Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Ali Raza Razi
bhalaa kashkol ke aage ye kaasa kaun kartaa hai
ho dil apnaa to phir duuje ki aashaa kaun kartaa hai
yahaan ham hain bhare baiThe vahaan un ko bhi ghussa hai
chalo phir dekhte hain ab tamaashaa kaun kartaa hai
· · ·
Ali Raza Razi
kabhi sadiyon ko lamha maartaa hai
kabhi dariyaa ko qatra maartaa hai
kahin par ek ko majme ne maaraa
kahin majme ko tanhaa maartaa hai
· · ·
Ali Raza Razi
jo donon mein judaai marhala hai
yahi vo intihaai marhala hai
tumhaari intihaa dekhi to samjhaa
ye meraa ibtidaai marhala hai
· · ·
Ali Raza Razi
lab jo dekhe tishnagi taDpaa gai
phir nigaah-e-naaz ham ko khaa gai
ham abhi aankhon se lab tak aae the
baat itni thi ki vo sharmaa gai
· · ·
Ali Raza Razi
mein peT se apne khud hi kapDaa uThaa rahaa huun bataa rahaa huun
main apne bachchon ko aaj bhukaa sulaa rahaa huun bataa rahaa huun
bisaat se baDh ke kharch khud ko kiyaa hai main ne miri khataa hai
aur ab main chaadar se paanv apne chhupaa rahaa huun bataa rahaa huun
· · ·
Ali Raza Razi
mere peD ke saare patte sukhe hain
ik ik kar ke Daali se sab TuuTe hain
ro lete hain chhup kar saamne hanste hain
mere ghar mein saare kitne jhuTe hain
· · ·
Ali Raza Razi
tire haathon mein jab ho haath to ham-zor lagtaa hai
magar jab saath chalnaa ho miraa kyuun zor lagtaa hai
mohabbat ke mazaahib mein suno donon hi kaafir hain
tiraa imaan mujhe meraa tujhe kamzor lagtaa hai
· · ·
Ali Raza Razi
dilon mein ghar banaanaa aa gayaa hai
tumhein milnaa milaanaa aa gayaa hai
gae ho siikh munh pe jhuuT kahnaa
tumhein ab sach chhupaanaa aa gayaa hai
· · ·







