Quote
"sahraa-e-karbalaa-e-rah-e-aashiqaan ke biich khushbu si phuTti hai yahaan ham-rahaan ke biich ranj-e-shikam taa-tishna-labi sabr haa-o-hu ye guftugu nahin hai suhulat-garaan ke biich ab bhi charaagh puuri tamaazat se hai faroz khargaah-e-khaanvaada-e-shahzaadgaan ke biich teghaa-e-dushmanaan se qalam ho rahe hain sar lekin hain sarfaraaz saf-e-dushmanaan ke biich sehn-e-abu-turaab ki chaukhaT hai karbalaa yaa'ni husain dam hai gham-e-khaandaan ke biich"
