Quote
"vo ahd-e-mukhlisaana ab kahaan hai laDakpan kaa zamaana ab kahaan hai vahi hai chaand taare bhi vahi hain mohabbat vaalihaana ab kahaan hai saraab-e-zindagi aankhon mein raushan nigaah-e-taairaana ab kahaan hai ayaan zulmat ke pahre basti basti vo azm-e-faatehaana ab kahaan hai tajassus mein hamaari umr guzri muhaajir kaa Thikaana ab kahaan hai sanad kaa zoam zehn-o-dil mein lekin shuur-e-aalimaana ab kahaan hai koi 'ghaalib' koi 'iqbaal' 'nashtar' vo mansab shaairaana ab kahaan hai"
