SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAsra Rizvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

aag jo dil mein lagi hai vo bujhaa di jaae

phir koi taaza ghazal aaj sunaa di jaae

zinat-e-jism bane ruuh ko chhalni kar de

aisi har rasm zamaane se miTaa di jaae

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

udaas aankhein ghazaal aankhein

javaab aankhein savaal aankhein

hazaar raaton kaa bojh uThiye

vo bhigi palkein vo laal aankhein

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

baalidagi-e-zarf pe dikhlaae gae log

har gaam pe gum-naam hai miTvaae gae log

is farsh-e-tilismi ko ataa kar di faraaghat

yuun tasht-e-farebi mein hi bikhraae gae log

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

adaavaton kaa ye us ko sila diyaa ham ne

anaa ko us ki hamin mein Dubaa diyaa ham ne

malaal-o-huzn se ho kar guzarti raahon ko

yaqin-o-shauq se paiham milaa diyaa ham ne

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

main tire shahr mein phirti rahi maari maari

kabhi gulshan kabhi sahraa kabhi vaadi vaadi

raah pur-peinch thi tanhaai thi andhiyaaraa thaa

bebasi kahti rahi dasht mein haadi haadi

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

kargas ko surkhaab banaanaa chaahoge

haasil ko naayaab banaanaa chaahoge

kyaa mushkil ko mushkil hi rahne doge

dariyaa ko paayaab banaanaa chaahoge

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

aisaa ye dard hai ki bhulaayaa na jaaegaa

meaar-e-ishq un se baDhaayaa na jaaegaa

is baar un se kah do qadam soch kar rakhein

ujDaa jo phir ye shahr basaayaa na jaaegaa

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

dard ki jot mire dil mein jagaane vaale

roz paighaam nayaa de ke rulaane vaale

kaise likh duun main tire naam fasaana koi

biich manjdhaar mein kushti ko Dubaane vaale

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

vo shakhs phir kahaani kaa unvaan ban gayaa

main dard likh rahi thi vo divaan ban gayaa

gardish mein chaaron samt rahe us ke lafz lafz

kuchh yuun huaa ke aaj vo mehmaan ban gayaa

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

kabhi mushkil mein jo paD jaae zarurat mohsin

mujhe mil paaegi kyaa teri himaayat mohsin

saath detaa he shab-e-gham mein kahaan saaya bhi

kyaa nibhaaegi vafaa teri mohabbat mohsin

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

ye aag mohabbat ki bujhaae na bujhe hai

bujh jaae jo ik baar jalaae na jale hai

TuuTaa jo bharam rishton mein ehsaas-o-vafaa kaa

sau tarah nibhaao to nibhaae na nibhe hai

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

main sach to kah duun par us ko kahin buraa na lage

mire khayaal ki yaarab use havaa na lage

ajiib tarz se ab ke nibhaayaa ulfat ko

vafaa jo ki hai to is tarah ki vafaa na lage

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

khud ko duniyaa mein na uljhaao khudaa-raa mohsin

us ke paighaam kaa samjho to ishaaraa mohsin

baiTh jaanaa kahin thak haar ke zebaa hai kyaa

tu zamaane kaa zamaana hai tumhaaraa mohsin

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

be-sabab khauf se dil meraa laraztaa kyuun hai

baat-be-baat yunhi khud se ulajhtaa kyuun hai

shor aise na kare bazm mein khaamosh rahe

ik tavaatur se khudaa jaane dhaDaktaa kyuun hai

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

raat phir khvaab mein aane kaa iraada kar ke

chaand Dubaa hai abhi mahv-e-nazaara kar ke

tishnagi had se guzar jaaegi saahil ke qarib

faaeda kyaa hai samundar kaa taqaazaa kar ke

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

zindagi uljhi hai bikhre hue gesu ki tarah

gham piye jaate hain umDe hue aansu ki tarah

aaj vahshat kaa ye aalam hai ki har insaan hai

dasht-e-tajrid ke bhaage hue aahu ki tarah

· · ·

GhazalAsra Rizvi

Asra Rizvi

phir koi taaza-sitam vo sitam-ijaad kare

kaash is karb-e-taghaaful se ab aazaad kare

kahin banjar hi na ho jaae mire dil ki zamin

laala-e-zakhm se is kisht ko aabaad kare

· · ·