Quote
"kaise kahin ki jaan se pyaaraa nahin rahaa ye aur baat ab vo hamaaraa nahin rahaa aansu tire bhi khushk hue aur mere bhi nam ab kisi nadi kaa kinaaraa nahin rahaa kuchh din tumhaare lauT ke aane ki aas thi ab is umiid kaa bhi sahaaraa nahin rahaa raste mah-o-nujum ke tabdil ho gae in khiDkiyon mein ek bhi taaraa nahin rahaa samjhe the dusron se bahut mukhtalif tujhe kyaa maan lein ki tu bhi hamaaraa nahin rahaa haathon pe bujh gai hai muqaddar ki kahkashaan yaa raakh ho gayaa vo sitaaraa nahin rahaa tum e’tibaar us ke liye kyuun udaas ho ik shakhs jo kabhi bhi tumhaaraa nahin rahaa"
