"yaad aa gayaa vo shakhs to yaad aae jaaegaa rulvaae jaaegaa hamein taDpaae jaaegaa taa'bir se kabhi to navaazegaa aasmaan kab tak hamaare khvaab-mahal Dhaae jaaegaa sar 'ishq ki muhim nahin hoti dimaagh se jo sochtaa rahegaa vo ghabraae jaaegaa itnaa bhi sabr-o-shukr kaa qaail nahin ki dil har kaifiyat mein aap ke gun gaae jaaegaa aataa hai rahm naaseh-e-mushfiq ke haal par be-chaara 'umr-bhar hamein samjhaae jaaegaa nazrein haTaa haTaa ke na kyon guftugu karein ham dekhe jaaeinge to vo sharmaae jaaegaa thoDi 'sha'ur' aur chaDhaa le to har taraf saaghar nachaae jaaegaa chhalkaae jaaegaa"
ye mat puchho ki kaisaa aadmi huun — Anwar Shuoor
"ye mat puchho ki kaisaa aadmi huun karoge yaad, aisaa aadmi huun miraa naam-o-nasab kyaa puchhte ho! zalil-o-khvaar-o-rusvaa aadmi huun taaaruf aur kyaa is ke sivaa ho ki main bhi aap jaisaa aadmi huun zamaane ke jhamelon se mujhe kyaa miri jaan! main tumhaaraa aadmi huun chale aayaa karo meri taraf bhii! mohabbat karne vaalaa aadmi huun tavajjoh mein kami beshi na jaano azizo! main akelaa aadmi huun guzaarun ek jaisaa vaqt kab tak koi patthar huun main yaa aadmi huun 'shuur' aa jaao mere saath, lekin! main ik bhaTkaa huaa saa aadmi huun"
یہ مت پوچھو کہ کیسا آدمی ہوں کرو گے یاد، ایسا آدمی ہوں مرا نام و نسب کیا پوچھتے ہو! ذلیل و خوار و رسوا آدمی ہوں تعارف اور کیا اس کے سوا ہو کہ میں بھی آپ جیسا آدمی ہوں زمانے کے جھمیلوں سے مجھے کیا مری جاں! میں تمہارا آدمی ہوں چلے آیا کرو میری طرف بھی! محبت کرنے والا آدمی ہوں توجہ میں کمی بیشی نہ جانو عزیزو! میں اکیلا آدمی ہوں گزاروں ایک جیسا وقت کب تک کوئی پتھر ہوں میں یا آدمی ہوں شعورؔ آ جاؤ میرے ساتھ، لیکن! میں اک بھٹکا ہوا سا آدمی ہوں
ये मत पूछो कि कैसा आदमी हूँ करोगे याद, ऐसा आदमी हूँ मिरा नाम-ओ-नसब क्या पूछते हो! ज़लील-ओ-ख़्वार-ओ-रुस्वा आदमी हूँ तआ'रुफ़ और क्या इस के सिवा हो कि मैं भी आप जैसा आदमी हूँ ज़माने के झमेलों से मुझे क्या मिरी जाँ! मैं तुम्हारा आदमी हूँ चले आया करो मेरी तरफ़ भी! मोहब्बत करने वाला आदमी हूँ तवज्जोह में कमी बेशी न जानो अज़ीज़ो! मैं अकेला आदमी हूँ गुज़ारूँ एक जैसा वक़्त कब तक कोई पत्थर हूँ मैं या आदमी हूँ 'शुऊर' आ जाओ मेरे साथ, लेकिन! मैं इक भटका हुआ सा आदमी हूँ

More by Anwar Shuoor
View all →"rahi raat un se mulaaqaat kam mudaaraat khaasi hui baat kam tiri yaad itnaa baDaa kaam hai ki maalum hote hain din raat kam kahin dil bahaltaa nahin shahr mein na baazaar kam hain na baaghaat kam mohabbat mein hoti hain insaan ko shikastein ziyaada futuhaat kam sambhaale hue hai ye shoba bhi dil ab aankhon se hoti hai barsaat kam dimaaghon ki parvaaz maalum hai savaalaat vaafir javaabaat kam bahut son se achchhaa huun phir bhi 'shuur' digar-gun nahin mere haalaat kam"
"mere siine mein kuchh zer-o-zabar hai chaman mein ghaaliban vaqt-e-sahar hai chalaa jaataa huun aksar shahr vaalo bayaabaan mein bhi meraa ek ghar hai jo chehre par nazar aati hai mere meri rangat nahin gard-e-safar hai koi Tiktaa nahin dil mein ziyaada ye goyaa ghar nahin hai rahguzar hai nazar aate hain bas aamaal sab ko mere ahvaal par kis ki nazar hai agar 'anvar-shu'ur' aisaa kare to nazar-andaaz kar denaa bashar hai"
"aise dekhaa hai ki dekhaa hi na ho jaise mujh ko tiri parvaa hi na ho baaz ghar shahr mein aise dekhe jaise un mein koi rahtaa hi na ho mujh se katraa ke bhalaa kyuun jaataa shaayad us ne mujhe dekhaa hi na ho ye samajhtaa hai har aane vaalaa main na aauun to tamaashaa hi na ho yuun bhaTakne pe huun qaane jaise raaston mein koi dariyaa hi na ho raat har chaap pe aataa thaa khayaal uTh ke dekhun koi aayaa hi na ho kaise chhoDun dar-o-divaar apne kyaa khabar lauT ke aanaa hi na ho hain sabhi ghair to apnaa maskan shahr kyuun ho koi sahraa hi na ho yuun to kahne ko bahut kuchh hai 'shuur' kyaa kahun jab koi suntaa hi na ho"
"ittifaaq apni jagah khush-qismati apni jagah khud banaataa hai jahaan mein aadmi apni jagah kah to saktaa huun magar majbur kar saktaa nahin ikhtiyaar apni jagah hai bebasi apni jagah kuchh na kuchh sachchaai hoti hai nihaan har baat mein kahne vaale Thiik kahte hain sabhi apni jagah sirf us ke honT kaaghaz par banaa detaa huun main khud banaa leti hai honTon par hansi apni jagah dost kahtaa huun tumhein shaaer nahin kahtaa 'shuur' dosti apni jagah hai shaaeri apni jagah"
"tum guzre the kis jaldi se dekh rahaa thaa main khiDki se main imaan nahin bechungaa roTi khaa lungaa chaTni se sil ko bhi dil kar detaa hai gham achchhaa hotaa hai khushi se jis jis ne vo aankhein dekhin tauba kar li mai-noshi se nafsaa-nafsi kaa 'aalam hai rakh na 'sha'ur' ummid kisi se"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"