SHAWORDS

vaqt aisaa bhi hai aane vaalaa — Abdullah Khalid

"vaqt aisaa bhi hai aane vaalaa khud bhi roegaa rulaane vaalaa kuchh bhi ho daad kaa haqdaar to hai tiir par tiir chalaane vaalaa mar gayaa main to kahoge sab se haae vo khvaab dikhaane vaalaa uf ye khaamoshi kaa 'aalam jaise koi tufaan ho aane vaalaa na suni aah na aansu dekhe kitnaa be-mehr thaa jaane vaalaa"
Urdu

وقت ایسا بھی ہے آنے والا خود بھی روئے گا رلانے والا کچھ بھی ہو داد کا حق دار تو ہے تیر پر تیر چلانے والا مر گیا میں تو کہو گے سب سے ہائے وہ خواب دکھانے والا اف یہ خاموشی کا عالم جیسے کوئی طوفان ہو آنے والا نہ سنی آہ نہ آنسو دیکھے کتنا بے مہر تھا جانے والا

Hindi

वक़्त ऐसा भी है आने वाला ख़ुद भी रोएगा रुलाने वाला कुछ भी हो दाद का हक़दार तो है तीर पर तीर चलाने वाला मर गया मैं तो कहोगे सब से हाए वो ख़्वाब दिखाने वाला उफ़ ये ख़ामोशी का 'आलम जैसे कोई तूफ़ान हो आने वाला न सुनी आह न आँसू देखे कितना बे-मेहर था जाने वाला

vaqt aisā bhī hai aane vaalā
Abdullah Khalid
Abdullah Khalid
Abdullah Khalid
poet9 quotes

More by Abdullah Khalid

View all →
Quote
"apnon ke darmiyaan hai magar be-amaan saa dil bhi sitam-rasida hai hindostaan saa naa-mehrbaan hai vaqt magar ek mehrbaan saaya-fagan hai sar pe mire aasmaan saa aghyaar tang-dil hain to apne munaafiqin meraa bhi haal zaar hai urdu zabaan saa muhtaat qurbaton kaa maza hi ajiib hai main khush-gumaan saa huun na to bad-gumaan saa aalaam-o-saanehaat-o-havaadis ke ru-ba-ru kab tak ye musht-e-khaak banegaa chaTaan saa sail-e-shikast-e-khvaab guzar to gayaa magar aankhon mein rah gayaa hai lahu kaa nishaan saa apnaa safar havaaon ke rahm-o-karam pe hai hasti safina-rang hai tan baadbaan saa is daur mein sukun-o-qaraar-o-qiyaam-e-amn 'khaalid' mujhe to lagtaa hai vahm-o-gumaan saa"
Abdullah KhalidAbdullah Khalid
Quote
"aavaargi ke naqsh ubhar kar bikhar gae vo shab-guzaar log na jaane kidhar gae tajdid-e-dosti ke sabab ye huaa zarur kuchh zakhm taaza ho gae kuchh zakhm bhar gae aae to haathon-haath liyaa aur dam-e-vidaa’ kaandhon pe sab uThaae hamein chhoD kar gae vo din bhi the ki madd-e-muqaabil na thaa koi ye din bhi hai ki aaina dekhaa to Dar gae hamdard gham-gusaar mizaaj-aashnaa rafiq kuchh log aas-paas the jaane kidhar gae sar-basta raaz hi rahi ham par hamaari zaat ham be-khabar hi aae the aur be-khabar gae gumnaam kar na paae to badnaam kar diyaa ahbaab mere haq mein baDaa kaam kar gae 'khaalid' jo kah rahe the ki hai 'umr-bhar kaa saath afsos meraa saath vahi chhoD kar gae"
Abdullah KhalidAbdullah Khalid
Quote
"'ishq legaa dil mein jab angDaaiyaan sab dhari rah jaaeingi daanaaiyaan avval avval anjuman-aaraaiyaan aakhirash mahrumiyaan tanhaaiyaan soch liije phir tamanna kijiye sab ko raas aati nahin unchaaiyaan dekh lenaa raushni tak saath hain doston ki khushnumaa parchhaaiyaan hain hamaari nek-naami ki dalil duur tak phaili hui rusvaaiyaan zalzale sailaab tufaan haadse vaqt ki allaah re angDaaiyaan kyon na ho apnaa ta'alluq khush-gavaar tum bhi duniyaa-daar main bhi kaaiyaan"
Abdullah KhalidAbdullah Khalid
Quote
"savaar koi pas-e-parda-e-ghubaar na thaa magar tajassus-e-nazzaara ko qaraar na thaa main is qadar bhi to auhaam kaa shikaar na thaa khushaa vo din ki tiraa lutf baar baar na thaa vo ek shakhs jo rah rah ke yaad aataa hai vafaa-shanaas thaa lekin vafaa-shi'aar na thaa ye haadisa bhi 'ajab hai ki mere hone par sivaae mere koi aur sogvaar na thaa mire yaqin ki zanjir kaT gai hoti tire fareb kaa khanjar hi aab-daar na thaa vo haadse ki lahu-rang ho gayaa ehsaas vo saanahe ki mujhe jin kaa intizaar na thaa"
Abdullah KhalidAbdullah Khalid
Quote
"ik shahr-e-naasapaas kaa nauha hai aur main ab subh-o-shaam vus'at-e-sahraa hai aur main ummid-o-intizaar kaa vaqfa hai aur main dil hai vo nim-baaz daricha hai aur main phir nikhat-e-sabaa ke ta'aaqub kaa hai junun phir dil-lagi kaa ek vasila hai aur main tum ne ye kis maqaam pe chhoDaa hai meraa saath kis kis pe chaarasaazi kaa dhoka hai aur main haalaat pur-sukun na maahaul saazgaar parvardigaar teraa sahaaraa hai aur main allaah ek vaqt mein kis kis ko duun javaab vo hain junun-e-shauq hai duniyaa hai aur main"
Abdullah KhalidAbdullah Khalid