SHAWORDS

jahaan tak gayaa kaarvaan-e-khayaal — Anjum Rumani

HomeAnjum RumaniGhazal
"jahaan tak gayaa kaarvaan-e-khayaal na thaa kuchh ba-juz hasrat-e-paaemaal mujhe teraa tujh ko hai meraa khayaal magar zindagi phir bhi hai khasta-haal jahaan tak hai dair o haram kaa savaal rahein chup to mushkil kahein to muhaal tiri kaaenaat ek hairat-kada shanaasaa magar ajnabi khadd-o-khaal miri kaaenaat ek zakhm-e-kuhan muqaddar mein jis ke nahin indimaal nai zindagi ke nae makr o fan nae aadmi ki nai chaal-Dhaal hue rukhsat anjum sahar ke qarib na dekhaa gayaa shaayad apnaa maaal"
Urdu

جہاں تک گیا کاروان خیال نہ تھا کچھ بجز حسرت پائمال مجھے تیرا تجھ کو ہے میرا خیال مگر زندگی پھر بھی ہے خستہ حال جہاں تک ہے دیر و حرم کا سوال رہیں چپ تو مشکل کہیں تو محال تری کائنات ایک حیرت کدہ شناسا مگر اجنبی خد و خال مری کائنات ایک زخم کہن مقدر میں جس کے نہیں اندمال نئی زندگی کے نئے مکر و فن نئے آدمی کی نئی چال ڈھال ہوئے رخصت انجم سحر کے قریب نہ دیکھا گیا شاید اپنا مآل

Hindi

जहाँ तक गया कारवान-ए-ख़याल न था कुछ ब-जुज़ हसरत-ए-पाएमाल मुझे तेरा तुझ को है मेरा ख़याल मगर ज़िंदगी फिर भी है ख़स्ता-हाल जहाँ तक है दैर ओ हरम का सवाल रहें चुप तो मुश्किल कहें तो मुहाल तिरी काएनात एक हैरत-कदा शनासा मगर अजनबी ख़द्द-ओ-ख़ाल मिरी काएनात एक ज़ख़्म-ए-कुहन मुक़द्दर में जिस के नहीं इंदिमाल नई ज़िंदगी के नए मक्र ओ फ़न नए आदमी की नई चाल-ढाल हुए रुख़्सत अंजुम सहर के क़रीब न देखा गया शायद अपना मआल

jahāñ tak gayā kārvān-e-ḳhayāl
Anjum Rumani
Anjum Rumani
Anjum Rumani
poet34 quotes

More by Anjum Rumani

View all →
Quote
"ham se bhi gaahe gaahe mulaaqaat chaahiye insaan hain sabhi to musaavaat chaahiye achchhaa chalo khudaa na sahi un ko kyaa huaa aakhir koi to qaazi-e-haajaat chaahiye hai aaqibat kharaab to duniyaa hi Thiik ho koi to surat-e-guzar-auqaat chaahiye jaane palak jhapakne mein kyaa gul khilaae vaqt har dam nazar ba-surat-e-haalaat chaahiye aaegi ham ko raas na yak-rangi-e-khalaa ahl-e-zamin hain ham hamein din raat chaahiye vaa kar diye hain ilm ne dariyaa-e-maarifat andhon ko ab bhi kashf o karaamaat chaahiye jab qais ki kahaani ab anjum ki daastaan duniyaa ko dil lagi ke liye baat chaahiye"
Anjum RumaniAnjum Rumani
Quote
"har chand unhein ahd faraamosh na hogaa lekin hamein us vaqt koi hosh na hogaa dekhoge to aaegi tumhein apni jafaa yaad khaamosh jise paaoge khaamosh na hogaa guzre hain vo lamhe ki sadaa yaad raheinge dekhaa hai vo aalam ki faraamosh na hogaa ham apni shikaston se hain jis tarah baghal-gir yuun qabr se bhi koi ham-aaghosh na hogaa pi jaate hain zahr-e-gham-e-hasti ho ki mai ho ham saa bhi zamaane mein balaa-nosh na hogaa hone ko to duniyaa mein kai parda-nashin hain lekin tiri surat koi ru-posh na hogaa paaoge na aazaad-e-gham-anjum kisi dil ko hogaa gham-e-fardaa jo gham-e-dosh na hogaa"
Anjum RumaniAnjum Rumani
Quote
"nahin naam-o-nishaan saae kaa lekin yaar baiThe hain uge shaayad zamin se khud-ba-khud divaar baiThe hain savaar-e-kashti-e-amvaaj-e-dil hain aur ghaafil hain samajhte hain ki ham dariyaa-e-gham ke paar baiThe hain ujaaD aisi na thi duniyaa abhi kal tak ye aalam thaa yahaan do-chaar baiThe hain vahaan do-chaar baiThe hain phir aati hai isi sahraa se aavaaz-e-jaras mujh ko jahaan majnun se divaane bhi himmat haar baiThe hain samajhte ho jinhein tum sang-e-mil ai qaafile vaalo sar-e-rah khastgaan-e-hasrat-raftaar baiThe hain ye jitne masale hain mashghale hain sab faraaghat ke na tum be-kaar baiThe ho na ham be-kaar baiThe hain tumhein 'anjum' koi us se tavaqqo ho to ho varna yahaan to aadmi ki shakl se be-zaar baiThe hain"
Anjum RumaniAnjum Rumani
Quote
"jab bhi koi baat ki aansu Dhalke saath ham bhi paagal ho gae man paagal ke saath raat ko kaali chaandni din ko kaali dhuup DhunDein aankhein raushni rahein dhundalke saath maarein Taamak-Toiye andhiyaare mein log taare saare bujh gae dil ke kanval ke saath aaj hai man mein ran paDaa aaj ki rakkho laaj jhuTi kal ki dosti jhuTe kal ke saath paap karo ji khol kar dhabbon ki kyaa soch jab ji chaahaa dho liye gangaa-jal ke saath guru to khair guru huaa us ki bhali kahi chaltaa hai kyaa baalakaa uchhal uchhal ke saath rail bajaae siTiyaan dauDo vaqt chalaa huqqa piine chaudhari gayaa ajal ke saath toton ne hain aaj kal khole yahaan schōl bailon ne hain aadmi juute hal ke saath aan ki aan mein ho gai duniyaa aur se aur ham tum baiThe rah gae biite pal ke saath duniyaa ki ye riit hai maange bhiik na de paae vahi jo chhin le baDh kar bal ke saath koi vaqt ko rok lo gayaa na aae haath aataa pal bhi lo gayaa jaate pal ke saath ghar baiThe hogi nahin vahshat dil ki duur raas rachi hai shahr mein dekho chal ke saath madh maate kaa saath kyaa aai lahr gayaa partav le man baanvaraa har aanchal ke saath ham ko dekho pi gae maTke zahr bhare tum to be-sudh ho gae ik botal ke saath jaataa thaa ik qaafila rup-nagar ki aur ham bhi 'anjum' ho liye bhes badal ke saath"
Anjum RumaniAnjum Rumani
Quote
"dukhi dilon ke liye taaziyaana rakhtaa hai har ek shakhs yahaan ik fasaana rakhtaa hai kisi bhi haal mein raazi nahin hai dil ham se har ik tarah kaa ye kaafir bahaana rakhtaa hai azal se Dhang hain dil ke ajiib se shaayad kisi se rasm-o-rah ghaaebaana rakhtaa hai koi to faiz hai koi to baat hai is mein kisi ko dost yunhi kab zamaana rakhtaa hai faqih-e-shahr ki baaton se dar-guzar behtar bashar hai aur gham-e-aab-o-daana rakhtaa hai muaamlaat-e-jahaan ki khabar hi kyaa us ko muaamlaa hi kisi se rakkhaa na rakhtaa hai hamin ne aaj tak apni taraf nahin dekhaa tavaqquaat bahut kuchh zamaana rakhtaa hai qalandari hai ki rakhtaa hai dil ghani 'anjum' koi dukaan na koi kaar-khaana rakhtaa hai"
Anjum RumaniAnjum Rumani
Quote
"din ho ki raat, kunj-e-qafas ho ki sehn-e-baagh aalaam-e-rozgaar se haasil nahin faraagh raghbat kise ki lijiye aish-o-tarab kaa naam fursat kahaan ki kijiye sahbaa se pur ayaagh viraana-e-hayaat mein aasuda-khaatiri kis ko milaa is aahu-e-ram-khurda kaa suraagh aasaar-e-ku-e-dost hain aur paa-shikastagi khushbu-e-zulf-e-yaar hai aur ham se be-dimaagh kis ki jabin pe hain ye sitaare araq araq kis ke lahu se chaand kaa daaman hai daagh daagh karte hain kasb-e-nur isi tirgi se ham 'anjum' hain dil ke daagh guhar-haa-e-shab-charaagh"
Anjum RumaniAnjum Rumani

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi