SHAWORDS

vaqt par gar na sanbhaali to bikhar jaaegi — Hasrat Deobandi

"vaqt par gar na sanbhaali to bikhar jaaegi ziist taqdir nahin hai jo sanvar jaaegi kaam kuchh aise miri be-khudi kar jaaegi hosh vaalon ki nigaahon mein akhar jaaegi pyaar baanTo ki tumhein pyaar mile badle mein varna be-kaif yunhi ziist guzar jaaegi chaaplusi se maraatib to mileinge be-shak dar-e-ghairat ki magar aab utar jaaegi ‘azm-o-imaan ke chappu hain salaamat 'hasrat' kashti-e-zist miri paar utar jaaegi"
Urdu

وقت پر گر نہ سنبھالی تو بکھر جائے گی زیست تقدیر نہیں ہے جو سنور جائے گی کام کچھ ایسے مری بے خودی کر جائے گی ہوش والوں کی نگاہوں میں اکھر جائے گی پیار بانٹو کہ تمہیں پیار ملے بدلے میں ورنہ بے کیف یوںہی زیست گزر جائے گی چاپلوسی سے مراتب تو ملیں گے بے شک در غیرت کی مگر آب اتر جائے گی عزم و ایمان کے چپو ہیں سلامت حسرتؔ کشتیٔ زیست مری پار اتر جائے گی

Hindi

वक़्त पर गर न सँभाली तो बिखर जाएगी ज़ीस्त तक़दीर नहीं है जो सँवर जाएगी काम कुछ ऐसे मिरी बे-ख़ुदी कर जाएगी होश वालों की निगाहों में अखर जाएगी प्यार बाँटो कि तुम्हें प्यार मिले बदले में वर्ना बे-कैफ़ यूँही ज़ीस्त गुज़र जाएगी चापलूसी से मरातिब तो मिलेंगे बे-शक दर-ए-ग़ैरत की मगर आब उतर जाएगी ‘अज़्म-ओ-ईमान के चप्पू हैं सलामत 'हसरत' कश्ती-ए-ज़ीस्त मिरी पार उतर जाएगी

vaqt par gar na sañbhālī to bikhar jā.egī
Hasrat Deobandi
Hasrat Deobandi
Hasrat Deobandi
poet12 quotes

More by Hasrat Deobandi

View all →
Quote
"kaun aakhir kah rahaa hai saari duniyaa chaahiye jo hamein apnaa samajhtaa ho vo apnaa chaahiye sar chhupaane ke liye thoDaa saa saaya chaahiye in parindon ko ilaahi aashiyaana chaahiye zabt kaa daaman na chhuTe zarf kahtaa hai magar un ko honTon par mire 'arz-e-tamannaa chaahiye phir ubhaaraa phan yahaan fir’auniyat ke naag ne vaqt ko phir se 'asaa-e-dast-e-musaa chaahiye jin ko kam miltaa hai duniyaa mein vo kam se mutmain ahl-e-sarvat ko ziyaada se ziyaada chaahiye beTiyon ke dam se qaaem hai vujud-e-kaaenaat phir bhi kuchh logon ko 'hasrat' sirf beTaa chaahiye"
Hasrat DeobandiHasrat Deobandi
Quote
"dil bhi hassaas hon aur jin ke kushaada hon dimaagh sirf paate hain vahi asl mein manzil kaa suraagh ujle kapDon se faqat banti nahin shakhsiyyat kab musaavaat kaa haamil huaa shaahin se zaagh ziist ki raah mein fursat ki tavaqqo' hai 'abas marg se pahle yahaan kis ko mayassar hai faraagh apni qudrat ke muaafiq hai yahaan sab kaa 'amal haisiyat sab ki hai suraj ho ki adnaa saa charaagh kyon tamanna ho use aur kisi jaam ki phir ru-baru jis ke hon har dam tiri aankhon ke ayaagh jis ki manzil pe nazar rahti hai 'hasrat' us ke kab qadam rukte hain phir raah mein sahraa hon ki baagh"
Hasrat DeobandiHasrat Deobandi
Quote
"parvaaz jin ki chhuti rahi aasmaan ko ab vo taras rahe hain zaraa si uDaan ko afsos aaj khud hi andheron mein gharq hain baanTi jinhon ne raushni saare jahaan ko mashkuk ho gai hain unhi ki vafaaein haif sinchaa jinhon ne khuun se is gulsitaan ko 'izzat mili usi ko vahi mo'tabar huaa jis ne rakhaa sanbhaal ke apni zabaan ko abbu ne jis ke vaaste khud ko miTaa diyaa beTe miTaa rahe hain usi urdu zabaan ko har tiir ho rahaa hai khataa e'tibaar kaa 'hasrat' durust kijiye apni kamaan ko"
Hasrat DeobandiHasrat Deobandi

More on Khudi

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
Irfan SattarIrfan Sattar