SHAWORDS

tere mere khvaab judaa — Girija Wiyas

HomeGirija WiyasGhazal
"tere mere khvaab judaa khvaabon ke asbaab judaa mere dushman tere dost donon ke ahbaab judaa teraa meraa saath hai yuun juun sahraa se aab judaa lab se saaghar kyaa milte mahfil ke aadaab judaa suunaa suunaa dil meraa dariyaa se hai aab judaa"
Urdu

تیرے میرے خواب جدا خوابوں کے اسباب جدا میرے دشمن تیرے دوست دونوں کے احباب جدا تیرا میرا ساتھ ہے یوں جوں صحرا سے آب جدا لب سے ساغر کیا ملتے محفل کے آداب جدا سونا سونا دل میرا دریا سے ہے آب جدا

Hindi

तेरे मेरे ख़्वाब जुदा ख़्वाबों के अस्बाब जुदा मेरे दुश्मन तेरे दोस्त दोनों के अहबाब जुदा तेरा मेरा साथ है यूँ जूँ सहरा से आब जुदा लब से साग़र क्या मिलते महफ़िल के आदाब जुदा सूना सूना दिल मेरा दरिया से है आब जुदा

tere mere ḳhvāb judā
Girija Wiyas
Girija Wiyas
Girija Wiyas
poet7 quotes

More by Girija Wiyas

View all →
Quote
"toD sako tum shaakh se mujh ko aisi to main kali nahin huun rok sako tum meri raahein itni uthli nadi nahin huun meri baatein sidhi-saadi makkaari se bhare hue tum mere paas to sachchaai hai jhuT-kapaT se bandhi nahin huun bune hain main ne apne sapne khud hi apni raah banaai raah se tum bhaTkaa do mujh ko niind mein aisi ghiri nahin huun nil-gagan hai meri taaqat dharti mujh ko thaame rakhti koi aandhi mujhe uDaae tinkon ki main bani nahin huun tum bhi zulm kahaan tak karte main bhi unhein kahaan tak sahti tum bhi itne bure nahin ho main bhi aisi bhali nahin huun"
Girija WiyasGirija Wiyas

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer