"kaun aakhir kah rahaa hai saari duniyaa chaahiye jo hamein apnaa samajhtaa ho vo apnaa chaahiye sar chhupaane ke liye thoDaa saa saaya chaahiye in parindon ko ilaahi aashiyaana chaahiye zabt kaa daaman na chhuTe zarf kahtaa hai magar un ko honTon par mire 'arz-e-tamannaa chaahiye phir ubhaaraa phan yahaan fir’auniyat ke naag ne vaqt ko phir se 'asaa-e-dast-e-musaa chaahiye jin ko kam miltaa hai duniyaa mein vo kam se mutmain ahl-e-sarvat ko ziyaada se ziyaada chaahiye beTiyon ke dam se qaaem hai vujud-e-kaaenaat phir bhi kuchh logon ko 'hasrat' sirf beTaa chaahiye"
jaane kis jurm ki ahbaab sazaa dete hain — Hasrat Deobandi
"jaane kis jurm ki ahbaab sazaa dete hain mujh ko is daur mein jiine ki du'aa dete hain ro ke sunte hain yahaan gham kaa fasaana sab log aur phir hans ke havaaon mein uDaa dete hain kuuch karte hain kahin se jo parinde samjho aane vaali kisi aafat kaa pataa dete hain saahib-e-fan hain bahut ahl-e-siyaasat ham ko thapkiyaan dete hain vaa'don ki sulaa dete hain ham to us qaum k farzand hain 'hasrat' saahab zakhm khaa kar bhi jo dushman ko du'aa dete hain"
جانے کس جرم کی احباب سزا دیتے ہیں مجھ کو اس دور میں جینے کی دعا دیتے ہیں رو کے سنتے ہیں یہاں غم کا فسانہ سب لوگ اور پھر ہنس کے ہواؤں میں اڑا دیتے ہیں کوچ کرتے ہیں کہیں سے جو پرندے سمجھو آنے والی کسی آفت کا پتا دیتے ہیں صاحب فن ہیں بہت اہل سیاست ہم کو تھپکیاں دیتے ہیں وعدوں کی سلا دیتے ہیں ہم تو اس قوم کے فرزند ہیں حسرتؔ صاحب زخم کھا کر بھی جو دشمن کو دعا دیتے ہیں
जाने किस जुर्म की अहबाब सज़ा देते हैं मुझ को इस दौर में जीने की दु'आ देते हैं रो के सुनते हैं यहाँ ग़म का फ़साना सब लोग और फिर हँस के हवाओं में उड़ा देते हैं कूच करते हैं कहीं से जो परिंदे समझो आने वाली किसी आफ़त का पता देते हैं साहिब-ए-फ़न हैं बहुत अहल-ए-सियासत हम को थपकियाँ देते हैं वा'दों की सुला देते हैं हम तो उस क़ौम के फ़रज़ंद हैं 'हसरत' साहब ज़ख़्म खा कर भी जो दुश्मन को दु'आ देते हैं

More by Hasrat Deobandi
View all →"dil bhi hassaas hon aur jin ke kushaada hon dimaagh sirf paate hain vahi asl mein manzil kaa suraagh ujle kapDon se faqat banti nahin shakhsiyyat kab musaavaat kaa haamil huaa shaahin se zaagh ziist ki raah mein fursat ki tavaqqo' hai 'abas marg se pahle yahaan kis ko mayassar hai faraagh apni qudrat ke muaafiq hai yahaan sab kaa 'amal haisiyat sab ki hai suraj ho ki adnaa saa charaagh kyon tamanna ho use aur kisi jaam ki phir ru-baru jis ke hon har dam tiri aankhon ke ayaagh jis ki manzil pe nazar rahti hai 'hasrat' us ke kab qadam rukte hain phir raah mein sahraa hon ki baagh"
"parvaaz jin ki chhuti rahi aasmaan ko ab vo taras rahe hain zaraa si uDaan ko afsos aaj khud hi andheron mein gharq hain baanTi jinhon ne raushni saare jahaan ko mashkuk ho gai hain unhi ki vafaaein haif sinchaa jinhon ne khuun se is gulsitaan ko 'izzat mili usi ko vahi mo'tabar huaa jis ne rakhaa sanbhaal ke apni zabaan ko abbu ne jis ke vaaste khud ko miTaa diyaa beTe miTaa rahe hain usi urdu zabaan ko har tiir ho rahaa hai khataa e'tibaar kaa 'hasrat' durust kijiye apni kamaan ko"
"gar vo sab se judaa nahin rahtaa main use sochtaa nahin rahtaa TuuT jaae jo ek baar bharam devtaa devtaa nahin rahtaa ru-baru jis ghaDi vo hote hain mujh ko apnaa pataa nahin rahtaa saath ho jab safar mein maan ki du'aa haadisa haadisa nahin rahtaa baal aa jaae ek baar agar aaina aaina nahin rahtaa band hotaa nahin vo dar 'hasrat' jab koi dar khulaa nahin rahtaa"
"paron pe kis ke hai teri uDaan jaantaa huun tujhe nahin main tiraa khaandaan jaantaa huun na baar baar miraa zabt aazmaa zaalim vagarna dusri main bhi zabaan jaantaa huun kabhi diyaa nahin jis ne salaam kaa bhi javaab hai aaj kis liye vo mehrbaan jaantaa huun na jhuTe khvaab dikhaa mujh ko shish-mahlon ke mire liye hai khulaa aasmaan jaantaa huun tire liye hi bhaTaktaa huun main yahaan se vahaan vagarna shahr mein apnaa makaan jaantaa huun"
"ye iqtidaar kaa panchhi abhi uDaan mein hai mizaaj is liye zaalim kaa aasmaan mein hai ta'assubaat kaa chashma utaar kar paDhiye jagah jagah pe miraa zikr daastaan mein hai har ek baar samundar kaa TuTtaa hai ghurur khaDi hai vaise hi ye hausla chaTaan mein hai safar rahegaa 'uruj-o-zavaal kaa jaari kabhi to palTegaa paansa tu kis gumaan mein hai jo chal gayaa to sunaa degaa faisla apnaa ki tiir vaqt kaa 'hasrat' abhi kamaan mein hai"
More on Hasrat
View all →"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"saaqi tiraa jamaal bhi meri nazar mein hai main jaantaa huun nuur jo shams-o-qamar mein hai meraa lahu bahaa ke adu mutmain nahin ab meraa khaandaan bhi us ki nazar mein hai akhbaar dekhtaa hai vo hasrat ki aankh se qaari ki zindagi kisi achchhi khabar mein hai yunhi nahin hai shaam se aankhon mein iztiraab khushbu bataa rahi hai koi rahguzar mein hai maanjhi badal badal ke miri fikr thak gai lekin miraa safina abhi tak bhanvar mein hai chhuTkaaraa paa gae hain sabhi is khayaal se insaaniyat kaa dard faqat mere sar mein hai dariyaa ke do kinaare hain milte nahin kabhi 'muztar' azal se bair yahaan khair-o-shar mein hai"
"ik zaraa si dil ki hasrat tum se ulfat aur tum bas hai itni si zarurat thoDi raahat aur tum muddaton se mukhtalif hain meri qismat aur tum kyon muqaddar mein nahin tum se mohabbat aur tum ho bahut masruf tum yaa hai koi naaraazgi saath mein milte nahin ab thoDi fursat aur tum tum bichhaD kar bhi na mujh se ho sake pal-bhar judaa mujh mein baaqi hai tumhaari har ik aadat aur tum apne aangan se nahin kuchh duriyon se hi sahi hai mujhe haasil tumhaare gul ki nikhat aur tum huun baDi mushkil mein apne dil-makaan ko dekh kar saath kaise rah sakeinge is mein vahdat aur tum munhasir tum par hai mere dil ki har ik aarzu ek minnat ek jannat ek farhat aur tum"
"hanstaa hai to har letaa hai har piir hamaari ik shakhs badal detaa hai taasir hamaari aankhon ke kinaaron pe vo kaajal ki lakirein vaapas hamein rakhni paDi shamshir hamaari didaar ki hasrat liye aankhon mein kisi din divaar pe lag jaaegi tasvir hamaari aankhon se vo de detaa hai jaane ki ijaazat ashkon ko banaa detaa hai zanjir hamaari baaqi ye tiraa jism to tujh ko hi mubaarak hanste hue ye honT hain jaagir hamaari"
"jab kabhi khubi-e-qismat se tujhe dekhte hain aaina-khaane ki hairat se tujhe dekhte hain vo jo paamaal-e-zamaana hain mire takht-nashin dekh to kaisi mohabbat se tujhe dekhte hain kaasa-e-did mein bas ek jhalak kaa sikka ham faqiron ki qanaa'at se tujhe dekhte hain tere jaane kaa khayaal aataa hai ghar se jis dam dar-o-divaar ki hasrat se tujhe dekhte hain tere kuche mein chale jaate hain qaasid ban kar aur aksar usi surat se tujhe dekhte hain kah gai baad-e-sabaa aaj tire kaan mein kyaa phuul kis darja sharaarat se tujhe dekhte hain tujh ko kyaa 'ilm tujhe haarne vaale kuchh log kis qadar sakht nadaamat se tujhe dekhte hain"