SHAWORDS

tere jaane kaa koi gham to nahin — Mohammad Javed Anwar

"tere jaane kaa koi gham to nahin khub-ru is jahaan mein kam to nahin ik tire vaaste sabhi chhoDein aur hogaa vo koi ham to nahin aur mil jaaeinge ye jaam-o-subu jaam teraa bhi jaam-e-jam to nahin jo mabaahis mein qaul-e-faisal ho teri baaton mein aisaa dam to nahin kuchh to hogaa malaal khone kaa dekh teri bhi aankh nam to nahin"
Urdu

تیرے جانے کا کوئی غم تو نہیں خوبرو اس جہاں میں کم تو نہیں اک ترے واسطے سبھی چھوڑیں اور ہوگا وہ کوئی ہم تو نہیں اور مل جائیں گے یہ جام و سبو جام تیرا بھی جام جم تو نہیں جو مباحث میں قول فیصل ہو تیری باتوں میں ایسا دم تو نہیں کچھ تو ہوگا ملال کھونے کا دیکھ تیری بھی آنکھ نم تو نہیں

Hindi

तेरे जाने का कोई ग़म तो नहीं ख़ूब-रू इस जहाँ में कम तो नहीं इक तिरे वास्ते सभी छोड़ें और होगा वो कोई हम तो नहीं और मिल जाएँगे ये जाम-ओ-सुबू जाम तेरा भी जाम-ए-जम तो नहीं जो मबाहिस में क़ौल-ए-फ़ैसल हो तेरी बातों में ऐसा दम तो नहीं कुछ तो होगा मलाल खोने का देख तेरी भी आँख नम तो नहीं

tere jaane kā koī ġham to nahīñ
Mohammad Javed Anwar
Mohammad Javed Anwar
Mohammad Javed Anwar
poet15 quotes

More by Mohammad Javed Anwar

View all →
Quote
"go aap ko hai ishq har ik mah-laqaa ke saath aqd-e-mubin kijiye aql-e-rasaa ke saath minnat ki aajizi bhi ki zaari bhi ki magar apnaa to kaam niklaa thaa jaur-o-jafaa ke saath yuun to vafaa ki deviyon ki ek thi qataar lekin nibhi to nibh gai ik bevafaa ke saath har kaam mein qarina saliqa to chaahiye kyaa hai ajab ki pyaar ho sharm-o-hayaa ke saath kyon khvaah-makhvaah ziist ko zindaan bayaan karein guzri hai umr apni to ik dilrubaa ke saath go zindagi ke apne hi andaaz hain magar munsif hai maut ek si shaah-o-gadaa ke saath"
Mohammad Javed AnwarMohammad Javed Anwar
Quote
"bin jaane bin parkhe kyon us but par jaan nisaar karun meraa kyaa hai main to jis se mil luun us se pyaar karun lafz to mere dil se ho kar apnaa rang dikhaate hain jo sochun lafzon mein Dhaalun aur use shahkaar karun apni khvaahish zaahir kar ke kyon halkaa mahsus karun milne ko jab ji chaahe to kyon us kaa izhaar karun jo kaifiyyat duuri mein hai us ki apni lazzat hai kyon mil kar us ko bhi kho duun khud ko bhi be-kaar karun us ko bughz hai mujh se lekin meraa dil bhi saaf nahin kyon na kaDvaa sach maanun main kyon us se inkaar karun tum ne bhi bas vaqt guzaaraa main ne bhi bas baatein kiin tum is ko gar sach maano to main bhi ye iqraar karun"
Mohammad Javed AnwarMohammad Javed Anwar
Quote
"koi to lafz sujhe tujhe jo ayaan kare koi to kaifiyat mujhe puuraa bayaan kare koi to tere husn ke laaiq ho aaina koi to jaanch kar tujhe sadr-e-jahaan kare koi mile to meri shab-e-gham ki ho sahar koi to nur-e-vasl se phir subh yaan kare koi mile to jannat-e-gum-gashta paaun main koi to meraa naam bhi vird-e-zabaan kare koi to mere qalb pe vaarid ho misl-e-lauh koi to khatm dil mein utar kar khizaan kare koi to aae baad-e-bahaari ke sang sang koi to meraa qarya-e-dil gul-fishaan kare koi nigaar-e-gham mein bane meraa ham-rikaab koi shikasta dard kaa koh-e-giraan kare koi to chikh ho jo miraa dard kah sake koi to pesh khol ke soz-e-nihaan kare"
Mohammad Javed AnwarMohammad Javed Anwar