SHAWORDS

tere jaane ke baad kaisaa hai — Anjali Singh

HomeAnjali SinghGhazal
"tere jaane ke baad kaisaa hai dil mein itnaa fasaad kaisaa hai aaiye dekhiye hamaaraa dil TuuT jaane ke baad kaisaa hai ishq mein choT ham ne khaai hai ham se puchho ki svaad kaisaa hai puchhiye to javaab bhi dungi dekhnaa e'timaad kaisaa hai dost bante chale gae mere phir ye jaanaa nihaad kaisaa hai"
Urdu

تیرے جانے کے بعد کیسا ہے دل میں اتنا فساد کیسا ہے آئیے دیکھیے ہمارا دل ٹوٹ جانے کے بعد کیسا ہے عشق میں چوٹ ہم نے کھائی ہے ہم سے پوچھو کہ سواد کیسا ہے پوچھئے تو جواب بھی دوں گی دیکھنا اعتماد کیسا ہے دوست بنتے چلے گئے میرے پھر یہ جانا نہاد کیسا ہے

Hindi

तेरे जाने के बा'द कैसा है दिल में इतना फ़साद कैसा है आइए देखिए हमारा दिल टूट जाने के बाद कैसा है इश्क़ में चोट हम ने खाई है हम से पूछो कि स्वाद कैसा है पूछिए तो जवाब भी दूँगी देखना ए'तिमाद कैसा है दोस्त बनते चले गए मेरे फिर ये जाना निहाद कैसा है

tere jaane ke ba.ad kaisā hai
Anjali Singh
Anjali Singh
Anjali Singh
poet8 quotes

More by Anjali Singh

View all →
Quote
"zid pe aDne mein der kyaa lagti us ko paane mein der kyaa lagti ek kirdaar thaa kahaani mein khatm hone mein der kyaa lagti ishq thaa to khayaal rakkhaa bhi zakhm dene mein der kyaa lagti zindagi maut se bhi kyaa kam thi zahr khaane mein der kyaa lagti paas ik aaftaab thaa mere lau jalaane mein der kyaa lagti zakhm achchhaa nahin milaa varna jaan jaane mein der kyaa lagti chaahiye hi nahin use mujh saa main huun kahne mein der kyaa lagti vo ishaara agar mujhe kartaa ek hone mein der kyaa lagti"
Anjali SinghAnjali Singh

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil