"rukhsaaron pe gul mahke aankhon mein hayaa aai ye kis ne tumhein dekhaa ye kis ki qazaa aai zulfon ki mahak le kar phir mauj-e-sabaa aai phir yaad hamein un ki ek ek adaa aai ai baad-e-sahar-gaahi kyaa soch ke aakhir tu rangini-e-shab un ki aankhon mein jagaa aai jaise gham-e-sahraa ke tanhaa hamin rahrau hain har moD pe kaanon mein apni hi sadaa aai jo kuchh bhi guzarti thi guzri shab-e-gham dil par shabnam ko ye kyaa sujhi phulon ko rulaa aai vo kis kaa nasheman thaa ai barq-e-tapaan jis ke jalte hue tinkon se bhi bu-e-vafaa aai kal subh bahaar-e-gul thi raqs-kunaan har-su gulshan ko tiri khushbu divaana banaa aai"
sehn-e-chaman mein phulon ke rukhsaar nam hue — Bahar Barni
"sehn-e-chaman mein phulon ke rukhsaar nam hue kuchh haadse zarur kahin subh-dam hue rakh li shikasta-paai ne josh-e-junun ki laaj phuTaa jab aabla koi ham taaza dam hue suraj-mukhi ki chhaaon mein baiThe hain ab ke log har aaftaab-e-nau ko jo dekhaa to kham hue har daur ki ham ahl-e-junun daastaan bane har rang mein hamaare fasaane raqam hue aayaa hamein na raas tiraa pattharon kaa shahr muddat guzar gai sar-e-taslim kham hue mahsus ho rahaa hai ki sadiyaan guzar gaiin uf tere intizaar ke lamhe na kam hue TuuTe dilon ke aaina-khaane hi ai 'bahaar' shisha kabhi bane to kabhi jaam-e-jam hue"
صحن چمن میں پھولوں کے رخسار نم ہوئے کچھ حادثے ضرور کہیں صبح دم ہوئے رکھ لی شکستہ پائی نے جوش جنوں کی لاج پھوٹا جب آبلہ کوئی ہم تازہ دم ہوئے سورج مکھی کی چھاؤں میں بیٹھے ہیں اب کے لوگ ہر آفتاب نو کو جو دیکھا تو خم ہوئے ہر دور کی ہم اہل جنوں داستاں بنے ہر رنگ میں ہمارے فسانے رقم ہوئے آیا ہمیں نہ راس ترا پتھروں کا شہر مدت گزر گئی سر تسلیم خم ہوئے محسوس ہو رہا ہے کہ صدیاں گزر گئیں اف تیرے انتظار کے لمحے نہ کم ہوئے ٹوٹے دلوں کے آئنہ خانے ہی اے بہارؔ شیشہ کبھی بنے تو کبھی جام جم ہوئے
सेहन-ए-चमन में फूलों के रुख़्सार नम हुए कुछ हादसे ज़रूर कहीं सुब्ह-दम हुए रख ली शिकस्ता-पाई ने जोश-ए-जुनूँ की लाज फूटा जब आबला कोई हम ताज़ा दम हुए सूरज-मुखी की छाओं में बैठे हैं अब के लोग हर आफ़्ताब-ए-नौ को जो देखा तो ख़म हुए हर दौर की हम अहल-ए-जुनूँ दास्ताँ बने हर रंग में हमारे फ़साने रक़म हुए आया हमें न रास तिरा पत्थरों का शहर मुद्दत गुज़र गई सर-ए-तस्लीम ख़म हुए महसूस हो रहा है कि सदियाँ गुज़र गईं उफ़ तेरे इंतिज़ार के लम्हे न कम हुए टूटे दिलों के आइना-ख़ाने ही ऐ 'बहार' शीशा कभी बने तो कभी जाम-ए-जम हुए
More by Bahar Barni
View all →"nadim kahiyo agar un se koi baat chale ham un ki bazm se mahrum-e-iltifaat chale ye dil uThaaegaa phir khun-e-aarzu ke maze phir aaj kar ke vo tark-e-ta'alluqaat chale mahak mahak uThin tanhaaiyaan mire ghar ki kuchh aise silsile yaadon ke saari raat chale qatil-e-shokhi-e-raftaar hain ham ahl-e-dil hamaare saath sanbhal kar gham-e-hayaat chale ye jitne rind hain sab bhuul jaaein apne gham jo mai-kade mein kabhi meri un ki baat chale rukein to yuun ki zamaane ki nabz ruk jaae chalein to aise chalein saath kaaenaat chale 'bahaar' aaj koi yaad aa rahaa hai phir phir aao jaam chale aur saari raat chale"
"mire dil ke daagh khudaa rakhe rah-e-gham mein jalva-kunaan rahe kabhi chaandni ki tarah khile kabhi ban ke kaahkashaan rahe vahi aarzu vahi marhale vahi justuju vahi silsile tujhe paa ke bhi vahi faasle tiri qurbaton mein nihaan rahe main shikasta-haal-o-shikasta-paa tah-e-daam aa bhi gayaa to kyaa miri aarzu mein to dam rahaa mire hausle to javaan rahe ye bataa ki saaqi-e-khush-nazar vahi jaam hai vahi mai magar vo balaa-kashaan-e-junun-asar tire mai-kade mein kahaan rahe koi kyaa 'bahaar' samajh sake ki ye apnaa apnaa nasib hai koi daagh-e-nur-e-jabin bane koi ruh-o-dil kaa ziyaan rahe"
"ham kal is anjuman se jo paDh kar ghazal gae kahte hain un ki aankhon mein saagar machal gae roi sahar to husn ke manzar badal gae shabnam ki choT khaai to patthar pighal gae aise bhi moD aae rah-e-'ishq mein jahaan ham khud hi apne aap se bach kar nikal gae agle se ab kahaan hain vo tishna-labaan-e-shauq shishe badal gae mai-o-saaghar badal gae ab dekh tere shahr ki galiyaan udaas hain divaane tere shahr se baahar nikal gae tum saath the to goyaa zamaana bhi saath thaa badle jo tum to vaqt ke tevar badal gae ham ahl-e-gham kaa kyaa ki bahaar un ke naam par bahlaa diyaa kisi ne to aksar bahal gae"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"