"dil-figaaro kaarvaan-e-jaan-nisaaraan jaaegaa is taraf se ik giroh-e-gham-gusaaraan jaaegaa kachchi saDkein is taraf kuchh us taraf muD jaaeingi sirf pakkaa raasta shahr-e-nigaaraan jaaegaa aaegi dene salaami subh ki nannhi kiran jis taraf se ye hujum-e-shab-guzaaraan jaaegaa aur kuchh baDh jaaegi pyaasi zaminon ki shikan ho ke mere shahr se jab abr-e-baaraan jaaegaa aaegaa vo din bhi 'jaami' dekhnaa sahraa ki samt mashvara lene hujum-e-hoshiyaaraan jaaegaa"
rutbe mein baraabar huun magar tujh se judaa huun — Abdur Rahman Jami
"rutbe mein baraabar huun magar tujh se judaa huun tu chikh hai sahraa ki main gumbad ki sadaa huun tashkil na ab tak mujhe de paayaa zamaana shahkaar huun lekin abhi naqshe mein paDaa huun ghunghru huun magar raqs muqaddar mein kahaan hai main ik but-e-sangin ke pairon mein bandhaa huun mimbar pe khaDe ho ke bhi vo jhuuT hi bolaa main sach ki himaayat mein huun aur kaanp rahaa huun dauraan-e-safar maangne vaalon ki zabaan se 'jaami' ki ghazal rail mein main ne bhi sunaa huun"
رتبے میں برابر ہوں مگر تجھ سے جدا ہوں تو چیخ ہے صحرا کی میں گنبد کی صدا ہوں تشکیل نہ اب تک مجھے دے پایا زمانہ شہکار ہوں لیکن ابھی نقشے میں پڑا ہوں گھنگھرو ہوں مگر رقص مقدر میں کہاں ہے میں اک بت سنگین کے پیروں میں بندھا ہوں منبر پہ کھڑے ہو کے بھی وہ جھوٹ ہی بولا میں سچ کی حمایت میں ہوں اور کانپ رہا ہوں دوران سفر مانگنے والوں کی زباں سے جامیؔ کی غزل ریل میں میں نے بھی سنا ہوں
रुत्बे में बराबर हूँ मगर तुझ से जुदा हूँ तू चीख़ है सहरा की मैं गुम्बद की सदा हूँ तश्कील न अब तक मुझे दे पाया ज़माना शहकार हूँ लेकिन अभी नक़्शे में पड़ा हूँ घुंघरू हूँ मगर रक़्स मुक़द्दर में कहाँ है मैं इक बुत-ए-संगीन के पैरों में बँधा हूँ मिम्बर पे खड़े हो के भी वो झूट ही बोला मैं सच की हिमायत में हूँ और काँप रहा हूँ दौरान-ए-सफ़र माँगने वालों की ज़बाँ से 'जामी' की ग़ज़ल रेल में मैं ने भी सुना हूँ

More by Abdur Rahman Jami
View all →"falak par subh-dam jab zindagi ki laali chalti hai milon ki samt Toli kaam karne vaali chalti hai kabhi bijli chali jaae to ghar mein habs hotaa hai magar fōtpath par har dam havaa matvaali chalti hai safar ki saari dushvaari tumhein aage uThaani hai hamaare shahr se har rail-gaaDi khaali chalti hai vo dharti jis ko aTThaarah sau sattaavan mein chhoD aae sunaa hai aaj bhi chaae vahaan guD vaali chalti hai ghazal akhbaar mein chhap kar bhi us tak kis tarah pahunche vo jis suube mein rahtaa hai vahaan bangaali chalti hai"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"