"raat bhar pi ke laDkhaDaate raho subh masjid mein sar jhukaate raho toD Daalo tilism-e-bu-e-gul mausam-e-gul mein khaak uDaate raho mahl taa'mir kar lo dariyaa mein ret mein kashtiyaan chalaate raho hijr ki shab guzar hi jaaegi taaza filmon ke giit gaate raho phuns mein aag dhar ke haT jaao chain ki baansuri bajaate raho mat Daro nanhe-munne olon se be-dhaDak apnaa sar munDaate raho sab raqibon se dosti kar lo man-ghaDat vasl ki sunaate raho ab bhi milte hain gaanTh ke puure DhunDh lo aur udhaar khaate raho naam rakh lo khalil khaan apnaa aur phir faakhta uDaate raho log maghlub ho hi jaaeinge she'r ghaalib ke gungunaate raho ham bhi ustaad hain suno 'alvi' apni ghazlein hamein dikhaate raho"
vo din kitnaa achchhaa thaa — Mohammad Alvi
"vo din kitnaa achchhaa thaa main ji bhar ke royaa thaa havaa Thumak ke chalti thi haathon mein guldasta thaa huuk si uThti thi dil mein unchaa nichaa rasta thaa yahi peD the pahle bhi yahin kahin ik chashma thaa chashme kaa soyaa paani mujh dekh ke chaunkaa thaa paani chhoD ke ik gidaD ik jhaaDi mein lapkaa thaa do meinDak Tarrae the ek parinda chikhaa thaa ik kachhvaa ik patthar par patthar ban ke baiThaa thaa main paani mein utraa to paani zor se uchhlaa thaa pahle bhi is jangal se ek baar main guzraa thaa lekin pahli baar 'alvi' yaad nahin kyaa sochaa thaa"
وہ دن کتنا اچھا تھا میں جی بھر کے رویا تھا ہوا ٹھمک کے چلتی تھی ہاتھوں میں گلدستہ تھا ہوک سی اٹھتی تھی دل میں اونچا نیچا رستہ تھا یہی پیڑ تھے پہلے بھی یہیں کہیں اک چشمہ تھا چشمے کا سویا پانی مجھ دیکھ کے چونکا تھا پانی چھوڑ کے اک گیدڑ اک جھاڑی میں لپکا تھا دو مینڈک ٹرائے تھے ایک پرندہ چیخا تھا اک کچھوا اک پتھر پر پتھر بن کے بیٹھا تھا میں پانی میں اترا تو پانی زور سے اچھلا تھا پہلے بھی اس جنگل سے ایک بار میں گزرا تھا لیکن پہلی بار علویؔ یاد نہیں کیا سوچا تھا
वो दिन कितना अच्छा था मैं जी भर के रोया था हवा ठुमक के चलती थी हाथों में गुलदस्ता था हूक सी उठती थी दिल में ऊँचा नीचा रस्ता था यही पेड़ थे पहले भी यहीं कहीं इक चश्मा था चश्मे का सोया पानी मुझ देख के चौंका था पानी छोड़ के इक गीदड़ इक झाड़ी में लपका था दो मेंडक टर्राए थे एक परिंदा चीख़ा था इक कछवा इक पत्थर पर पत्थर बन के बैठा था मैं पानी में उतरा तो पानी ज़ोर से उछला था पहले भी इस जंगल से एक बार मैं गुज़रा था लेकिन पहली बार 'अल्वी' याद नहीं क्या सोचा था

More by Mohammad Alvi
View all →"bujhe bujhe baahar rahte hain ghar mein aa kar mar rahte hain khvaabon kaa ik shahr hai jis mein tarah tarah ke Dar rahte hain ek zaraa saa dil hai apnaa log is mein kyun-kar rahte hain ik jaise din raat hain phir bhi roz nae chakkar rahte hain aap agar milnaa chaahein to shaam ko 'alvi' ghar rahte hain"
"abhi to aur bhi din baarishon ke aane the karishme saare use aaj hi dikhaane the hiqaaratein hi milin ham ko zang-aaluda dilon mein yuun to kai qism ke khazaane the ye dasht tel kaa pyaasaa na thaa khudaa-vandaa yahaan to chaar chhe dariyaa tujhe bahaane the kisi se koi ta'alluq rahaa na ho jaise kuchh is tarah se guzarte hue zamaane the parinde duur fazaaon mein kho gae 'alvi ujaaD ujaaD darakhton pe aashiyaane the"
"chaak kar lo agar girebaan hai dosto mausam-e-bahaaraan hai dil hai pyaasaa husain ke maanind ye badan karbalaa kaa maidaan hai kitnaa mushkil hai zindagi karnaa aur na socho to kitnaa aasaan hai san chhihattar se mil lo ji bhar ke ji liye kaise aql hairaan hai"
"ik ik kar ke sab jaate hain kyaa jaane ham kab jaate hain tanhaai ke bojh tale ham raat aae to dab jaate hain vo to aur kahin hotaa hai us ke ghar ham jab jaate hain kahne sunne ko ab kyaa hai bhaai mire ham ab jaate hain aisaa kyon hotaa hai 'alvi din kyon be-matlab jaate hain"
"binaa murghe ke par jhaTakti hain murghiyaan dar-ba-dar bhaTakti hain nazm itraae to bajaa bhi hai bi ghazal kis liye maTakti hain ek haasid ki ek naaqid ki sar pe talvaarein do laTakti hain ye bhi shaaer hain in ke baalon mein fikr-o-fan ki juein bhaTakti hain 'alvi' ye goliyaan hain shohrat ki ye gale mein kahaan aTakti hain"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"