Quote
"jitnaa thaa sargarm-e-kaar utnaa hi dil naakaam thaa hosh jis kaa naam hai vo bhi junun-e-khaam thaa hosh kaa zaamin thaa saaqi kaif-parvar dil kaa shauq jaam thaa paas aur be-andesha-e-anjaam thaa khatm karti jald kyunkar ziist ki manzil ko saans pher koson kaa thaa lekin faasla ik gaam thaa josh-e-shorida-sari thaa taa-ba-vahm-e-ikhtiyaar thak ke dam TuuTaa to phir aaraam hi aaraam thaa ab kahaan vo aamad-o-raft-e-nafas ki shaah-raah ik kashaakash thi ki jis kaa zindagaani naam thaa chaunk kar khud manzar-e-hasti se aankhein pher liin hichkiyaan kaahe ko thiin poshida ik paighaam thaa gul huaa aakhir bhaDak kar shoala-e-josh-e-shabaab thi kaf-e-mauj-e-havaadis aur charaagh-e-shaam thaa be-jale kis tarah bantaa shama parvaane kaa dil vo use anjaam kyaa dete jo meraa kaam thaa tum ne khud naakaam rakh ke us ki himmat ki thi past aarzu-e-be-gunah par muft kaa ilzaam thaa"
