SHAWORDS

tire karam se tiri be-rukhi se kyaa lenaa — Hameed Nag Puri

"tire karam se tiri be-rukhi se kyaa lenaa mire khulus-e-vafaa ko kisi se kyaa lenaa sukun-e-qalb na aasaaish-e-hayaat nasib ye zindagi hai to is zindagi se kyaa lenaa tu apni vaza ko rusvaa-e-arz-e-haal na kar kisi ko tere gham-e-be-basi se kyaa lenaa kharaab-e-zist huun lekin tiri khushi ke sivaa tire nisaar mujhe zindagi se kyaa lenaa tu meri khu-e-mohabbat badal nahin saktaa zamaane mujh ko tiri be-rukhi se kyaa lenaa sitam hai dam jo miri dosti kaa bharte the vo kah rahe hain tiri dosti se kyaa lenaa hamid asl mein ik gham ko hai sabaat yahaan jise davaam nahin us khushi se kyaa lenaa"
Urdu

ترے کرم سے تری بے رخی سے کیا لینا مرے خلوص وفا کو کسی سے کیا لینا سکون قلب نہ آسائش حیات نصیب یہ زندگی ہے تو اس زندگی سے کیا لینا تو اپنی وضع کو رسوائے عرض حال نہ کر کسی کو تیرے غم بے بسی سے کیا لینا خراب زیست ہوں لیکن تری خوشی کے سوا ترے نثار مجھے زندگی سے کیا لینا تو میری خوئے محبت بدل نہیں سکتا زمانے مجھ کو تری بے رخی سے کیا لینا ستم ہے دم جو مری دوستی کا بھرتے تھے وہ کہہ رہے ہیں تری دوستی سے کیا لینا حمیدؔ اصل میں اک غم کو ہے ثبات یہاں جسے دوام نہیں اس خوشی سے کیا لینا

Hindi

तिरे करम से तिरी बे-रुख़ी से क्या लेना मिरे ख़ुलूस-ए-वफ़ा को किसी से क्या लेना सुकून-ए-क़ल्ब न आसाइश-ए-हयात नसीब ये ज़िंदगी है तो इस ज़िंदगी से क्या लेना तू अपनी वज़्अ को रुसवा-ए-अर्ज़-ए-हाल न कर किसी को तेरे ग़म-ए-बे-बसी से क्या लेना ख़राब-ए-ज़ीस्त हूँ लेकिन तिरी ख़ुशी के सिवा तिरे निसार मुझे ज़िंदगी से क्या लेना तू मेरी ख़ू-ए-मोहब्बत बदल नहीं सकता ज़माने मुझ को तिरी बे-रुख़ी से क्या लेना सितम है दम जो मिरी दोस्ती का भरते थे वो कह रहे हैं तिरी दोस्ती से क्या लेना हमीद अस्ल में इक ग़म को है सबात यहाँ जिसे दवाम नहीं उस ख़ुशी से क्या लेना

tire karam se tirī be-ruḳhī se kyā lenā
Hameed Nag Puri
Hameed Nag Puri
Hameed Nag Puri
poet9 quotes

More by Hameed Nag Puri

View all →
Quote
"qubul kar ke teraa gham khushi khushi main ne tire jamaal ko bakhshi hai zindagi main ne bas ik nigaah-e-tavajjoh pe is tarah khush huun ki jaise daulat-e-kaunain luuT li main ne dhaDak rahaa thaa mire har-nafas mein dil un kaa suni qarib se aavaaz duur ki main ne zamaana taa-ba-abad un ko bhar nahin saktaa jigar pe khaae hain vo zakhm-e-dosti main ne tire jamaal ki sar-mastiyon mein gum ho kar har ek saaat-e-hasti guzaar di main ne khudaa-e-do-jahaan is jurm ko muaaf kare uDaai hai lab-e-gul-rang ki hansi main ne 'hamid' mujh ko zamaana bhulaa nahin saktaa banaa liyaa hai mohabbat ko zindagi main ne"
Hameed Nag PuriHameed Nag Puri
Quote
"khud apne aap se ham be-khabar se guzre hain khabar kahaan ki tiri rahguzar se guzre hain nafas nafas hai moattar nazar nazar shaadaab ki jaise aaj vo khvaab-e-sahar se guzre hain na puchh kitne gul-o-nastaran kaa ruup liye bahaar-e-nau ke taqaaze nazar se guzre hain bahaar-e-khuld ba-har-gaam saath saath rahi tire khayaal mein khoe jidhar se guzre hain amaan mili bhi jo un ko to tere daaman mein vo kaarvaan jo miri chashm-e-tar se guzre hain dilon pe chhoD gae naqsh apni yaadon kaa tumhaare dard ke maare jidhar se guzre hain hasin ho tum ki tumhaari koi misaal nahin hasin yuun to hazaaron nazar se guzre hain 'hamid' puchh na aashob-e-dahr kaa aalam hazaar fitna-e-mahshar nazar se guzre hain"
Hameed Nag PuriHameed Nag Puri
Quote
"vo chaal chal ki zamaana bhi saath chalne lage nigaar-e-zist tiri samt rukh badalne lage vafur-e-yaas mein muzhda hai kis ke aane kaa ye aaj kyuun sar-e-mizhgaan charaagh jalne lage zamaana pher le aankhein to kyaa gilaa us kaa sitam to ye hai ki tum bhi nazar badalne lage mujhe ye Dar hai ba-in vasf-e-ehtiraam-e-vafaa na teri chashm-e-mohabbat kahin badalne lage ye daagh-e-sajda to nang-e-jabin hai ai zaahid agar na soz-e-mohabbat se dil pighalne lage na puchh kis nigah-e-khaas kaa tasarruf hai qadam jo raah-e-mohabbat mein khud sambhalne lage 'hamid' shaam-e-gharibaan kaa kis liye shikva vo dekh jaanib-e-manzil charaagh jalne lage"
Hameed Nag PuriHameed Nag Puri
Quote
"har zarra chashm-e-shauq-e-sar-e-rahguzar hai aaj dil mahv-e-intizaar hai aur kis qadar hai aaj goyaa vo jalva-gar hain nigaahon ke ru-ba-ru is darja eatibaar-e-fareb-e-nazar hai aaj mad-hoshi-e-jamaal hai yaa husn-e-iltifaat tamkin se be-khabar nigah-e-fitnagar hai aaj aahaT pe saans ki tiri aamad kaa hai gumaan hangaama-e-hayaat bhi khaamosh-tar hai aaj jo raaz-e-do-jahaan hai amaanat hai husn ki haasil mujhe vo azmat-e-dard-e-jigar hai aaj manzil kaa mujh ko hosh na apni khabar hai aaj vo jaan-e-aarzu jo miraa ham-safar hai aaj tahlil ho na jaae kahin ruh-e-kaaenaat saaqi jo ye lataafat-e-kaif-e-nazar hai aaj mahviyyat-e-jamaal mein yaaraa-e-guftugu ai arz-e-shauq aalam-e-nau-e-digar hai aaj saaz-e-alam bhi soz-e-tarab-khez hai 'hamid' har ik navaa-e-dard miri naghma-gar hai aaj"
Hameed Nag PuriHameed Nag Puri

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb