Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Ajay Sahaab
tanhaaiyon mein ashk bahaane se kyaa milaa
khud ko diyaa banaa ke jalaane se kyaa milaa
mujh se bichhaD ke ret saa vo bhi bikhar gayaa
us jaane vaale shakhs ko jaane se kyaa milaa
· · ·
Ajay Sahaab
dhire dhire dard kaa ye zaaiqa baDhtaa gayaa
jitne bhi aansu mile utnaa nasha baDhtaa gayaa
vo bhi kuchh kahte rahe aur ham bhi kuchh kahte rahe
phir bhi kyon khaamoshiyon kaa daaera baDhtaa gayaa
· · ·
Ajay Sahaab
meri tanhaai ne chup-chaap guzaarish kar di
raat ne aankhon mein phir khvaab ki baarish kar di
jab bulaayaa inhein ye dauD ke aaiin phir se
mujh pe phir se tiri yaadon ne navaazish kar di
· · ·
Ajay Sahaab
hai mire hind ki tahzib ki paikar urdu
apni mushtarka viraasat ki hai dukhtar urdu
is ke har lafz mein tahzib ki nuraani hai
lafz-e-taabaan liye hai mehr-e-munavvar urdu
· · ·
Ajay Sahaab
ye miri ghazal kaa mizaaj hai kabhi aag hai kabhi phuul hai
kabhi qahqahon kaa hai qaafila kabhi aansuon se malul hai
jo de pyaar tu use pyaar de jo de dard us ko mu'aaf kar
yahi zindagi kaa hai qaaeda yahi dosti kaa usuul hai
· · ·
Ajay Sahaab
tiraa hi naam kaafi hai to ghairon kaa bayaan kyon ho
nae kirdaar se bojhal ye meri daastaan kyon ho
tire bhi paanv baDhte hain miri baahein bhi phaili hain
to phir ye faasla itnaa hamaare darmiyaan kyon ho
· · ·
Ajay Sahaab
dil miraa soz-e-nihaan se umr bhar betaab thaa
kashti-e-dil kaa muqaddar pur-khatar girdaab thaa
vaan ki aariz surkh thaa rang-e-tilaa-e-naab se
yaan vufur-e-ashk se mizhgaan miraa simaab thaa
· · ·
Ajay Sahaab
hai nafas nafas tiri aarzu hai qadam qadam tiri justuju
main jahaan rahun main kahin chalun tiri yaad milti hai ku-ba-ku
hai havaa mein jaise mahak tiri kisi abr mein hai jhalak teri
miri shaam ke ye nuqush bhi tire jaise lagte hain hu-ba-hu
· · ·
Ajay Sahaab
jang-e-hayaat-o-maut mein kyaa kyaa nahin huaa
guzraa hai dard had se pe chaara nahin huaa
main ne sadaa rakhin yahin qatron si fitratein
main aaj tak ghurur kaa dariyaa nahin huaa
· · ·
Ajay Sahaab
din mein jiitaa huun magar raat mein mar jaataa huun
ik talaatum saa hai yaadon kaa jidhar jaataa huun
main ne tujh jaise kisi shakhs ko chaahaa thaa kabhi
ab to is baat ko sochun bhi to Dar jaataa huun
· · ·
Ajay Sahaab
fan jo meaar tak nahin pahunchaa
apne shahkaar tak nahin pahunchaa
pagDi pairon mein kaise main rakhtaa
haath dastaar tak nahin pahunchaa
· · ·
Ajay Sahaab
sab hai faani yahaan sansaar mein kis kaa kyaa hai
fikr phir bhi hai tujhe apnaa paraayaa kyaa hai
aap kaa pahlaa hi andaaz bataa detaa hai
aap ko aap ke vaalid ne sikhaayaa kyaa hai
· · ·
Ajay Sahaab
bhuul paae na tujhe aaj bhi rone vaale
tu kahaan hai miri aankhon ko bhigone vaale
ham kisi ghair ke ho jaaein ye mumkin hi nahin
aur tum to kabhi apne nahin hone vaale
· · ·
Ajay Sahaab
lagaa ke dhaDkan mein aag meri ba-rang-e-raqs-e-sharar gayaa vo
mujhe banaa ke sulagtaa sahraa mire jahaan se guzar gayaa vo
yuun niind se kyuun mujhe jagaa kar charaagh-e-ummid phir jalaa kar
hui sahar to use bujhaa kar havaa ke jaisaa guzar gayaa vo
· · ·
Ajay Sahaab
jab bhi milte hain to jiine ki duaa dete hain
jaane kis baat ki vo ham ko sazaa dete hain
haadse jaan to lete hain magar sach ye hai
haadse hi hamein jiinaa bhi sikhaa dete hain
· · ·
Ajay Sahaab
yuun hi har baat pe hansne kaa bahaana aae
phir vo maasum saa bachpan kaa zamaana aae
kaash lauTein mire paapaa bhi khilaune le kar
kaash phir se mire haathon mein khazaana aae
· · ·
Ajay Sahaab
ham bhi guzar gae yahaan kuchh pal guzaar ke
raatein thiin qarz ki yahaan din the udhaar ke
jaise puraanaa haar thaa rishta tiraa miraa
achchhaa kiyaa jo rakh diyaa tu ne utaar ke
· · ·
Ajay Sahaab
sahraa-e-laa-hudud mein tishna-labi ki khair
maahaul-e-ashk-baar mein lab ki hansi ki khair
laffaaz saare ban gae shaah-e-sukhan yahaan
saadiq sukhan-varon ki sukhan-parvari ki khair
· · ·
Ajay Sahaab
naadaan dil ne dekhiye kyaa kyaa samajh liyaa
har shakhs ko jahaan mein apnaa samajh liyaa
suraj jo ek roz zaraa der se ugaa
jugnu ne aasmaan ko apnaa samajh liyaa
· · ·
Ajay Sahaab
maut hoti nahin jismon kaa fanaa ho jaanaa
asl mein maut hai mahrum-e-baqaa ho jaanaa
vaqt to guzraa magar zakhm puraane na hue
mere zakhmon ki to fitrat hai nayaa ho jaanaa
· · ·
Ajay Sahaab
shaam aai hai liye haath mein yaadon ke charaagh
vo tire saath guzaare hue lamhon ke charaagh
mere is ghar mein andheraa kabhi hotaa hi nahin
hain mire siine mein jalte hue zakhmon ke charaagh
· · ·
Ajay Sahaab
bikhraa huun jab main khud yahaan koi mujhe giraae kyuun
pahle se raakh raakh huun phir bhi koi bujhaae kyuun
iisaa na vo nabi koi adnaa saa aadmi koi
phir bhi salib-e-dard ko sar pe koi uThaaein kyuun
· · ·
Ajay Sahaab
vo jo phuul the tiri yaad ke tah-e-dast-e-khaar chale gae
tire shahr mein bhi sukun hai tire be-qaraar chale gae
na vo ashk ab na vo aable na vo chikhti hui dhaDkanein
miri zaat se tire dard ke sabhi ishtihaar chale gae
· · ·
Ajay Sahaab
raat jab TuuT kar bikhar jaae
jaagne vaalaa phir kidhar jaae
umr guzri hai jaise kaanon se
sarsaraati havaa guzar jaae
· · ·







