Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Anjum Rumani
din ho ki raat, kunj-e-qafas ho ki sehn-e-baagh
aalaam-e-rozgaar se haasil nahin faraagh
raghbat kise ki lijiye aish-o-tarab kaa naam
fursat kahaan ki kijiye sahbaa se pur ayaagh
· · ·
Anjum Rumani
ham se bhi gaahe gaahe mulaaqaat chaahiye
insaan hain sabhi to musaavaat chaahiye
achchhaa chalo khudaa na sahi un ko kyaa huaa
aakhir koi to qaazi-e-haajaat chaahiye
· · ·
Anjum Rumani
har chand unhein ahd faraamosh na hogaa
lekin hamein us vaqt koi hosh na hogaa
dekhoge to aaegi tumhein apni jafaa yaad
khaamosh jise paaoge khaamosh na hogaa
· · ·
Anjum Rumani
nahin naam-o-nishaan saae kaa lekin yaar baiThe hain
uge shaayad zamin se khud-ba-khud divaar baiThe hain
savaar-e-kashti-e-amvaaj-e-dil hain aur ghaafil hain
samajhte hain ki ham dariyaa-e-gham ke paar baiThe hain
· · ·
Anjum Rumani
jab bhi koi baat ki aansu Dhalke saath
ham bhi paagal ho gae man paagal ke saath
raat ko kaali chaandni din ko kaali dhuup
DhunDein aankhein raushni rahein dhundalke saath
· · ·
Anjum Rumani
dukhi dilon ke liye taaziyaana rakhtaa hai
har ek shakhs yahaan ik fasaana rakhtaa hai
kisi bhi haal mein raazi nahin hai dil ham se
har ik tarah kaa ye kaafir bahaana rakhtaa hai
· · ·
Anjum Rumani
hai jo taasir si fughaan mein abhi
log baaqi hain kuchh jahaan mein abhi
dil se uThtaa hai subh-o-shaam dhuaan
koi rahtaa hai is makaan mein abhi
· · ·
Anjum Rumani
zarurat thi ki jo maidaan mein nikle sar-ba-kaf nikle
magar ham hain ki nikle bhi to le kar chang-o-daf nikle
hamin the inqilaab-e-dahr ke paighaambar ik din
hamin ai vaae ab tir-e-halaakat kaa hadaf nikle
· · ·
Anjum Rumani
mausam kaa aah-o-naala se andaaza kijiye
taaza havaa pe band na darvaaza kijiye
yaa chheDiye na manzar-e-naadidani kaa zikr
yaa misl-e-aaftaab baham ghaaza kijiye
· · ·
Anjum Rumani
jahaan tak gayaa kaarvaan-e-khayaal
na thaa kuchh ba-juz hasrat-e-paaemaal
mujhe teraa tujh ko hai meraa khayaal
magar zindagi phir bhi hai khasta-haal
· · ·
Anjum Rumani
yahaan to phir vahi divaar-o-dar nikal aae
kidhar ko yaar chale the kidhar nikal aae
kahaan kaa paa-e-vafaa aur kahaan kaa dasht-e-talab
ki ab to raste kai mukhtasar nikal aae
· · ·
Anjum Rumani
bayaan mein tere har tarz-e-bayaan gum
fasaane mein mire har daastaan gum
na ham gum hain na teraa aastaan gum
magar kuchh silsila hai darmiyaan gum
· · ·
Anjum Rumani
ham se baat mein pech na Daal
yuun mat dil ke chor nikaal
marnaa hai to Darnaa kyaa
chaltaa hai kyuun chor ki chaal
· · ·
Anjum Rumani
hai vaaqia kuchh aur rivaayat kuchh aur hai
yaaron ko yaani ham se shikaayat kuchh aur hai
samjhi gai jo baat hamaari ghalat to kyaa
yaan tarjuma kuchh aur hai aayat kuchh aur hai
· · ·
Anjum Rumani
kuchh ajnabi se log the kuchh ajnabi se ham
duniyaa mein ho na paae shanaasaa kisi se ham
dete nahin sujhaai jo duniyaa ke khatt-o-khaal
aae hain tirgi mein magar raushni se ham
· · ·
Anjum Rumani
jaae khirad nahin hai ki farzaana chaahiye
hu kaa maqaam hai koi divaana chaahiye
hai is mein qaid-e-shahr na viraana chaahiye
bahr-e-faraagh tab-e-faqiraana chaahiye
· · ·







