SHAWORDS

sochaa kabhi nahin thaa ki aisaa kareinge khvaab — Ahmad Kamal Hashmi

"sochaa kabhi nahin thaa ki aisaa kareinge khvaab aankhon se meri niind kaa saudaa kareinge khvaab hai TuTnaa nasib to TuuTaa kareinge khvaab ham to har ek haal mein dekhaa kareinge khvaab dekho zarur khvaahish-e-taa’bir mat karo halkaan tum ko aur ziyaada kareinge khvaab dil ko bahut 'aziz hai ye kaarobaar-e-shauq ham to hamesha bechaa kharidaa kareinge khvaab ye soch kar hi main ne lagaae hain ye darakht phal dein na dein pa dhuup mein saaya kareinge khvaab jin ko hai khvaab dekhne ki lat lagi hui aankhein khuli bhi hon to vo dekhaa kareinge khvaab aankhon mein khaamushi se basaayaa to thaa magar sochaa na thaa ki shor machaayaa kareinge khvaab aaegi gahri niind 'kamaal' aap ko tabhi jab aap apni aankhon se minhaa kareinge khvaab"
Urdu

سوچا کبھی نہیں تھا کہ ایسا کریں گے خواب آنکھوں سے میری نیند کا سودا کریں گے خواب ہے ٹوٹنا نصیب تو ٹوٹا کریں گے خواب ہم تو ہر ایک حال میں دیکھا کریں گے خواب دیکھو ضرور خواہش تعبیر مت کرو ہلکان تم کو اور زیادہ کریں گے خواب دل کو بہت عزیز ہے یہ کاروبار شوق ہم تو ہمیشہ بیچا خریدا کریں گے خواب یہ سوچ کر ہی میں نے لگائے ہیں یہ درخت پھل دیں نہ دیں پہ دھوپ میں سایہ کریں گے خواب جن کو ہے خواب دیکھنے کی لت لگی ہوئی آنکھیں کھلی بھی ہوں تو وہ دیکھا کریں گے خواب آنکھوں میں خامشی سے بسایا تو تھا مگر سوچا نہ تھا کہ شور مچایا کریں گے خواب آئے گی گہری نیند کمالؔ آپ کو تبھی جب آپ اپنی آنکھوں سے منہا کریں گے خواب

Hindi

सोचा कभी नहीं था कि ऐसा करेंगे ख़्वाब आँखों से मेरी नींद का सौदा करेंगे ख़्वाब है टूटना नसीब तो टूटा करेंगे ख़्वाब हम तो हर एक हाल में देखा करेंगे ख़्वाब देखो ज़रूर ख़्वाहिश-ए-ता'बीर मत करो हलकान तुम को और ज़ियादा करेंगे ख़्वाब दिल को बहुत 'अज़ीज़ है ये कारोबार-ए-शौक़ हम तो हमेशा बेचा ख़रीदा करेंगे ख़्वाब ये सोच कर ही मैं ने लगाए हैं ये दरख़्त फल दें न दें प धूप में साया करेंगे ख़्वाब जिन को है ख़्वाब देखने की लत लगी हुई आँखें खुली भी हों तो वो देखा करेंगे ख़्वाब आँखों में ख़ामुशी से बसाया तो था मगर सोचा न था कि शोर मचाया करेंगे ख़्वाब आएगी गहरी नींद 'कमाल' आप को तभी जब आप अपनी आँखों से मिन्हा करेंगे ख़्वाब

sochā kabhī nahīñ thā ki aisā kareñge ḳhvāb
Ahmad Kamal Hashmi
Ahmad Kamal Hashmi
Ahmad Kamal Hashmi
poet38 quotes

More by Ahmad Kamal Hashmi

View all →
Quote
"chaukhaT pe ki raste pe rakho meri balaa se meraa vo diyaa hai nahin Dartaa jo havaa se ye jurm-e-mohabbat main ne daanista kiyaa hai duniyaa se kaho mujh ko Daraae na sazaa se ye mere sitamgar kaa karam kam to nahin hai main aah jo bhartaa huun to detaa hai dilaase is shahr mein baste hain jo bahre hain ki murde ab dar nahin khultaa hai koi aah-o-bukaa se kuchh logon ne mil-jul ke kuaan khod liyaa hai kuchh log abhi minnatein karte hain ghaTaa se dariyaa ki sakhaavat kaa bharam khulne lagaa hai kuchh log hain sairaab to kuchh log hain pyaase bimaar ne is baar yahi qasd kiyaa hai vo Thiik nahin hogaa davaa se na du'aa se"
Ahmad Kamal HashmiAhmad Kamal Hashmi
Quote
"har aadmi ne ruup hai dhaaraa faqir kaa gardish mein aa gayaa ye sitaaraa faqir kaa duniyaa pe dil hamaaraa kabhi aataa hi nahin hai dosto mizaaj hamaaraa faqir kaa utran pahan ke shaah ki khush hain musaahibin khush hai vo khud pahan ke utaaraa faqir kaa darvaaze par khamosh khaDaa huun main der se kuchh to karo khayaal khudaaraa faqir kaa darbaar mein bulaayaa thaa us ko amiir ne us ko milaa javaab karaaraa faqir kaa bas ik jhalak hi paa ke tiri khush bahut hai dil thoDe mein ho rahaa hai guzaaraa faqir kaa duniyaa paDi hui hai 'kamaal' us mein dekhiye kone mein jo paDaa hai piTaaraa faqir kaa"
Ahmad Kamal HashmiAhmad Kamal Hashmi
Quote
"kisi ne pahle shikaayat ki intihaa kar di phir us ke baa'd mohabbat ki intihaa kar di tumhaare baare mein jab sochne main baiThaa to dimaagh-o-dil ne 'adaavat ki intihaa kar di main apne aap ko taqsim kar ke lauTaa huun lo aaj main ne sakhaavat ki intihaa kar di vo saj sanvar ke kuchh itnaa hasin lagne lagaa ki aainon ne bhi hairat ki intihaa kar di havaa chali to lavein sab ne tez-tar kar liin diyon ne ab ke jasaarat ki intihaa kar di sakhaavaton ke ghalat faaede uThaae gae zaruraton ne zarurat ki intihaa kar di main us ke vaa'de pe phir e'tibaar kar baiThaa 'kamaal' main ne himaaqat ki intihaa kar di"
Ahmad Kamal HashmiAhmad Kamal Hashmi
Quote
"vo mere baare mein jo kuchh bataa rahaa thaa mujhe ghalat thaa phir bhi yaqin us pe aa rahaa thaa mujhe tang aa ke us ne mujhe TuuTaa phuTaa chhoD diyaa ba-sad-khulus kabhi jo banaa rahaa thaa mujhe amir-e-shahr ne masnad ki peshkash ki thi shikaari jaal mein apne phansaa rahaa thaa mujhe phir us ke baa'd bahut ghus ke phaT gayaa kaaghaz ragaD ragaD ke rubber vo miTaa rahaa thaa mujhe main khush nahin thaa magar khush dikhaai detaa thaa koi latife sunaa kar hansaa rahaa thaa mujhe na jaane kyon main use bhulne ki zid par thaa na jaane kyon vo bahut yaad aa rahaa thaa mujhe mire raqib se vo mahv-e-guftugu thaa 'kamaal' vo us kaa dost nahin thaa sataa rahaa thaa mujhe"
Ahmad Kamal HashmiAhmad Kamal Hashmi
Quote
"vahi sahraa saa bahut aur zaraa saa dariyaa mujh ko lagtaa hai tiraa naam sunaa saa dariyaa sab pahunchte hain faqat pyaas bujhaane apni koi dekhe bhi to kaise ki hai pyaasaa dariyaa teri aankhein hain samundar ye bataayaa jab se tab se aataa hai nazar mujh se khafaa saa dariyaa tishna-kaamon ki baDi bhiiD lagi hai dekho jo bhi aae use detaa hai dilaasaa dariyaa khushk lab apne bhalaa us ko dikhaataa kaise nazar aayaa thaa liye haath mein kaasa dariyaa tairte tairte main aaj bhi taaza-dam huun bahte bahte nazar aataa hai thakaa saa dariyaa mere lab par hai vahi pyaas puraani ab tak mere aage hai ravaan ek nayaa saa dariyaa bolo kyaa loge idhar chhoTaa samundar hai 'kamaal' hai udhar rakkhaa huaa ek baDaa saa dariyaa"
Ahmad Kamal HashmiAhmad Kamal Hashmi
Quote
"kah chukaa huun main kai baar nahin maantaa main ai sitamgar tujhe sardaar nahin maantaa main hai agar 'ishq to khul kar kabhi izhaar bhi kar teri khaamoshi ko iqraar nahin maantaa main aankhon mein jazb mujhe karni hai surat teri ik jhalak ko tiraa didaar nahin maantaa main qadr-o-qimat mire dil ki tu samajh hi na sakaa jaa tujhe achchhaa kharidaar nahin maantaa main tu abhi qais hai majnun nahin ban paayaa hai tujh ko lailaa kaa talabgaar nahin maantaa main sar ko Takraane ki jurat ho to dar bantaa hai kisi divaar ko divaar nahin maantaa main khaak bhi chaahiye sahraa mein uDaane ke liye kisi bhi chiiz ko bekaar nahin maantaa main jo kabhi myaan se baahar nahin aati hai 'kamaal' aisi talvaar ko talvaar nahin maantaa main"
Ahmad Kamal HashmiAhmad Kamal Hashmi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari