Quote
"vujud naghma-saraa hai hayaat raqs mein hai vo sarkhushi hai ki sab kaaenaat raqs mein hai churaa ke laayaa huun charkh-e-kuhan se taabaani huzur-e-'adl miri vaardaat raqs mein hai vo chal paDaa hai su-e-hashr koi aavaara taraazu vajd mein hai pul-siraat raqs mein hai gunaah-e-rasm-kushi ham pe kyon na ho saabit subut naach rahe hain sabaat raqs mein hai jhaTak diyaa hai ye kis mah-jabin ne zulfon ko ki taabishon se bayaabaan ki raat raqs mein hai tabib nuskhe mein 'aazaad' likh rahaa hai junun khushaa vo dard ki jis se najaat raqs mein hai"







