SHAWORDS

vahm ki intihaa hai kyaa yaa'ni — Kaif Uddin Khan

"vahm ki intihaa hai kyaa yaa'ni masnad-e-zehn pe khudaa yaa'ni sar-ba-sar bhulne ki koshish mein main use sochtaa rahaa yaa'ni main huun maujud baarhaa tujh mein huun magar khud mein laapata yaa'ni dil dukhaanaa tujhi se sikhaa hai zahr hai zahr ki davaa yaa'ni kitnaa dushvaar hai jiye jaanaa khuld mein bhi sazaa hai kyaa yaa'ni"
Urdu

وہم کی انتہا ہے کیا یعنی مسند ذہن پہ خدا یعنی سر بہ سر بھولنے کی کوشش میں میں اسے سوچتا رہا یعنی میں ہوں موجود بارہا تجھ میں ہوں مگر خود میں لاپتہ یعنی دل دکھانا تجھی سے سیکھا ہے زہر ہے زہر کی دوا یعنی کتنا دشوار ہے جیے جانا خلد میں بھی سزا ہے کیا یعنی

Hindi

वहम की इंतिहा है क्या या'नी मसनद-ए-ज़ेहन पे ख़ुदा या'नी सर-ब-सर भूलने की कोशिश में मैं उसे सोचता रहा या'नी मैं हूँ मौजूद बारहा तुझ में हूँ मगर ख़ुद में लापता या'नी दिल दुखाना तुझी से सीखा है ज़हर है ज़हर की दवा या'नी कितना दुश्वार है जिए जाना ख़ुल्द में भी सज़ा है क्या या'नी

vahm kī intihā hai kyā yā'nī
Kaif Uddin Khan
Kaif Uddin Khan
Kaif Uddin Khan
poet7 quotes

More by Kaif Uddin Khan

View all →
Quote
"bhale sukut mein TuuTe yaa ku-ba-ku TuuTe main chaahtaa huun ki andar ki haao-hu TuuTe tumhaari khaak se taa'mir kyaa nahin hotaa mire vajud ko paikar mile jo tu TuuTe main chaahtaa huun tujhe dekh kar 'ibaadat ho main chaahtaa huun tujhe dekh kar vuzu TuuTe ye raat mushk-fashaan aur nur-afshaan ho kabhi agar jo miraa khvaab-e-rang-o-bu TuuTe kabhi to khvaab-e-pareshaan bhi mahv-e-ghaflat ho kabhi to fikr o taraddud ki justuju TuuTe dikhaai degi hamein ru-baru haqiqat phir agar ye vahm ki murat jo chaar-su TuuTe"
Kaif Uddin KhanKaif Uddin Khan
Quote
"hasin khvaab ke naqsh-o-nigaar kyon TuuTe khilaaf-e-baa'is-e-taa'bir the so yuun TuuTe main is liye bhi tire sehr mein abhi tak huun main chaahtaa hi nahin huun tiraa fusun TuuTe main haar jaaun magar jiit chhin luun tujh se ke is maqaam pe aa kar miraa junun TuuTe jahaan-bhar mein dikhaai de vaahima meraa gire jo khvaab kabhi aankh se to yuun TuuTe shadid shor-e-fughaan chaar-su sunaai de sukut kaa jo mire darmiyaan sutun TuuTe kabhi rakhaa hi nahin dil ko haath par main ne kabhi giraa hi nahin dil to phir ye kyon TuuTe use shikast nahin zarf tu samajh us kaa vo tere saamne ho kar jo sar-nigun TuuTe"
Kaif Uddin KhanKaif Uddin Khan
Quote
"pahle to ye lagaa mujhe us paar gir gai phir yuun huaa ki mujh pe hi divaar gir gai sinchaa lahu se us kaa dil-e-daagh-daar aur mere badan mein khuun ki miqdaar gir gai hone lagi hai barq se meri mumaasalat kuchh is lihaaz se miri raftaar gir gai us ki nigaah-e-naaz se lashkar bhi kaT gae phir kyaa ki mere haath se talvaar gir gai phir zindagi ki mauj se kashti hui tabaah jab dast-e-naa-rasaai se patvaar gir gai main bhi mire nizaam se uupar chalaa gayaa vo bhi had-e-nizaam se bekaar gir gai"
Kaif Uddin KhanKaif Uddin Khan
Quote
"us ko firaaq-e-yaar kaa matlab nahin pata matlab use bhi pyaar kaa matlab nahin pata marnaa to chaahte hain magar kyaa karein ki jab saanson ko ikhtiyaar kaa matlab nahin pata mujh ko bhi ab yaqin kisi baat par nahin us ko bhi e'tibaar kaa matlab nahin pata rakhte ho tum hisaab gham-e-zindagi kaa jo kyaa tum ko be-shumaar kaa matlab nahin pata us se gila karein bhi agar ham to kis liye jis ko ki gham-gusaar kaa matlab nahin pata go kar rahaa hai gul ki hifaazat shajar magar patjhaD ko nau-bahaar kaa matlab nahin pata"
Kaif Uddin KhanKaif Uddin Khan

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud