SHAWORDS

dil ye jis aarzu se Dartaa hai — Ahmad Sageer

HomeAhmad SageerGhazal
"dil ye jis aarzu se Dartaa hai raat-din us ke taiin hi martaa hai dukh jalaavan se zehn bhaTTi par yaadein pakti hain peT bhartaa hai shaam ke baa'd sher hote hain shaam ke baa'd gham utartaa hai ek naa-binaa ishq shaam-o-sahar yusufistaan ki sair kartaa hai dil-girafta udaasiyon ke darun ik tabassum baDaa akhartaa hai yaa badan hai yaa ishq hai kaaran be-vajah kaun hi sanvartaa hai"
Urdu

دل یہ جس آرزو سے ڈرتا ہے رات دن اس کے تئیں ہی مرتا ہے دکھ جلاون سے ذہن بھٹی پر یادیں پکتی ہیں پیٹ بھرتا ہے شام کے بعد شعر ہوتے ہیں شام کے بعد غم اترتا ہے ایک نا بینا عشق شام و سحر یوسفستاں کی سیر کرتا ہے دل گرفتہ اداسیوں کے دروں اک تبسم بڑا اکھرتا ہے یا بدن ہے یا عشق ہے کارن بے وجہ کون ہی سنورتا ہے

Hindi

दिल ये जिस आरज़ू से डरता है रात-दिन उस के तईं ही मरता है दुख जलावन से ज़ेहन भट्टी पर यादें पकती हैं पेट भरता है शाम के बा'द शेर होते हैं शाम के बा'द ग़म उतरता है एक ना-बीना इश्क़ शाम-ओ-सहर यूसुफ़िस्ताँ की सैर करता है दिल-गिरफ़्ता उदासियों के दरूँ इक तबस्सुम बड़ा अखरता है या बदन है या इश्क़ है कारन बे-वजह कौन ही सँवरता है

dil ye jis aarzū se Dartā hai
Ahmad Sageer
Ahmad Sageer
Ahmad Sageer
poet57 quotes

More by Ahmad Sageer

View all →
Quote
"faakhtaaon ke bikhere hue par le jaao ye zaruri hai yahi rakht-e-safar le jaao aur to kyaa hi bachaa aankh ke viraane mein hai koi khvaab saa ik raat-badar le jaao ai bhaTakne ke iraade se nikalne vaalo ham se kuchh dasht-navardi kaa hunar le jaao ek kashti baDi itraae hai dariyaa uupar us ke gaalon mein jo paDte hain bhanvar le jaao baiThe baiThe main kahin aur chalaa jaataa huun yaar tum apni mohabbat kaa asar le jaao ham ne jhuk kar nahin aane ki qasam khaai hai pahle maathe se ulajhtaa huaa dar le jaao hukm-e-sultaan ki taamil tumhaare liye hai main nahin jaa rahaa chaaho to ye sar le jaao"
Ahmad SageerAhmad Sageer
Quote
"ye kaun is darja aatishin rakh-rakhaav mein hai ye kis kaa chehra hai jo dahakte alaav mein hai sadaa-e-kun is ke baa'd shaayad kabhi na aae hamaari takhliq apne antim paDaav mein hai ise Thaharne kaa hukm de kar kharaab mat kar nadi kaa saaraa vajud is ke bahaav mein hai ye bint-e-hairat vo be-niyaazi kaa devtaa hai mileinge kyaa jab tazaad itnaa subhaav mein hai chanaab-e-ghaiz-o-ghazab bas itnaa khayaal rakhnaa hamaari kul kaaenaat is TuuTi naav mein hai jo be-tarah ki ghaTaa ruke to ham aankhein dekhein abhi ye niilaa gulaab ik jal-bhraav mein hai"
Ahmad SageerAhmad Sageer
Quote
"sabhi khudaaon se teri amaan chaahti hai ilaahi ab ke zamin aasmaan chaahti hai andhere baargah-e-rab se izn paate hain ye raushni hi charaaghon ki jaan chaahti hai use badan ki haqiqat se ham-kanaar karo vo ruh-zaadi ghalat imtihaan chaahti hai main jaantaa huun tiri baat ban chuki hai kahin magar ye talkh haqiqat gumaan chaahti hai mujhe nigaahon ki bhaashaa nahin samajh aati miri umiid tumhaari zabaan chaahti hai hamein na baagh-e-iram chaahiye na jaam-e-jam hamaari tesha-mizaaji chaTaan chaahti hai hazaar saalon ki pyaasi ye dasht ki devi navaah-e-najd kaa ek aur javaan chaahti hai"
Ahmad SageerAhmad Sageer

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer