SHAWORDS

qaasid-e-mast-gaam mauj-e-sabaa — Majeed Amjad

HomeMajeed AmjadGhazal
"qaasid-e-mast-gaam mauj-e-sabaa koi ramz-e-khiraam mauj-e-sabaa vaadi-e-barf kaa koi sandes mere ashkon ke naam mauj-e-sabaa koi mauj-e-khayaal mein bahti manzilon kaa payaam mauj-e-sabaa so simaTti masaafaton kaa tilism teri karvaT kaa naam mauj-e-sabaa tere daaman ki khushbuon mein hain gham sau suhaane maqaam mauj-e-sabaa aati patjhaD ke saath lauTte vaqt ik bahaarein payaam mauj-e-sabaa ik naved-e-nigaah-e-paik-e-habib ik javaab-e-salaam mauj-e-sabaa"
Urdu

قاصد مست گام موج صبا کوئی رمز خرام موج صبا وادیٔ برف کا کوئی سندیس میرے اشکوں کے نام موج صبا کوئی موج خیال میں بہتی منزلوں کا پیام موج صبا سو سمٹتی مسافتوں کا طلسم تیری کروٹ کا نام موج صبا تیرے دامن کی خوشبوؤں میں ہیں غم سو سہانے مقام موج صبا آتی پت جھڑ کے ساتھ لوٹتے وقت اک بہاریں پیام موج صبا اک نوید نگاہ پیک حبیب اک جواب سلام موج صبا

Hindi

क़ासिद-ए-मस्त-गाम मौज-ए-सबा कोई रम्ज़-ए-ख़िराम मौज-ए-सबा वादी-ए-बर्फ़ का कोई सन्देस मेरे अश्कों के नाम मौज-ए-सबा कोई मौज-ए-ख़याल में बहती मंज़िलों का पयाम मौज-ए-सबा सो सिमटती मसाफ़तों का तिलिस्म तेरी करवट का नाम मौज-ए-सबा तेरे दामन की ख़ुशबुओं में हैं ग़म सौ सुहाने मक़ाम मौज-ए-सबा आती पतझड़ के साथ लौटते वक़्त इक बहारें पयाम मौज-ए-सबा इक नवेद-ए-निगाह-ए-पैक-ए-हबीब इक जवाब-ए-सलाम मौज-ए-सबा

qāsid-e-mast-gām mauj-e-sabā
Majeed Amjad
Majeed Amjad
Majeed Amjad
poet53 quotes

More by Majeed Amjad

View all →
Quote
"chehra udaas udaas thaa mailaa libaas thaa kyaa din the jab khayaal-e-tamannaa libaas thaa uryaan zamaana-gir sharar-gun jibillatein kuchh thaa to ek barg-e-dil un kaa libaas thaa us moD par abhi jise dekhaa hai kaun thaa sambhali hui nigaah thi saada libaas thaa yaadon ke dhundle des khili chaandni mein raat teraa sukut kis ki sadaa kaa libaas thaa aise bhi log hain jinhein parkhaa to un ki ruuh be-pairahan thi jism saraapaa libaas thaa sadiyon ke ghaaT par bhare melon ki bhiiD mein ai dard-e-shaadmaan tiraa kyaa kyaa libaas thaa dekhaa to dil ke saamne saayon ke jashn mein har aks-e-aarzu kaa anokhaa libaas thaa 'amjad' qabaa-e-shah thi ki cholaa faqir kaa har bhes mein zamir kaa pardaa libaas thaa"
Majeed AmjadMajeed Amjad
Quote
"is apni kiran ko aati hui subhon ke havaale karnaa hai kaanTon se ulajh kar jiinaa hai phulon se lipaT kar marnaa hai shaayad vo zamaana lauT aae shaayad vo palaT kar dekh bhi lein in ujDi ujDi nazron mein phir koi fasaana bharnaa hai ye soz-e-darun ye ashk-e-ravaan ye kaavish-e-hasti kyaa kahiye marte hain ki kuchh din ji lein ham jiite hain ki aakhir marnaa hai ik shahr-e-vafaa ke band dariche aankhein miche sochte hain kab qaafila-haa-e-khanda-e-gul ko in raahon se guzarnaa hai is niili dhund mein kitne bujhte zamaane raakh bikher gae ik pal ki palak par duniyaa hai kyaa jiinaa hai kyaa marnaa hai raston pe andhere phail gae ik manzil-e-gham tak shaam hui ai ham-safaro kyaa faisla hai ab chalnaa hai ki Thaharnaa hai har haal mein ik shoridgi-e-afsun-e-tamannaa baaqi hai khvaabon ke bhanvar mein bah kar bhi khvaabon ke ghaaT utarnaa hai"
Majeed AmjadMajeed Amjad
Quote
"tire farq-e-naaz pe taaj hai mire dosh-e-gham pe galim hai tiri daastaan bhi aziim hai miri daastaan bhi aziim hai miri kitni sochti subhon ko ye khayaal zahr pilaa gayaa kisi tapte lamhe ki aah hai ki khiraam-e-mauj-e-nasim hai tah-e-khaak kirmak-e-daana jo bhi sharik-e-raqs-e-hayaat hai na bas ek jalva-e-tur hai na bas ek shauq-e-kalim hai ye har ek samt masaafaton mein gundhi paDi hain jo saaatein tiri zindagi miri zindagi inhi mausamon ki shamim hai kahin mahmalon kaa ghubaar uDe kahin manzilon ke diye jalein kham-e-aasmaan rah-e-kaarvaan na maqaam hai na muqim hai haram aur dair fasaana hai yahi jalti saans zamaana hai yahi gosha-e-dil-e-naa-subur hi kunj-e-baagh-e-naim hai"
Majeed AmjadMajeed Amjad
Quote
"baDhi jo had se to saare tilism toD gai vo khush-dili jo dilon ko dilon se joD gai abad ki raah pe be-khvaab dhaDkanon ki dhamak jo so gae unhein bujhte jagon mein chhoD gai ye zindagi ki lagan hai ki rat-jagon ki tarang jo jaagte the unhi ko ye dhun jhinjhoD gai vo ek Tiis jise teraa naam yaad rahaa kabhi kabhi to mire dil kaa saath chhoD gai rukaa rukaa tire lab par ajab sukhan thaa koi tiri nigah bhi jise naa-tamaam chhoD gai faraaz-e-dil se utarti hui nadi 'amjad' jahaan jahaan thaa hasin vaadiyon kaa moD gai"
Majeed AmjadMajeed Amjad