"kisi maqaam pe ham ko bhi roktaa koi magar uDaae liye jaati hai havaa koi tamaam-umr na mujh ko milaa vajud miraa tamaam-umr mujhe sochtaa rahaa koi mujhe sameT lo yaa phir uDaa ke le jaao ye kah ke raah-e-talab mein bikhar gayaa koi yunhi sadaaein na do khaamushi ke sahraa mein havaa chalegi to aa jaaegi sadaa koi kisi ko apni nigaahon pe eatibaar na thaa hamein hamaari tarah kaise dekhtaa koi hazaar sang hain raahon mein ab bhi soe hue ye aur baat hai ham ko jagaa gayaa koi badan ke dasht ko ham jis se paar kar lete kahin milaa na hamein aisaa raasta koi main band kamre mein khaamosh rah to saktaa huun mire badan mein agar ghuT ke mar gayaa koi"
raat-bhar aati rahi ik dard-parvarda sadaa — Abid Almi
"raat-bhar aati rahi ik dard-parvarda sadaa DhunDhne nikle to saare dasht mein koi na thaa jab kabhi main ne koi tasvir utaari zehn se dahr mein is shakl kaa koi na koi mil gayaa haadson ke kaarvaan ghar mein bulaae baar-baar sirf ik jumle ki khaatir kyaa huaa kaise huaa DhunDhtaa phirtaa thaa jis ko dasht mein baazaar mein kal mujhe vo aaine mein ittifaaqan mil gayaa ek lamha raah mein aisaa bhi aa pahunchaa thaa jab main bhi koi aur thaa aur vo bhi koi aur thaa ek saaya chhaantaa rahtaa hai khaak is shahr mein chaandni ki loriyaan deti hai jab ThanDi havaa jaane kyon logon ne khaamoshi ki chaadar oDh li jab tumhaaraa tazkira 'aabid' zaraa aane lagaa"
رات بھر آتی رہی اک درد پروردہ صدا ڈھونڈھنے نکلے تو سارے دشت میں کوئی نہ تھا جب کبھی میں نے کوئی تصویر اتاری ذہن سے دہر میں اس شکل کا کوئی نہ کوئی مل گیا حادثوں کے کارواں گھر میں بلائے بار بار صرف اک جملے کی خاطر کیا ہوا کیسے ہوا ڈھونڈھتا پھرتا تھا جس کو دشت میں بازار میں کل مجھے وہ آئنے میں اتفاقاً مل گیا ایک لمحہ راہ میں ایسا بھی آ پہنچا تھا جب میں بھی کوئی اور تھا اور وہ بھی کوئی اور تھا ایک سایہ چھانتا رہتا ہے خاک اس شہر میں چاندنی کی لوریاں دیتی ہے جب ٹھنڈی ہوا جانے کیوں لوگوں نے خاموشی کی چادر اوڑھ لی جب تمہارا تذکرہ عابدؔ ذرا آنے لگا
रात-भर आती रही इक दर्द-पर्वर्दा सदा ढूँढने निकले तो सारे दश्त में कोई न था जब कभी मैं ने कोई तस्वीर उतारी ज़ेहन से दहर में इस शक्ल का कोई न कोई मिल गया हादसों के कारवाँ घर में बुलाए बार-बार सिर्फ़ इक जुमले की ख़ातिर क्या हुआ कैसे हुआ ढूँढता फिरता था जिस को दश्त में बाज़ार में कल मुझे वो आइने में इत्तिफ़ाक़न मिल गया एक लम्हा राह में ऐसा भी आ पहुँचा था जब मैं भी कोई और था और वो भी कोई और था एक साया छानता रहता है ख़ाक इस शहर में चाँदनी की लोरियाँ देती है जब ठंडी हवा जाने क्यों लोगों ने ख़ामोशी की चादर ओढ़ ली जब तुम्हारा तज़्किरा 'आबिद' ज़रा आने लगा

More by Abid Almi
View all →"kyaa khabar kab se pyaasaa thaa sahraa saare dariyaa ko pi gayaa sahraa log pagDanDiyon mein khoe rahe mujh ko rasta dikhaa gayaa sahraa dhuup ne kyaa kiyaa suluk us se jaise dharti pe bojh thaa sahraa baDhti aati thi mauj dariyaa ki main ne ghar mein bulaa liyaa sahraa jaane kis shakhs kaa muqaddar hai dhuup mein taptaa be-sadaa sahraa kho ke apnaa vajud andhere mein raat kitnaa udaas thaa sahraa zehn ko vaadiyaan uThaate phirein aankh mein aa ke bas gayaa sahraa mere qadmon ko chumne ke liye raste raste se jaa milaa sahraa main samundar ko ghar mein le aayaa mere dar par paDaa rahaa sahraa meraa is mein bikharnaa thaa 'aabid' phir mujhe DhunDhtaa phiraa sahraa"
"bagulon kaa bulaavaa aa chukaa hai dekhte kyaa ho chalo qadmon mein ab to raasta hai dekhte kyaa ho samundar se lipaT kar dil kaa har armaan nikaal aao talaatum ab tumhaaraa naakhudaa hai dekhte kyaa ho abhi bhi vaqt hai ai dosto is ko badal Daalo bahut zahrili ye aab-o-havaa hai dekhte kyaa ho falak to sirf aankhon ko thakaane kaa bahaana hai nikal lo haath bhar kaa faasla hai dekhte kyaa ho uTho aur is mein mil jaao ki saaraa kaarvaan 'aabid' tumhaare vaaste Thahraa huaa hai dekhte kyaa ho"
"jab kahaa main ne kuchh hisaab to dein kyon farishton ki jhuk gaiin aankhein itne khaamosh kyon hain shahr ke log kuchh to puchhein koi to baat karein ajnabi shahr aur raat kaa vaqt ab sadaa dein bhi ham to kis ko dein kaun aataa hai utni raat gae ab to darvaaza uTh ke band karein bahs chaaragaron se kyaa lekin sirf itnaa hai mujh ko jiine dein"
"umr sahraa-e-khamoshi mein guzaarein kaise baar baar us ki jagah khud ko pukaarein kaise TikTiki baandh ke main dekh rahaa thaa phir bhi kaT gai meri nigaahon se bahaarein kaise jis mein tufaan hai na tufaan ke koi aasaar kashtiyaan aise samundar mein utaarein kaise raat ke dasht mein naadida dayaaron kaa safar aisi surat mein koi raah sanvaarein kaise log 'aabid' ke liye sang-ba-kaf phirte hain us ko is shahr ki galiyon se guzaarein kaise"
"TuTti shaakh par vo baiThaa thaa hans rahaa thaa ghaDi-bhar unchaa thaa yuun to baiThaa thaa mutmain chhat par haan magar zalzale se Dartaa thaa jaane kis baat par bigaD baiThe main to khud se bhi duur baiThaa thaa roz kahtaa thaa kuudo kuud gae ghar se ik saans duur dariyaa thaa rah gaiin raah mein hi vo raahein bojh jin par falak falak kaa thaa bikhraa aandhi mein ek ik Tiila ret kaa ye to hashr honaa thaa 'aabid' us ki nazar kaa thaa jaadu vo jo jiine kaa hausla saa thaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"