Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Javed Akhtar
ye mujh se puchhte hain chaaragar kyuun
ki tu zinda to hai ab tak magar kyuun
jo rasta chhoD ke main jaa rahaa huun
usi raste pe jaati hai nazar kyuun
· · ·
Javed Akhtar
dard kuchh din to mehmaan Thahre
ham ba-zid hain ki mezbaan Thahre
sirf tanhaai sirf viraani
ye nazar jab uThe jahaan Thahre
· · ·
Javed Akhtar
khulaa hai dar pa tiraa intizaar jaataa rahaa
khulus to hai magar e'tibaar jaataa rahaa
kisi ki aankh mein masti to aaj bhi hai vahi
magar kabhi jo hamein thaa khumaar jaataa rahaa
· · ·
Javed Akhtar
zindagi ki aandhi mein zehn kaa shajar tanhaa
tum se kuchh sahaaraa thaa aaj huun magar tanhaa
zakhm-khurda lamhon ko maslahat sambhaale hai
an-ginat marizon mein ek chaaragar tanhaa
· · ·
Javed Akhtar
ye tasalli hai ki hain naashaad sab
main akelaa hi nahin barbaad sab
sab ki khaatir hain yahaan sab ajnabi
aur kahne ko hain ghar aabaad sab
· · ·
Javed Akhtar
ba-zaahir kyaa hai jo haasil nahin hai
magar ye to miri manzil nahin hai
ye tuuda ret kaa hai beach dariyaa
ye bah jaaegaa ye saahil nahin hai
· · ·
Javed Akhtar
pyaas ki kaise laae taab koi
nahin dariyaa to ho saraab koi
zakhm-e-dil mein jahaan mahaktaa hai
isi kyaari mein thaa gulaab koi
· · ·
Javed Akhtar
na khushi de to kuchh dilaasa de
dost jaise ho mujh ko bahlaa de
aagahi se mili hai tanhaai
aa miri jaan mujh ko dhoka de
· · ·
Javed Akhtar
dil mein mahak rahe hain kisi aarzu ke phuul
palkon pe khilne vaale hain shaayad lahu ke phuul
ab tak hai koi baat mujhe yaad harf harf
ab tak main chun rahaa huun kisi guftugu ke phuul
· · ·
Javed Akhtar
sukhi Tahni tanhaa chiDiyaa phikaa chaand
aankhon ke sahraa mein ek nami kaa chaand
us maathe ko chume kitne din biite
jis maathe ki khaatir thaa ik Tiikaa chaand
· · ·
Javed Akhtar
ham ne DhunDein bhi to DhunDein hain sahaare kaise
in saraabon pe koi umr guzaare kaise
haath ko haath nahin sujhe vo taariki thi
aa gae haath mein kyaa jaane sitaare kaise
· · ·
Javed Akhtar
hamaare dil mein ab talkhi nahin hai
magar vo baat pahle si nahin hai
mujhe maayus bhi karti nahin hai
yahi aadat tiri achchhi nahin hai
· · ·
Javed Akhtar
yaqin kaa agar koi bhi silsila nahin rahaa
to shukr kijiye ki ab koi gilaa nahin rahaa
na hijr hai na vasl hai ab is ko koi kyaa kahe
ki phuul shaakh par to hai magar khilaa nahin rahaa
· · ·
Javed Akhtar
saari hairat hai miri saari adaa us ki hai
be-gunaahi hai miri aur sazaa us ki hai
mere alfaaz mein jo rang hai vo us kaa hai
mere ehsaas mein jo hai vo fazaa us ki hai
· · ·
Javed Akhtar
jism damaktaa, zulf ghaneri, rangin lab, aankhein jaadu
sang-e-marmar, uudaa baadal, surkh shafaq, hairaan aahu
bhikshu-daani, pyaasaa paani, dariyaa saagar, jal gaagar
gulshan khushbu, koyal kuku, masti daaru, main aur tu
· · ·
Javed Akhtar
dil kaa har dard kho gayaa jaise
main to patthar kaa ho gayaa jaise
daagh baaqi nahin ki naqsh kahun
koi divaar dho gayaa jaise
· · ·
Javed Akhtar
shukr hai khairiyat se huun saahab
aap se aur kyaa kahun saahab
ab samajhne lagaa huun sud-o-ziyaan
ab kahaan mujh mein vo junun saahab
· · ·
Javed Akhtar
main khud bhi sochtaa huun ye kyaa meraa haal hai
jis kaa javaab chaahiye vo kyaa savaal hai
ghar se chalaa to dil ke sivaa paas kuchh na thaa
kyaa mujh se kho gayaa hai mujhe kyaa malaal hai
· · ·
Javed Akhtar
sach ye hai be-kaar hamein gham hotaa hai
jo chaahaa thaa duniyaa mein kam hotaa hai
Dhaltaa suraj phailaa jangal rasta gum
ham se puchho kaisaa aalam hotaa hai
· · ·
Javed Akhtar
yahi haalaat ibtidaa se rahe
log ham se khafaa khafaa se rahe
in charaaghon mein tel hi kam thaa
kyuun gila ham ko phir havaa se rahe
· · ·
Javed Akhtar
gham hote hain jahaan zehaanat hoti hai
duniyaa mein har shai ki qimat hoti hai
aksar vo kahte hain vo bas mere hain
aksar kyuun kahte hain hairat hoti hai
· · ·
Javed Akhtar
ham to bachpan mein bhi akele the
sirf dil ki gali mein khele the
ik taraf morche the palkon ke
ik taraf aansuon ke rele the
· · ·
Javed Akhtar
main kab se kitnaa huun tanhaa tujhe pataa bhi nahin
tiraa to koi khudaa hai miraa khudaa bhi nahin
kabhi ye lagtaa hai ab khatm ho gayaa sab kuchh
kabhi ye lagtaa hai ab tak to kuchh huaa bhi nahin
· · ·
Javed Akhtar
dast-bardaar agar aap ghazab se ho jaaein
har sitam bhuul ke ham aap ke ab se ho jaaein
chaudhvin shab hai to khiDki ke giraa do parde
kaun jaane ki vo naaraaz hi shab se ho jaaein
· · ·







