SHAWORDS

rafta rafta Dar jaaeinge — Mushtaq Sadaf

HomeMushtaq SadafGhazal
"rafta rafta Dar jaaeinge qiston mein ham mar jaaeinge main ne chughli khaai to phir dushman bhukon mar jaaeinge hikmat se aari mansube kitnon ke dar par jaaeinge andar aisi khaamoshi hai sannaaTe bhi Dar jaaeinge haivaanon se bach kar rahiye sahraa ko bhi char jaaeinge"
Urdu

رفتہ رفتہ ڈر جائیں گے قسطوں میں ہم مر جائیں گے میں نے چغلی کھائی تو پھر دشمن بھوکوں مر جائیں گے حکمت سے عاری منصوبے کتنوں کے در پر جائیں گے اندر ایسی خاموشی ہے سناٹے بھی ڈر جائیں گے حیوانوں سے بچ کر رہیے صحرا کو بھی چر جائیں گے

Hindi

रफ़्ता रफ़्ता डर जाएँगे क़िस्तों में हम मर जाएँगे मैं ने चुग़ली खाई तो फिर दुश्मन भूखों मर जाएँगे हिकमत से आरी मंसूबे कितनों के दर पर जाएँगे अंदर ऐसी ख़ामोशी है सन्नाटे भी डर जाएँगे हैवानों से बच कर रहिए सहरा को भी चर जाएँगे

rafta rafta Dar jā.eñge
Mushtaq Sadaf
Mushtaq Sadaf
Mushtaq Sadaf
poet15 quotes

More by Mushtaq Sadaf

View all →
Quote
"dard ko dard kaho dard ke qaabil ho jaao aisaa bhi kyaa hai ki khud dil hi se ghaafil ho jaao tum ko tufaan se laDnaa jo nahin hai manzur phir to behtar hai ki kashti nahin saahil ho jaao imtihaan ishq mein honaa hai to hogaa vo zarur aag ke khel mein pahle hi se shaamil ho jaao is se pahle ki kisi aur kaa main ho jaaun main tumhein zahr duun aur tum mire qaatil ho jaao lau charaaghon ki baDhaane se nahin kuchh haasil nuur ban ke shab-e-zulmaat pe naazil ho jaao saikDon tajrabe be-kaar kiyaa karte ho ho mire dard mein shaamil to miraa dil ho jaao shor barpaa hai ki nikle ho talaash-e-gham mein makhzan-e-gham hai miraa dil yahin daakhil ho jaao ahmaqon se jo kabhi vaasta paD jaae 'sadaf' baat karne se kahin achchhaa hai jaahil ho jaao"
Mushtaq SadafMushtaq Sadaf
Quote
"kabhi anjaane mein jab bhi kisi kaa dil dukhaataa huun to phir tanhaaiyon mein baiTh kar aansu bahaataa huun mujhe maalum hai manzar hasin vo ho chuke dhundle magar kyuun roz aankhon mein vahi manzar bulaataa huun miri is baat se naaraaz hain kuchh bastiyon vaale khushi ghar ghar luTaataa huun magar gham kyuun chhupaataa huun miri saanson ki quvvat kaa bahut mushkil hai andaaza main phunkon se charaaghon ko nahin suraj bujhaataa huun miri fitrat hai apne haafize ko taaza rakhne ki main apnaa haafiza kamzor hone se bachaataa huun"
Mushtaq SadafMushtaq Sadaf
Quote
"ham apni mohabbat kaa tamaashaa nahin karte karte hain agar kuchh to dikhaavaa nahin karte ye sach hai ki duniyaa ki ravish Thiik nahin hai kuchh ham bhi to duniyaa ko gavaaraa nahin karte ik baar to mehmaan banein ghar pe hamaare ye un se guzaarish hai taqaazaa nahin karte duniyaa ke jhamele hi kuchh aise hain ki un ko ham bhuul to jaate hain bhulaayaa nahin karte fardaa pe hain nazrein to kabhi haal pe nazrein maazi ko magar muD ke bhi dekhaa nahin karte jin mein ki buzurgon ki koi qadr nahin ho ham aise gharon mein kabhi rishta nahin karte baarish ho ki tufaan ho yaa aag kaa jangal ham ghar se nikal jaaein to sochaa nahin karte jo khvaab nazar aataa hai sarsabz zamin kaa us khvaab ki taabir bataayaa nahin karte baazaar mein bikte nahin vo log umuman rishton kaa jo apne kabhi saudaa nahin karte"
Mushtaq SadafMushtaq Sadaf
Quote
"jab achchhe the din raat kam yaad aae buraa vaqt aayaa to ham yaad aae jo samjho mohabbat ki tauhin hai ye sitam-gar se pahle sitam yaad aae zamaane se jab paD gayaa vaasta to tiri zulf ke pech-o-kham yaad aae mili jo mohabbat ke badle mein nafrat hamein ahl-e-duniyaa ke gham yaad aae hansi aa gai un ki baaton pe yunhi vo samjhe ki un ke karam yaad aae jo hans kar kisi ne kisi se kahaa kuchh hamein bhi kisi ke sitam yaad aae kabhi dil ko dil se jo dekhaa bichhaDte 'sadaf' ko tumhaare karam yaad aae"
Mushtaq SadafMushtaq Sadaf