Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Abul Khair Nashtar
ab ke mausam kaa khvaab likh denaa
Daali Daali gulaab likh denaa
ham ne likkhaa hai chaand saa chehra
tum use maahtaab likh denaa
· · ·
Abul Khair Nashtar
vo ahd-e-mukhlisaana ab kahaan hai
laDakpan kaa zamaana ab kahaan hai
vahi hai chaand taare bhi vahi hain
mohabbat vaalihaana ab kahaan hai
· · ·
Abul Khair Nashtar
khudaa karim hai itnaa karam hi farmaae
main us ko bhulnaa chaahun vo mujh ko yaad aae
fazaa mein nuur havaaon mein us ki khushbu hai
Thahar ai vaqt ki jaan-e-bahaar aa jaae
· · ·
Abul Khair Nashtar
khauf-e-zulmat se larazti hai fazaa ab ke baras
zahr mein Duub gai baad-e-sabaa ab ke baras
chain saDkon pe mayassar na sukun hai ghar mein
is tarah phaili hai dahshat ki vabaa ab ke baras
· · ·
Abul Khair Nashtar
aaine se aankh laDi hai
armaanon pe os paDi hai
ghar aangan zulmat ke pahre
darvaaze par dhuup jaDi hai
· · ·
Abul Khair Nashtar
ye ahd kar ke nikalnaa bahut zaruri hai
safar mein samt badalnaa bahut zaruri hai
zamin ki kokh use baanjh kar gai varna
chaman kaa phulnaa phalnaa bahut zaruri hai
· · ·
Abul Khair Nashtar
mujh ko khud se milaa de baabaa
jivan paar lagaa de baabaa
shahr-e-dil mein ghor andheraa
man ki jot jalaa de baabaa
· · ·
Abul Khair Nashtar
koi hangaama na aahaT na sadaa hai koi
dil ki dahliz pe phir qatl huaa hai koi
shahr-e-tanhaai moattar hai tiri yaadon se
phuul ehsaas ke gulshan mein khilaa hai koi
· · ·
Abul Khair Nashtar
qatre qatre ko kabhi tarsaa na thaa
main ki dariyaa thaa koi sahraa na thaa
hasraton ki jhiil par kohraa na thaa
ham-safar suraj thaa main tanhaa na thaa
· · ·
Abul Khair Nashtar
zahr piitaa hai shab-o-roz duaa detaa hai
paikar-e-khaak hi jannat kaa pataa detaa hai
gosha-e-zehn mein jaltaa hai raunat kaa charaagh
dil ki basti mein vahi aag lagaa detaa hai
· · ·
Abul Khair Nashtar
mere ashaar mein alfaaz ke jauhar dekho
band hai fikr ke kuuze mein samundar dekho
har taraf jalva-fagan nuur kaa manzar dekho
dekhne vaalo mire qalb ke andar dekho
· · ·
Abul Khair Nashtar
hamaare qalb ke aangan mein tu nahin rahtaa
saraab-e-husn tiri justuju nahin rahtaa
kuchh aisaa zakhm diyaa irtiqaai suraj ne
ragon mein dauDne vaalaa lahu nahin rahtaa
· · ·
Abul Khair Nashtar
nae maani nae uslub likhnaa
ghazal ko chaand kaa mahbub likhnaa
shuur-e-zindagi anqaa hai lekin
safar ke zaaiqe marghub likhnaa
· · ·
Abul Khair Nashtar
harif-e-sang huun miTTi se pyaar kartaa huun
lahu se apne gulaabon mein rang bhartaa huun
qadam qadam pe tiraa intizaar kartaa huun
main zindagi ke tajassus mein roz martaa huun
· · ·
Abul Khair Nashtar
fahm-o-idraak kaa husul samajh
main huun aadam mujhe rasul samajh
kaj-nigaahi ko apni bhuul samajh
aadamiyyat ke kuchh usuul samajh
· · ·
Abul Khair Nashtar
aaina ru-ba-ru hai shikasta khaDaa huun main
duniyaa samajh rahi hai ki sab se baDaa huun main
sadiyon se ik nigaah ko aankhein taras gaiin
dil ko bichhaae raah mein kab se khaDaa huun main
· · ·
Abul Khair Nashtar
khud apnaa ehtisaab kiyaa kuchh nahin kiyaa
zarre ko aaftaab kiyaa kuchh nahin kiyaa
honTon pe tishnagi kaa samundar liye hue
sahraa ko aab aab kiyaa kuchh nahin kiyaa
· · ·







