Quote
"na ho nahin hai agar us kaa shiin qaaf durust vo haq pe hai to nahin is se ikhtilaaf durust ta'alluqaat ki tajdid ke liye yaaro hai apni apni kami kaa ye e'tiraaf durust azaab jhaank rahaa hai zaraa to fikr karo nahin hai ghar ke kivaaDon mein ye shigaaf durust ye raushni to mataaa-e-nazar ki dushman hai miri nazar mein hai ab is se inhiraaf durust zaraa tum apni hadon kaa bhi jaaeza le lo ye maantaa huun ki hai mujh se ikhtilaaf durust ye justuju to kisi saae kaa taaaqub hai huaa hai mujh pe achaanak ye inkishaaf durust milegaa kyaa tujhe 'anvar-shamim’ baaz aa jaa nahin hai is dar-e-daulat kaa ye tavaaf durust"







