Quote
"safar ba-khair ho anjaam tak pahunch jaaein khudaa kare ye qadam shaam tak pahunch jaaein sukhan kaa saaraa safar is liye kiyaa main ne ki mere honT tire naam tak pahunch jaaein nae junun ki aziyyat bhi mohtaram hai mujhe guzishta zakhm to aaraam tak pahunch jaaein makaan-e-husn se baahar bhi dekh aisaa na ho sharif log dar-o-baam tak pahunch jaaein khabar nahin miri aavaaz phir sune koi jinhein pahunchnaa hai kohraam tak pahunch jaaein hasin raat kaa mahtaab Duub jaane se qabl sitaare gardish-e-ayyaam tak pahunch jaaein khudaa ke bande khudaa tak pahunch gae hain 'ali' jo raam vaale hain vo raam tak pahunch jaaein"
