"kuchh na khat mein na kuchh javaab mein hai jo bhi kuchh hai tire hisaab mein hai ye vafaa bhi jafaa ke baab mein hai jaan meri bhi ik azaab mein hai tere jalve se mehr-e-aalam-taab nuur jis tarah maahtaab mein hai apni hai aur manzil-e-maqsud aap kaa kucha paaturaab mein hai kuchh na samjhe haqiqat-e-aalam saaraa hangaama ek khvaab mein hai tum ne kyaa baat raat kah di thi ghair bhi aaj iztiraab mein hai rashk-e-ishrat hai lazzat-e-hasrat kuchh gunah mein hai ne savaab mein hai hosh aaegaa ab qayaamat ko saari duniyaa abhi to khvaab mein hai jab se vaada kiyaa hai aane kaa 'qaadri' un ke roab-o-daab mein hai"
vo ek shakhs ki jo saath saath phirtaa thaa — Khalid Hasan Qadiri
"vo ek shakhs ki jo saath saath phirtaa thaa nazar jo badli to phir vo nazar nahin aayaa phiraa kiye hain chahl saal dasht-e-vahshat mein kisi ko yaad tiraa rahguzar nahin aayaa bahut jataayaa kisi ne ki saath saath thaa vo hamein to yaad koi ham-safar nahin aayaa kahaa thaa shaam se pahle hi lauT aaegaa hamein khayaal rahaa raat bhar nahin aayaa thake hue the bahut baiTh jaate saae mein hamaari raah mein koi shajar nahin aayaa ye raah-e-koh-e-nidaa hai qadam na apne baDhaa vahaan se lauT ke koi bashar nahin aayaa bahut hudud-e-zamaan-o-makaan se duur gae hamein to raas kabhi bhi safar nahin aayaa nahin ki yaad pataa us ko mere ghar kaa na thaa tamaam shahr mein ghumaa idhar nahin aayaa misaal-e-saaya thaa vo phir bhi duur duur rahaa hazaar saal hue lauT kar nahin aayaa rahaa raqib se hujjat mein 'qaadri' masruf magar vo le ke tumhaari khabar nahin aayaa"
وہ ایک شخص کہ جو ساتھ ساتھ پھرتا تھا نظر جو بدلی تو پھر وہ نظر نہیں آیا پھرا کیے ہیں چہل سال دشت وحشت میں کسی کو یاد ترا رہ گزر نہیں آیا بہت جتایا کسی نے کہ ساتھ ساتھ تھا وہ ہمیں تو یاد کوئی ہم سفر نہیں آیا کہا تھا شام سے پہلے ہی لوٹ آئے گا ہمیں خیال رہا رات بھر نہیں آیا تھکے ہوئے تھے بہت بیٹھ جاتے سائے میں ہماری راہ میں کوئی شجر نہیں آیا یہ راہ کوہ ندا ہے قدم نہ اپنے بڑھا وہاں سے لوٹ کے کوئی بشر نہیں آیا بہت حدود زمان و مکاں سے دور گئے ہمیں تو راس کبھی بھی سفر نہیں آیا نہیں کہ یاد پتا اس کو میرے گھر کا نہ تھا تمام شہر میں گھوما ادھر نہیں آیا مثال سایہ تھا وہ پھر بھی دور دور رہا ہزار سال ہوئے لوٹ کر نہیں آیا رہا رقیب سے حجت میں قادریؔ مصروف مگر وہ لے کے تمہاری خبر نہیں آیا
वो एक शख़्स कि जो साथ साथ फिरता था नज़र जो बदली तो फिर वो नज़र नहीं आया फिरा किए हैं चहल साल दश्त-ए-वहशत में किसी को याद तिरा रहगुज़र नहीं आया बहुत जताया किसी ने कि साथ साथ था वो हमें तो याद कोई हम-सफ़र नहीं आया कहा था शाम से पहले ही लौट आएगा हमें ख़याल रहा रात भर नहीं आया थके हुए थे बहुत बैठ जाते साए में हमारी राह में कोई शजर नहीं आया ये राह-ए-कोह-ए-निदा है क़दम न अपने बढ़ा वहाँ से लौट के कोई बशर नहीं आया बहुत हुदूद-ए-ज़मान-ओ-मकाँ से दूर गए हमें तो रास कभी भी सफ़र नहीं आया नहीं कि याद पता उस को मेरे घर का न था तमाम शहर में घूमा इधर नहीं आया मिसाल-ए-साया था वो फिर भी दूर दूर रहा हज़ार साल हुए लौट कर नहीं आया रहा रक़ीब से हुज्जत में 'क़ादरी' मसरूफ़ मगर वो ले के तुम्हारी ख़बर नहीं आया

More by Khalid Hasan Qadiri
View all →"fasaana-e-gham-e-dil mukhtasar nahin hotaa ab us gali se hamaaraa guzar nahin hotaa hazaar aise ki phirte hain jo khalaaon mein magar ik ham ki vatan mein safar nahin hotaa jise masil samajhte ho be-misaal hai vo jo ek baar ho baar-e-digar nahin hotaa khud apnaa saath bhi ham ko giraan guzartaa hai safar vahi hai jahaan ham-safar nahin hotaa amiir us kaa lahu pi rahaa hai barson se magar gharib pe koi asar nahin hotaa khalaa se guzre hain mirrikh par bhi pahunche hain magar kisi kaa falak par guzar nahin hotaa"
"aadmi bhi aadmi kaa raazdaan hotaa nahin be khabar rahtaa hai lekin bad-gumaan hotaa nahin zahmatein yaksaan makaan-o-laa-makaan se kyaa huaa kyaa khalaaon se pare bhi aasmaan hotaa nahin ham ki khud rah-rav bhi hain rahbar bhi hain rahzan bhi hain vaan pahunchte hain jahaan par kaarvaan hotaa nahin baDh gae ikhvaan-e-yusuf se ye ikhvaanus-safaa pheink dete hain vahaan jis jaa kuaan hotaa nahin hai jaraahat-aafrin darmaan-e-dard-e-laa-davaa shoala kartaa hai sharar-baari dhuaan hotaa nahin husn-e-be-pardaa harif-e-taab-e-nazzaara nahin ho nazar ke saamne lekin ayaan hotaa nahin marg-e-be-hangaam apne shahr kaa maamul hai log mar jaate hain koi nauha-khvaan hotaa nahin jo bhi ho jis haal mein hai zindagi us ko aziiz jaan-e-jaan kahne se kuchh jaan-e-jahaan hotaa nahin be-adaa-kaari bhi khaamoshi se mar jaate hain log yaan pe koi khel mirzaa saahebaan hotaa nahin"
"mere aaine mein tum surat-e-zebaa dekho tum ne ab tak jo na dekhaa ho vo jalvaa dekho ik jahaan daavat-e-nazzaara hai kyaa kyaa dekho husn-e-didaar-talab kaa bhi tamaashaa dekho jaagti aankhon ke khvaabon ki bhi taabirein hon khvaab kal raat jo dekhaa thaa adhuraa dekho hai vahi maulaa vahi apnaa vakil aur nasir tum yahud aur nasaaraa kaa sahaaraa dekho kurra-e-arz bhi mehvar se haTaa jaataa hai be-jahat husn kaa ik ye bhi tamaashaa dekho surma-e-shams-o-qamar raahat-e-chashm-e-nargis dil-e-binaa se hi kaifiyyat-e-fardaa dekho kahkashaan luuT di hai haath baDhaa kar ham ne ab khalaa se bhi pare jaa ke ujaalaa dekho ham khalaaon se bhi angaare lapak lete hain kis jagah girtaa hai TuuTaa huaa taaraa dekho nai duniyaa mein nae chaand sitaare laao 'qaadri' ne bhi lagaayaa hai ye shosha dekho"
"buton se kuchh na huaa jo huaa khudaa se huaa davaa se kuchh na banaa jo huaa du'aa se huaa bharam daraazi-e-daamaan-e-yaar kaa na rahaa ajiib kaam mire dast-e-naa-rasaa se huaa dilon ko sabr-o-sukun to na mil sakaa lekin koi to kaam tiri chashm-e-baa-hayaa se huaa lagaa di aag si jangal mein naa-bakaaron ke ye faaeda to miri aatishin-navaa se huaa dilon ko ishq ne bakhshi hayaat-e-gham-afzaa ajab nishaana khataa tir-e-be-khataa se huaa qalandaron ne ulaT di bisaat-e-mai-khaana na rind se huaa aur kuchh na paarsaa se huaa mukhaalifon ki bhi jo dushmani se ho na sakaa vo kaam ik mire dam-saaz-o-aashnaa se huaa na kuchh bhi kar sake ashaab-e-fil the to bahut jo kuchh huaa tire darvesh-e-be-navaa se huaa ghuTan to dil ki rahi qasr-e-marmarin mein bhi na raushni se huaa kuchh na kuchh havaa se huaa vo ek qatl kaa ilzaam sar pe thaa so rahaa qisaas se na huaa kuchh na khun-bahaa se huaa"
"jalva-e-nau-bahaar ne luuT liyaa luTaa diyaa gesu-e-mushk-baar ne luuT liyaa luTaa diyaa bazm mein kah ke haal-e-dil un ko kyaa hai muzmahil dida-e-ashk-baar ne luuT liyaa luTaa diyaa haae vo dil-farebiyaan husn-e-nazar-fareb ki jalva-e-husn-e-yaar ne luuT liyaa luTaa diyaa pursish-e-gham pe haath se daaman-e-zabt chhuT gayaa mehr-e-nigaah-e-yaar ne luuT liyaa luTaa diyaa un ki nazar ki kyaa khataa dil se huaa qusur-e-shauq apne hi raaz-daar ne luuT liyaa luTaa diyaa haae vo chashm-e-nargis-e-jaam-e-sharaab-e-aatishin gardish-e-chashm-e-yaar ne luuT liyaa luTaa diyaa aae bhi yaa na aae ab mujh ko gharaz bahaar se kaif-e-gham-e-bahaar ne luuT liyaa luTaa diyaa daavar-e-hashr ke huzur shikve zabaan pe ruk gae dida-e-sharmsaar ne luuT liyaa luTaa diyaa aah-e-jigar-khraash se nazm-e-jahaan badal diyaa 'khaalid'-e-dil-e-figaar ne luuT liyaa luTaa diyaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"