SHAWORDS

zehn-o-dil mein basi hain divaarein — Abid Karhani

HomeAbid KarhaniGhazal
"zehn-o-dil mein basi hain divaarein jaane kab se khaDi hain divaarein dhuup utre bhi kaise aangan mein har taraf to khaDi hain divaarein sahn mein ek bhi nahin divaar zehn mein uTh rahi hain divaarein do sage bhaaiyon kaa jhagDaa hai faisla kar rahi hain divaarein meraa chehra mujhe dikhaati hain aaina ban gai hain divaarein kachchi miTTi ke mere ghar ke liye aandhiyon se laDi hain divaarein kaan dhar kar suno ki sadiyon ki daastaan kah rahi hain divaarein aisi divaarein saamne hain mire jin ke pichhe khaDi hain divaarein meraa qad bhi bahut baDaa hai magar mere qad se baDi hain divaarein 'aabid' uDne kaa khvaab kyaa dekhein har taraf to khaDi hain divaarein"
Urdu

ذہن و دل میں بسی ہیں دیواریں جانے کب سے کھڑی ہیں دیواریں دھوپ اترے بھی کیسے آنگن میں ہر طرف تو کھڑی ہیں دیواریں صحن میں ایک بھی نہیں دیوار ذہن میں اٹھ رہی ہیں دیواریں دو سگے بھائیوں کا جھگڑا ہے فیصلہ کر رہی ہیں دیواریں میرا چہرہ مجھے دکھاتی ہیں آئنہ بن گئی ہیں دیواریں کچی مٹی کے میرے گھر کے لیے آندھیوں سے لڑی ہیں دیواریں کان دھر کر سنو کہ صدیوں کی داستاں کہہ رہی ہیں دیواریں ایسی دیواریں سامنے ہیں مرے جن کے پیچھے کھڑی ہیں دیواریں میرا قد بھی بہت بڑا ہے مگر میرے قد سے بڑی ہیں دیواریں عابدؔ اڑنے کا خواب کیا دیکھیں ہر طرف تو کھڑی ہیں دیواریں

Hindi

ज़ेहन-ओ-दिल में बसी हैं दीवारें जाने कब से खड़ी हैं दीवारें धूप उतरे भी कैसे आँगन में हर तरफ़ तो खड़ी हैं दीवारें सहन में एक भी नहीं दीवार ज़ह्न में उठ रही हैं दीवारें दो सगे भाइयों का झगड़ा है फ़ैसला कर रही हैं दीवारें मेरा चेहरा मुझे दिखाती हैं आइना बन गई हैं दीवारें कच्ची मिट्टी के मेरे घर के लिए आंधियों से लड़ी हैं दीवारें कान धर कर सुनो कि सदियों की दास्ताँ कह रही हैं दीवारें ऐसी दीवारें सामने हैं मिरे जिन के पीछे खड़ी हैं दीवारें मेरा क़द भी बहुत बड़ा है मगर मेरे क़द से बड़ी हैं दीवारें 'आबिद' उड़ने का ख़्वाब क्या देखें हर तरफ़ तो खड़ी हैं दीवारें

zehn-o-dil meñ basī haiñ dīvāreñ
Abid Karhani
Abid Karhani
Abid Karhani
poet8 quotes

More by Abid Karhani

View all →
Quote
"jab bhi apne sar se apnaa qad sivaa lagne lage mat samajh lenaa ki tum sab ko khudaa lagne lage tu miri aavaaz mein kyon is tarah shaamil huaa main kisi ko duun sadaa teri sadaa lagne lage us ke chehre par jo paD jaae tire chehre kaa 'aks shaakh se TuuTaa huaa pattaa haraa lagne lage is qadar nafrat hai mere bhaaiyon ke zehn mein mere haq kaa zahr bhi un ko davaa lagne lage maan tire mamtaa bhare honTon mein vo taasir hai bad-du'aa bhi tere honTon ki du'aa lagne lage dekh kar ham ko kabhi munh pherte hain khauf se is kaa matlab hai ki ham bhi aaina lagne lage vaqt achchhaa ho to dushman saa ye ban kar saath de vaqt paD jaae to saaya bhi judaa lagne lage main ne shishon ki tijaarat is liye to ki na thi pattharon ko khud miraa chehraa buraa lagne lage"
Abid KarhaniAbid Karhani
Quote
"dasht mein chhaanv koi DhunD nikaali jaae apni hi zaat ki divaar banaa li jaae ye to mumkin hai ki divaar giraa dein lekin kaise girti hui divaar sambhaali jaae DhunDhnaa hogaa khad-o-khaal ki duniyaa mein jise pahle us shakhs ki tasvir banaa li jaae dil ho faiyyaz to bas ek hi dar kaafi hai kyaa zaruri hai ki har dar pe savaali jaae tum jo bole to mili zauq-e-anaa ko taskin mujh ko Dar thaa miri aavaaz na khaali jaae likh to dein har dar-o-divaar pe 'aabid' lekin baat aisi hai ki siine mein chhupaa li jaae"
Abid KarhaniAbid Karhani
Quote
"tegh rakhte hain na ham tir-o-tabar rakhte hain haan yazidon se na jhuk paae vo sar rakhte hain be-khabar logon ko ehsaas nahin hai is kaa jo khabar vaale hain har shai ki khabar rakhte hain phuTi kauDi ke nahin hain ye magas jaise log sirf insaan ke zakhmon pe nazar rakhte hain koi yaaraan-e-shari'at se ye jaa kar puchhe pahle dil rakhte hain sajde mein ki sar rakhte hain hai koi ham mein jo thaktaa nahin chalte chalte ghar mein rah kar bhi ham ehsaas-e-safar rakhte hain aandhiyaan is ko gale aa ke lagaa lein shaayad ik diyaa aur sar-e-raahguzar rakhte hain bojh sar par liye phirnaa nahin aataa ham ko jo masaail hain hamaare unhein ghar rakhte hain ek patjhaD saa lagaa rahtaa hai har dam dil mein ham jo siine mein ye ehsaas-e-shajar rakhte hain niind jab ham ko sataati hai bahut maidaan mein apni khinchi hui talvaar pe sar rakhte hain aae jo qatl ke darpe hai muqaabil aae ham bhi siine ko sadaa apne sipar rakhte hain bad-du’aaon kaa nahin hogaa asar kuchh 'aabid' ham buzurgon ki du'aaon kaa asar rakhte hain"
Abid KarhaniAbid Karhani
Quote
"buzurgon ki du'aaein saath rakhnaa baDi lu hai ridaaein saath rakhnaa kabutar uD rahe hain aarzu ke tajassus faakhtaaein saath rakhnaa zahaanat burdbaari inkisaari safar mein khaadmaaein saath rakhnaa gundhaa hai jin se mil kar teraa bachpan vo bargad ki jaTaaein saath rakhnaa Dubo deti hain jo qaumon ko pal mein na vo rangin qabaaein saath rakhnaa mujhe jannat mein gar rakhnaa ilaahi madine ki havaaein saath rakhnaa bhale hi vo judaa ho jaaein 'aabid' magar dil se na jaaein saath rakhnaa"
Abid KarhaniAbid Karhani
Quote
"aalam-e-khvaab sahi khvaab mein chalte rahiye raat kaT jaaegi karvaT to badalte rahiye kis ko maalum kahaan se koi patthar aa jaae hausla ho to andheron mein nikalte rahiye ban hi jaaegaa kabhi koi khudi kaa paikar apne ehsaas ki garmi se pighalte rahiye zindagi silsila-e-khvaab-e-tamannaa hai koi raat bhar khvaab ko khvaabon se badalte rahiye ham pe kyaa hogaa zamaane ki havaaon kaa asar aap mausam ki tarah roz badalte rahiye zindagi kyaa hai saraabon kaa safar hai 'aabid' vaqt ki ret pe din raat machalte rahiye"
Abid KarhaniAbid Karhani

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari