Quote
"chehra udaas udaas thaa mailaa libaas thaa kyaa din the jab khayaal-e-tamannaa libaas thaa uryaan zamaana-gir sharar-gun jibillatein kuchh thaa to ek barg-e-dil un kaa libaas thaa us moD par abhi jise dekhaa hai kaun thaa sambhali hui nigaah thi saada libaas thaa yaadon ke dhundle des khili chaandni mein raat teraa sukut kis ki sadaa kaa libaas thaa aise bhi log hain jinhein parkhaa to un ki ruuh be-pairahan thi jism saraapaa libaas thaa sadiyon ke ghaaT par bhare melon ki bhiiD mein ai dard-e-shaadmaan tiraa kyaa kyaa libaas thaa dekhaa to dil ke saamne saayon ke jashn mein har aks-e-aarzu kaa anokhaa libaas thaa 'amjad' qabaa-e-shah thi ki cholaa faqir kaa har bhes mein zamir kaa pardaa libaas thaa"
