SHAWORDS

dil miraa soz-e-nihaan se umr bhar betaab thaa — Ajay Sahaab

HomeAjay SahaabGhazal
"dil miraa soz-e-nihaan se umr bhar betaab thaa kashti-e-dil kaa muqaddar pur-khatar girdaab thaa vaan ki aariz surkh thaa rang-e-tilaa-e-naab se yaan vufur-e-ashk se mizhgaan miraa simaab thaa jaise khoje kaafiron mein nikhat-e-imaan koi haasil-e-haq is jahaan mein is qadar naayaab thaa vaan ki us ko niind misl-e-maghfirat haasil rahi yaan koi aazurdagi se taa-qazaa be-khvaab thaa jab likhaa dil kaa fasaana bah gayaa kaaghaz kahin ashk the itne ravaan meraa qalam pur-aab thaa sher aise kah ke bhi haasil miraa gum-naam hai varna meraa ye hunar to qaabil-e-alqaab thaa"
Urdu

دل مرا سوز نہاں سے عمر بھر بیتاب تھا کشتئ دل کا مقدر پر خطر گرداب تھا واں کہ عارض سرخ تھا رنگ طلائے ناب سے یاں وفور اشک سے مژگاں مرا سیماب تھا جیسے کھوجے کافروں میں نکہت ایماں کوئی حاصل حق اس جہاں میں اس قدر نایاب تھا واں کہ اس کو نیند مثل مغفرت حاصل رہی یاں کوئی آزردگی سے تا قضا بے خواب تھا جب لکھا دل کا فسانہ بہہ گیا کاغذ کہیں اشک تھے اتنے رواں میرا قلم پر آب تھا شعر ایسے کہہ کے بھی حاصل مرا گم نام ہے ورنہ میرا یہ ہنر تو قابل القاب تھا

Hindi

दिल मिरा सोज़-ए-निहाँ से उम्र भर बेताब था कश्ती-ए-दिल का मुक़द्दर पुर-ख़तर गिर्दाब था वाँ कि आरिज़ सुर्ख़ था रंग-ए-तिला-ए-नाब से याँ वुफ़ूर-ए-अश्क से मिज़्गाँ मिरा सीमाब था जैसे खोजे काफ़िरों में निकहत-ए-ईमाँ कोई हासिल-ए-हक़ इस जहाँ में इस क़दर नायाब था वाँ कि उस को नींद मिस्ल-ए-मग़्फ़िरत हासिल रही याँ कोई आज़ुर्दगी से ता-क़ज़ा बे-ख़्वाब था जब लिखा दिल का फ़साना बह गया काग़ज़ कहीं अश्क थे इतने रवाँ मेरा क़लम पुर-आब था शे'र ऐसे कह के भी हासिल मिरा गुम-नाम है वर्ना मेरा ये हुनर तो क़ाबिल-ए-अलक़ाब था

dil mirā soz-e-nihāñ se umr bhar betāb thā
Ajay Sahaab
Ajay Sahaab
Ajay Sahaab
poet50 quotes

More by Ajay Sahaab

View all →
Quote
"dhire dhire dard kaa ye zaaiqa baDhtaa gayaa jitne bhi aansu mile utnaa nasha baDhtaa gayaa vo bhi kuchh kahte rahe aur ham bhi kuchh kahte rahe phir bhi kyon khaamoshiyon kaa daaera baDhtaa gayaa jis ki qurbat mein guzaari ham ne saari zindagi jaane kyon apnaa usi se faasla baDhtaa gayaa jitnaa duniyaa ne sataayaa jitne us ne gham diye utnaa hi jiine kaa meraa hausla baDhtaa gayaa dauD mein shaamil rahaa main phir bhi kuchh aisaa huaa meri qimat par hamesha dusraa baDhtaa gayaa jo mire jaisaa na ho us ko nahin jiine kaa haq har taraf ye nafraton kaa falsafa baDhtaa gayaa"
Ajay SahaabAjay Sahaab
Quote
"hai mire hind ki tahzib ki paikar urdu apni mushtarka viraasat ki hai dukhtar urdu is ke har lafz mein tahzib ki nuraani hai lafz-e-taabaan liye hai mehr-e-munavvar urdu mulk mere kabhi mahsus kiyaa hai tu ne teri guftaar mein aa jaati hai aksar urdu 'mir' o 'ghaalib' hon yaa 'saahir' se nagine kitne tu ne ham ko diye mumtaaz sukhanvar urdu tere shaidaai hain phulon se tujhe Dhak leinge tujh pe aaeinge siyaasat ke jo patthar urdu hind ki khaak kaa har rang milaa hai tujh mein saari nadiyon se bani hai tu samundar urdu mujh ko ab sirf usi din ki tamanna hai 'sahaab' boli jaaegi mire mulk mein ghar ghar urdu"
Ajay SahaabAjay Sahaab
Quote
"ye miri ghazal kaa mizaaj hai kabhi aag hai kabhi phuul hai kabhi qahqahon kaa hai qaafila kabhi aansuon se malul hai jo de pyaar tu use pyaar de jo de dard us ko mu'aaf kar yahi zindagi kaa hai qaaeda yahi dosti kaa usuul hai yahaan sab hai teraa diyaa huaa miraa jaam bhi miri pyaas bhi tire haath se jo mile agar mujhe tishnagi bhi qubul hai tu chalaa gayaa mujhe chhoD kar mujhe bhulne ki umiid mein mujhe bhuul paaegaa tu kabhi tiraa sochnaa tiri bhuul hai ye tamaddunon ke charaagh saa ye vatan miraa kisi baagh saa jise chhu ke ruuh mahak uThi mire hind vo tiri dhuul hai"
Ajay SahaabAjay Sahaab
Quote
"tiraa hi naam kaafi hai to ghairon kaa bayaan kyon ho nae kirdaar se bojhal ye meri daastaan kyon ho tire bhi paanv baDhte hain miri baahein bhi phaili hain to phir ye faasla itnaa hamaare darmiyaan kyon ho agar hai raahbar saadiq to koi raah dikhlaae jo bhaTke dar-ba-dar aise vo mir-e-kaarvaan kyon ho ho dil mein gham magar pur-nam na ho aankhein kabhi teri chhupaa hai dil mein jo dariyaa vo aankhon se ravaan kyon ho zaraa bazm-e-sukhan dekhe miraa meyaar-e-fan logo diyaa hai jo khudaa ne fan mujhe vo raaegaan kyon ho kai kohsaar dard-o-gham ke duniyaa mein uThaane hain to phir ye hijr ki shab ek mujh par sargiraan kyon ho ye achchhaa hai ki soz-e-ishq mein chup-chaap jal jaaein faqat tashhir ki khaatir 'sahaab' itnaa dhuaan kyon ho"
Ajay SahaabAjay Sahaab
Quote
"tanhaaiyon mein ashk bahaane se kyaa milaa khud ko diyaa banaa ke jalaane se kyaa milaa mujh se bichhaD ke ret saa vo bhi bikhar gayaa us jaane vaale shakhs ko jaane se kyaa milaa ab bhi mire vajud mein har saans mein vahi main sochtaa huun us ko bhulaane se kyaa milaa tu kyaa gayaa ki dil miraa khaamosh ho gayaa in dhaDkanon ke shor machaane se kyaa milaa apne hi ek dard kaa chaara na kar sake saare jahaan kaa dard uThaane se kyaa milaa jis ke liye likhaa use vo to na sun sakaa vo giit mahfilon ko sunaane se kyaa milaa un kaa har ek harf hai dil par likhaa huaa us dost ke khaton ko jalaane se kyaa milaa socho zaraa ki tum ne zamaane ko kyaa diyaa kyuun sochte ho tum ko zamaane se kyaa milaa"
Ajay SahaabAjay Sahaab

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud