh jaane ki hai khubi ki manaayaa na gayaa de diyaa taaq se aaina uThaa kar un ko haal mujh se dil-e-hairaan kaa dikhaayaa na gayaa varaq-e-hashr lagaayaa hai adam ke pichhe jab miraa haal khamoshi se jataayaa na gayaa rabt-o-be-rabti-e-anfaas se kuchh bhi na huaa ye ghubaar-e-gham-e-dil thaa ki uDaayaa na gayaa bekasi-haa-e-tamannaa se hayaa aane lagi teri tasvir ko siine se lagaayaa na gayaa dekhnaa charkh-e-jafaa-kaar ki majburi ko is tarah ham ko giraayaa ki uThaayaa na gayaa ai 'vafaa' aarzu-e-marg ne ji chhoD diyaa dast-e-ahbaab se ab zahr bhi khaayaa na gayaa"
Abdul Hadi WafaAbdul Hadi Wafa
Quote
"kaam aasaan nazar aayaa mujhe mushkil ho kar haasil-e-umr milaa hasrat-e-haasil ho kar do jahaan mujh ko mile hain tapish-e-dil ho kar ik nazar dekh to luun dida-e-bismil ho kar kis par aataa hai ye ilzaam khudaa khair kare mein tumhein bhuul gayaa ghair pe maail ho kar kaun si baat hai aaine mein jo mujh mein nahin baiTh to jaao zaraa mere muqaabil ho kar vahshat-e-be-kasi-e-shauq liye jaati hai naqsh-e-paa aage baDhaa duri-e-manzil ho kar khvaahish-e-marg sar-e-rishta-e-ummid sahi aakhir uljhe na kahin vo girah-e-dil ho kar parda-poshi bhi maze de gai allaah allaah saamne aai ajal khanda-e-qaatil ho kar nashsha-e-khvaab-e-adam surma-e-bedaari hai aankhein khul jaati hain is parda mein ghaafil ho kar saf-e-mehshar hai miraa halqa-e-aaghosh nahin kyaa bache jaate ho aghyaar mein shaamil ho kar dil mein rah kar bhi tamannaa ki khabar rakhte nahin qaafile saikDon guzre pas-e-mahmil ho kar meri nazron mein hai khurshid-e-qayaamat ki numud barson pahlu mein rahaa aabla-e-dil ho kar aankhein phir uThne lagin sharm kaa parda ban kar lo vo phir aate hain rang-e-rukh-e-mahfil ho kar gila-e-tishnagi-e-shauq hai ik tul-e-amal mil gae khaak mein aakhir lab-e-saahil ho kar tira-bakhti se milaa roz-e-jazaa ko hissa rah gayaa hai rukh-e-afsos pe ik til ho kar saaf aataa hai nazar tum ho miTaane vaale kyaa kiyaa parda-e-taqdir ne haail ho kar ahl-e-duniyaa ki taraf dast-e-duaa kyon uTThein bhiik aghyaar se ik dost ke saail ho kar jalva un kaa hai kalim un ke hain aiman un kaa tuur kyon jalne lagaa beach mein haail ho kar asar-e-ghamza-e-shirin dil-e-khusrav mein sahi rah gayaa sinaa-e-farhaad agar sil ho kar ai 'vafaa' taalea-e-naashaad ko rashk aataa hai ham rahe jaate hain nuqsaan mein kaamil ho kar"
Abdul Hadi WafaAbdul Hadi Wafa
Quote
"do-jahaan ko nigah-e-ijz se aksar dekhaa ham ne ummid ko hirmaan ke baraabar dekhaa taalea-e-be-hunari auj-e-falak par dekhaa jis jagah vahm na pahunchaa thaa vahaan sar dekhaa is bure vaqt mein bhi laakh se achchhaa huun main main ne maa'shuq ke parda mein muqaddar dekhaa kyaa kahun qissa-e-dilchaspi-e-haal-e-abtar doston ne mujhe aghyaar se baDh kar dekhaa ai ajal khuub bataayaa vo qayaamat hogi jis ke aaghosh mein tu ne dil-e-muztar dekhaa bekasi-haa-e-tamannaa ne sulaayaa hai mujhe phir na jaagungaa agar khvaab mein mahshar dekhaa yaar jab parda-nashin hai to kahaan kaa parda parda ye hai ki use parde se baahar dekhaa paanv phailaae hain bejaa havas-e-duniyaa ne ham ne duniyaa hi ko lipTaa huaa bistar dekhaa is khule zulm ne sab khol diye hain parde ham ne dekhaa tujhe sau baar sitamgar dekhaa Tapkaa paDtaa hai rag-e-shauq se khun-e-hasrat kyaa 'vafaa' dast-e-qazaa mein koi nashtar dekhaa"
Abdul Hadi WafaAbdul Hadi Wafa

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud