Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Ahmad Sageer
sabhi khudaaon se teri amaan chaahti hai
ilaahi ab ke zamin aasmaan chaahti hai
andhere baargah-e-rab se izn paate hain
ye raushni hi charaaghon ki jaan chaahti hai
· · ·
Ahmad Sageer
baDi gudaaz pashemaaniyon pe zinda rahe
ham apne khvaab ki viraaniyon pe zinda rahe
unhein lagaa thaa ki ye log maare jaaeinge
sunahre log hare paaniyon pe zinda rahe
· · ·
Ahmad Sageer
faakhtaaon ke bikhere hue par le jaao
ye zaruri hai yahi rakht-e-safar le jaao
aur to kyaa hi bachaa aankh ke viraane mein
hai koi khvaab saa ik raat-badar le jaao
· · ·
Ahmad Sageer
main anaayaas bhaTaktaa rahaa viraane mein
achchhaa-khaasaa thaa khudaa us ke badan-khaane mein
bahr se khele hue saare shanaavar ik din
Duub jaate hain kisi chaah-e-zanakhdaane mein
· · ·
Ahmad Sageer
dil ye jis aarzu se Dartaa hai
raat-din us ke taiin hi martaa hai
dukh jalaavan se zehn bhaTTi par
yaadein pakti hain peT bhartaa hai
· · ·
Ahmad Sageer
subh kaise hui ghazaalon ki
raat thi surkh aankh vaalon ki
tirgi kaa galaa dabaate hue
saans ukhaDne lagi ujaalon ki
· · ·
Ahmad Sageer
ye kaun is darja aatishin rakh-rakhaav mein hai
ye kis kaa chehra hai jo dahakte alaav mein hai
sadaa-e-kun is ke baa'd shaayad kabhi na aae
hamaari takhliq apne antim paDaav mein hai
· · ·
Ahmad Sageer
ye kaun is darja aatishin rakh-rakhaav mein hai
ye kis kaa chehra hai jo dahakte alaav mein hai
sadaa-e-kun is ke baa'd shaayad kabhi na aae
hamaari takhliq apne antim paDaav mein hai
· · ·
Ahmad Sageer
hasin hai to rahe subh teri par nahin kar
main shab-parast huun mujh par abhi sahar nahin kar
jo raah main ne chuni hai kahin nahin jaati
umid-e-naaz mujhe apnaa ham-safar nahin kar
· · ·
Ahmad Sageer
koi saayaa pas-e-divaar Thahar jaaegaa
raushni vaalaa jise dekh ke Dar jaaegaa
is ke aage tire saahil kaa badan chamkegaa
dil samundar hai yahin aa ke Thahar jaaegaa
· · ·
Ahmad Sageer
karb se bharne ko jab aai miri raat ki aankh
ek suraj ne uThaai phir inaayaat ki aankh
meri har baat se baaton kaa ziyaan hotaa thaa
us ki khaamoshi ne kholi thi miri baat ki aankh
· · ·
Ahmad Sageer
bechaare sahraa ko ik nivaala nahin bachaa hai
hamaare paanv mein koi chhaalaa nahin bachaa hai
vo shahr-e-hijraan kaa aakhiri fard thaa so khush thaa
ki us se koi bichhaDne vaalaa nahin bachaa hai
· · ·
Ahmad Sageer
vo maarka jo hai nahin sar ho nahin rahaa
ik be-fasil shahr mein dar ho nahin rahaa
main chaahtaa huun teri mohabbat yatim ho
par meri badduaa mein asar ho nahin rahaa
· · ·
Ahmad Sageer
main jise dasht samajhtaa rahaa ghar niklaa hai
kyaa ajab meri duaaon se asar niklaa hai
dil ki taariki se ik naala khudaa ki jaanib
jaantaa hai nahin pahunchegaa magar niklaa hai
· · ·
Ahmad Sageer
kisi badan ki tamanna mein gham nikal aae
ghamon ko bhuuk lagi thi so ham nikal aae
ajab sakhi hai zamaane mein baanT detaa hai
main jitnaa ishq use de duun kam nikal aae
· · ·
Ahmad Sageer
muntazir huun main apne aazar kaa
lenaa hai intiqaam Thokar kaa
naa-khudaaon ki niyyaton ki qasam
hai bharosa to bas samundar kaa
· · ·
Ahmad Sageer
khair se dil ne kisi taur bahal jaanaa hai
par miri jaan tujhe yaan se nikal jaanaa hai
auj par hai abhi jaltaa huaa suraj chhu lo
bakht Dhal jaane ki shai hai ise Dhal jaanaa hai
· · ·
Ahmad Sageer
ik mehrbaan kaa sab se baDaa Dar bhi main hi thaa
aur apni aastin ke andar bhi main hi thaa
vo main thaa jo buton kaa mukhaalif banaa rahaa
jis ne unhein taraashaa vo aazar bhi main hi thaa
· · ·
Ahmad Sageer
tazaad-e-zaat mein chhupte hue chhupaate hue
main thak gayaa huun bahut zindagi nibhaate hue
khudaa karim miri aakhiri umiid ki khair
nujumi khauf mein thaa zaaicha banaate hue
· · ·
Ahmad Sageer
ik taqaaza pas-e-divaar kiyaa jaaegaa
aur phir ishq se inkaar kiyaa jaaegaa
vo sisakti hui taabir sirhaane hogi
jab mujhe khvaab se bedaar kiyaa jaaegaa
· · ·
Ahmad Sageer
hamaare honTon pe ek muddat se jis kaa nauha machal rahaa hai
ye utraa utraa udaas chehra kabhi hamaari ghazal rahaa hai
ajab nazaara-parast dilbar hai tum sunoge to hans paDoge
lahu rulaataa hai aur kahtaa hai surkh chashma ubal rahaa hai
· · ·
Ahmad Sageer
TuuTi hui qabron mein kahin the ki nahin the
sab ahl-e-havas zer-e-zamin the ki nahin the
dibaacha-e-imkaan mein rakh chhoDne vaale
ham log bataa ahl-e-yaqin the ki nahin the
· · ·
Ahmad Sageer
mere alfaaz ko guftaar ko khaa jaaegi
meri vahshat mire afkaar ko khaa jaaegi
ashk roko nahi bah jaane do varna ik din
ye nami jism ki divaar ko khaa jaaegi
· · ·
Ahmad Sageer
is aalam-e-pur-dard mein dukh sab kaa khudaa hai
dil baargah-e-dukh mein 'aqidat se khaDaa hai
ai shaam-nashin raat ki tahvil mein aa jaa
ik khvaab teri raahguzar dekh rahaa hai
· · ·







