SHAWORDS

rut barkhaa ki Dhalne de — Mohammad Ali Mauj Rampuri

"rut barkhaa ki Dhalne de dil se haae nikalne de pattaa pattaa phuul khilaa Daali Daali phalne de suraj bhi Dhal jaaegaa dhuup kaa rang badalne de patthar ki aaine se chalti hai to chalne de nok-e-qalam ko kaaghaz par dil kaa zahar ugalne de kab tak Thokar khaate jaaein zaalim vaqt sambhalne de chheD na kar ham maston se baabaa rasta chalne de raushniyon kaa maaraa 'mauj' kaise dipak jalne de"
Urdu

رت برکھا کی ڈھلنے دے دل سے ہائے نکلنے دے پتا پتا پھول کھلا ڈالی ڈالی پھلنے دے سورج بھی ڈھل جائے گا دھوپ کا رنگ بدلنے دے پتھر کی آئینے سے چلتی ہے تو چلنے دے نوک قلم کو کاغذ پر دل کا زہر اگلنے دے کب تک ٹھوکر کھاتے جائیں ظالم وقت سنبھلنے دے چھیڑ نہ کر ہم مستوں سے بابا رستہ چلنے دے روشنیوں کا مارا موجؔ کیسے دیپک جلنے دے

Hindi

रुत बरखा की ढलने दे दिल से हाए निकलने दे पत्ता पत्ता फूल खिला डाली डाली फलने दे सूरज भी ढल जाएगा धूप का रंग बदलने दे पत्थर की आईने से चलती है तो चलने दे नोक-ए-क़लम को काग़ज़ पर दिल का ज़हर उगलने दे कब तक ठोकर खाते जाएँ ज़ालिम वक़्त सँभलने दे छेड़ न कर हम मस्तों से बाबा रस्ता चलने दे रौशनियों का मारा 'मौज' कैसे दीपक जलने दे

rut barkhā kī Dhalne de
Mohammad Ali Mauj Rampuri
Mohammad Ali Mauj Rampuri
Mohammad Ali Mauj Rampuri
poet13 quotes

More by Mohammad Ali Mauj Rampuri

View all →
Quote
"chand lamhon mein mo'amma ziist kaa hal kar gayaa ek divaana khirad-mandon ko paagal kar gayaa dhuup tapti ret par dariyaa pe baadal kar gayaa us kaa har kirdaar mere zehn ko shal kar gayaa be-asar be-rabt lahja be-tavaazun guftugu vo milaa bhi to tabi'at aur bojhal kar gayaa maslahat-aamez baatein abr ban kar chhaa gaiin dil kaa saavan is tarah barsaa ki jal-thal kar gayaa meri aahaT paa ke jis ke chaunk uThte the kivaaD koi aaj is ghar kaa darvaaza muqaffal kar gayaa har taraf ye aam shohrat hai ki koi shah-savaar aaj saare shahr ke logon ko paidal kar gayaa sard lahje mein vo mujh se guftugu karne ke baa'd jab uThaa to rabt-e-zehn-o-dil mo'attal kar gayaa 'mauj' us chehre pe likkhaa ek lafz-e-intishaar khud-farebi ke sabhi qisse mukammal kar gayaa"
Mohammad Ali Mauj RampuriMohammad Ali Mauj Rampuri
Quote
"jaag uThaa jab bhi shuur-e-zaat bistar chhoD ke khud alag ho jaaeinge qatre samundar chhoD ke TuTne tak jism se be-rabt saanson kaa tilism meri tanhaai kahaan jaae miraa ghar chhoD ke ek hi markaz pe lauT aate hain saare raaste ham kidhar jaaein tiraa kucha tiraa dar chhoD ke mausamon ki gard bhi jin ko na dhundlaa kar saki aks vo dil par gayaa hai aaina-gar chhoD ke pai-ba-pai har ek chaal ulTi hi vo chaltaa rahaa shah kahi ham ne use phir bhi kai ghar chhoD ke ishq ko tahrik bakhshe phir adaa-e-saadgi phir koi mehrunnisaa dekhe kabutar chhoD ke har taraf ai 'mauj' aangan mein dar-o-divaar se dhuup utar aai to ham uTThe hain bistar chhoD ke"
Mohammad Ali Mauj RampuriMohammad Ali Mauj Rampuri

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil