SHAWORDS

us ne chaahat ko miri samt baDhaayaa kab thaa — Asma Mohammad Shahid Khan

"us ne chaahat ko miri samt baDhaayaa kab thaa jaam honTon se mire us ne lagaayaa kab thaa us ko ruThe hue lagtaa hai ki sadiyaan guzrin kyaa kahun raat ne phir aaj sulaayaa kab thaa dil se ik bojh saraktaa rahaa pahlu mein mire haal-e-dil main ne kabhi us ko bataayaa kab thaa raah-e-ulfat mein kabhi main ne tabassum na kiyaa zindagi tu ne mujhe fan ye sikhaayaa kab thaa kis qadar khuun huaa hai mire dil kaa 'asmaa' baar-e-ehsaan bhi kisi gul kaa uThaayaa kab thaa"
Urdu

اس نے چاہت کو مری سمت بڑھایا کب تھا جام ہونٹوں سے مرے اس نے لگایا کب تھا اس کو روٹھے ہوئے لگتا ہے کہ صدیاں گزریں کیا کہوں رات نے پھر آج سلایا کب تھا دل سے اک بوجھ سرکتا رہا پہلو میں مرے حال دل میں نے کبھی اس کو بتایا کب تھا راہ الفت میں کبھی میں نے تبسم نہ کیا زندگی تو نے مجھے فن یہ سکھایا کب تھا کس قدر خون ہوا ہے مرے دل کا اسماؔ بار احساں بھی کسی گل کا اٹھایا کب تھا

Hindi

उस ने चाहत को मिरी सम्त बढ़ाया कब था जाम होंटों से मिरे उस ने लगाया कब था उस को रूठे हुए लगता है कि सदियाँ गुज़रीं क्या कहूँ रात ने फिर आज सुलाया कब था दिल से इक बोझ सरकता रहा पहलू में मिरे हाल-ए-दिल मैं ने कभी उस को बताया कब था राह-ए-उल्फ़त में कभी मैं ने तबस्सुम न किया ज़िंदगी तू ने मुझे फ़न ये सिखाया कब था किस क़दर ख़ून हुआ है मिरे दिल का 'अस्मा' बार-ए-एहसाँ भी किसी गुल का उठाया कब था

us ne chāhat ko mirī samt baḌhāyā kab thā
Asma Mohammad Shahid Khan
Asma Mohammad Shahid Khan
Asma Mohammad Shahid Khan
poet10 quotes

More by Asma Mohammad Shahid Khan

View all →
Quote
"apni hasti ko nigaahon mein giraate kab tak dast-basta tire darbaar mein aate kab tak teri khaamosh-nigaahi kaa bharam kyaa rakhte apne ashkon ko zamaane se chhupaate kab tak sabr ki ret pe ashkon kaa janaaza rakh kar harf-e-khaamosh ko ham she'r banaate kab tak tu jo raazi hi nahin ham se kisi baat pe bhi apne lafzon se tujhe aur manaate kab tak dil ki dahliz pe likkhaa hai tiraa naam abhi zakhm har baar nae dil pe lagaate kab tak main agar dil mein nahin huun to bataa de mujh ko ye tamaasha sar-e-baazaar dikhaate kab tak sab ne maanaa ki ye dil teraa talabgaar rahaa zakhm siine ke zamaane se chhupaate kab tak zindagi khud hi savaalon kaa safar hai 'asmaa' apni aankhon mein javaabon ko sajaate kab tak"
Asma Mohammad Shahid KhanAsma Mohammad Shahid Khan

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari