Quote
"jab se ujDaa hai mire dil kaa jahaan mausam-e-gul ho gayaa fasl-e-khizaan le rahi hai zindagi har gaam par mujh se mere hauslon kaa imtihaan jab hisaar-e-zaat se baahar huaa ho gayaa har shakhs meraa ham-zabaan jis ko tere shahr se nisbat hui khush na aaya us ko koi gulsitaan saanahe dil par guzarte hi rahe hausle lekin rahe har dam javaan doston ki mehrbaani kam nahin kis liye karte ho fikr-e-dushmanaan aaj tak jis ko koi bujhaa nahin zindagi 'akhtar' hai aisi chistaan"
