SHAWORDS

baalidagi-e-zarf pe dikhlaae gae log — Asra Rizvi

HomeAsra RizviGhazal
"baalidagi-e-zarf pe dikhlaae gae log har gaam pe gum-naam hai miTvaae gae log is farsh-e-tilismi ko ataa kar di faraaghat yuun tasht-e-farebi mein hi bikhraae gae log qismat ki lakiron mein jinhein baandh ke rakkhaa aazaadi ki masnad pe bhi biThlaae gae log har roz nayaa ek tamaasha huaa jaari aaraaish-e-duniyaa mein jo uljhaae gae log pechidgi-e-fikr mein kyaa khuub phansaayaa ehsaas ke shaanon se hi suljhaae gae log duniyaa mein darindon ko baDe fakhr se bhejaa har zulm pe phir sabr se samjhaae gae log ik khauf thaa us jaa-e-pareshaan ki fazaa mein be-khauf jo kuchh nikle vo dhamkaae gae log be-khaufi se jab khauf baDhaa ahl-e-jahaan kaa maqtul hue khaak mein dafnaae gae log haq chup hi rahe lab na khulein sar na uThaae is vaaste be-maut bhi marvaae gae log nairangi-e-kirdaar pe hairaan hain 'asraa' sau pahlu se ik bazm mein milvaae gae log"
Urdu

بالیدگئی ظرف پہ دکھلائے گئے لوگ ہر گام پہ گم نام ہے مٹواے گئے لوگ اس فرش طلسمی کو عطا کر دی فراغت یوں طشت فریبی میں ہی بکھرائے گئے لوگ قسمت کی لکیروں میں جنہیں باندھ کے رکھا آزادی کی مسند پہ بھی بٹھلائے گئے لوگ ہر روز نیا ایک تماشہ ہوا جاری آرائش دنیا میں جو الجھائے گئے لوگ پیچیدگی فکر میں کیا خوب پھنسایا احساس کے شانوں سے ہی سلجھائے گئے لوگ دنیا میں درندوں کو بڑے فخر سے بھیجا ہر ظلم پہ پھر صبر سے سمجھائے گئے لوگ اک خوف تھا اس جائے پریشاں کی فضا میں بے خوف جو کچھ نکلے وہ دھمکائے گئے لوگ بے خوفی سے جب خوف بڑھا اہل جہاں کا مقتول ہوئے خاک میں دفنائے گئے لوگ حق چپ ہی رہے لب نہ کھلیں سر نہ اٹھائے اس واسطے بے موت بھی مروائے گئے لوگ نیرنگیٔ کردار پہ حیران ہیں اسریٰؔ سو پہلو سے اک بزم میں ملوائے گئے لوگ

Hindi

बालीदगी-ए-ज़र्फ़ पे दिखलाए गए लोग हर गाम पे गुम-नाम है मिटवाए गए लोग इस फ़र्श-ए-तिलिस्मी को अता कर दी फ़राग़त यूँ तश्त-ए-फ़रेबी में ही बिखराए गए लोग क़िस्मत की लकीरों में जिन्हें बाँध के रक्खा आज़ादी की मसनद पे भी बिठलाए गए लोग हर रोज़ नया एक तमाशा हुआ जारी आराइश-ए-दुनिया में जो उलझाए गए लोग पेचीदगी-ए-फ़िक्र में क्या ख़ूब फँसाया एहसास के शानों से ही सुलझाए गए लोग दुनिया में दरिंदों को बड़े फ़ख़्र से भेजा हर ज़ुल्म पे फिर सब्र से समझाए गए लोग इक ख़ौफ़ था उस जा-ए-परेशाँ की फ़ज़ा में बे-ख़ौफ़ जो कुछ निकले वो धमकाए गए लोग बे-ख़ौफ़ी से जब ख़ौफ़ बढ़ा अहल-ए-जहाँ का मक़्तूल हुए ख़ाक में दफ़नाए गए लोग हक़ चुप ही रहे लब न खुलें सर न उठाए इस वास्ते बे-मौत भी मरवाए गए लोग नैरंगी-ए-किरदार पे हैरान हैं 'असरा' सौ पहलू से इक बज़्म में मिलवाए गए लोग

bālīdagī-e-zarf pe dikhlā.e ga.e log
Asra Rizvi
Asra Rizvi
Asra Rizvi
poet17 quotes

More by Asra Rizvi

View all →
Quote
"udaas aankhein ghazaal aankhein javaab aankhein savaal aankhein hazaar raaton kaa bojh uThiye vo bhigi palkein vo laal aankhein vo subh kaa vaqt niind kachchi khumaar se be-misaal aankhein bas ik jhalak ko taDap rahi hain rahin-e-shauq-e-visaal aankhein jhuki jhuki si mundi mundi si amin-e-naaz-e-jamaal aankhein vo hijr ke mausamon se uljhi thaki thaki si niDhaal aankhein na jaane kyuun khoi khoi si hain bujhi bujhi pur-khayaal aankhein hain shokhiyon se chhalakne vaali mohabbaton se nihaal aankhein agar nigaahon se mil gaiin to kareingi jiinaa muhaal aankhein chhupe hue hain hazaar jazbe balaa ki hain ye kamaal aankhein"
Asra RizviAsra Rizvi
Quote
"adaavaton kaa ye us ko sila diyaa ham ne anaa ko us ki hamin mein Dubaa diyaa ham ne malaal-o-huzn se ho kar guzarti raahon ko yaqin-o-shauq se paiham milaa diyaa ham ne misaal ban gai mahbub aur habib ki zaat ye aaina sar-e-aalam dikhaa diyaa ham ne tamaam jabr-o-tashaddud ki had bhi khatm hui ki jab se sabr ko mehvar banaa diyaa ham ne kisi khayaal kaa aanaa muhaal hai ab to tasavvuraat kaa khema jalaa diyaa ham ne abhi bhi ungli uThaane ki rasm baaqi hai har ik sabab ko agarche miTaa diyaa ham ne ab aur gharq-e-tajassus na ho miri khaatir tumhein to faisla apnaa sunaa diyaa ham ne ye laazmi hai ki 'asraa' bhulaa diyaa jaae jo raaz dil ki zamin mein dabaa diyaa ham ne"
Asra RizviAsra Rizvi
Quote
"main tire shahr mein phirti rahi maari maari kabhi gulshan kabhi sahraa kabhi vaadi vaadi raah pur-peinch thi tanhaai thi andhiyaaraa thaa bebasi kahti rahi dasht mein haadi haadi uljhanein aur kasak ho gai taqdir miri khaanqaahon mein bhi jhaank aae hain jaali jaali chhiD gayaa phir dil-e-betaab par ik saaz nayaa rukh-e-hasti pe chhalakne lagi laali laali jaane kaisi ye taDap hai nahin rukne deti jo thake mere qadam aah main haari haari ratjagon kaa bhi asar hone lagaa hai kuchh kuchh surkh rahne lagi aankhein miri kaali kaali husn hi husn thaa aur jalve hi jalve har-su kaanpte honTon se kahti rahi vaari vaari muntazir jis ki rahi us ne to dekhaa bhi nahin baaqi sab aa ke mile bazm mein baari baari us ke jaane ke tasavvur se bhar aaiin aankhein dil miraa lagne lagaa khud mujhe khaali khaali"
Asra RizviAsra Rizvi
Quote
"kargas ko surkhaab banaanaa chaahoge haasil ko naayaab banaanaa chaahoge kyaa mushkil ko mushkil hi rahne doge dariyaa ko paayaab banaanaa chaahoge chashm-e-karam ki lazzat bhi mil jaaegi aankhon ko khunaab banaanaa chaahoge bazm-e-chaman viraan hai tum kab aaoge kab is ko shaadaab banaanaa chaahoge jis ke kinaare pyaasaa pyaasaa mar jaae paani ko tezaab banaanaa chaahoge jangal jangal aag lagaae jaate ho shoalon mein girdaab banaanaa chaahoge sajda karne degi ye maghrur anaa peshaani mahtaab banaanaa chaahoge"
Asra RizviAsra Rizvi
Quote
"aisaa ye dard hai ki bhulaayaa na jaaegaa meaar-e-ishq un se baDhaayaa na jaaegaa is baar un se kah do qadam soch kar rakhein ujDaa jo phir ye shahr basaayaa na jaaegaa jo log bughz dil mein chhupaae hain aaj bhi un se mire makaan mein aayaa na jaaegaa haq baat bolne se kiyaa jis kisi ne khauf mahfil mein phir kabhi bhi bulaayaa na jaaegaa the muttafiq to baat se meri sabhi magar sheva miraa khayaal banaayaa na jaaegaa shaayad isi liye nahin aae vo mere paas jo aa gae to chhoD ke jaayaa na jaaegaa gar ehtiraam kar na sake bazm-e-naaz kaa sharmindagi se sar ko uThaayaa na jaaegaa zahr-aab mere vaaste vo le to aaegaa saaqi se jaam ham ko pilaayaa na jaaegaa 'asraa' banaa lo shauq ko apne junun ki aag ik baar bujh gai to jalaayaa na jaaegaa"
Asra RizviAsra Rizvi
Quote
"aag jo dil mein lagi hai vo bujhaa di jaae phir koi taaza ghazal aaj sunaa di jaae zinat-e-jism bane ruuh ko chhalni kar de aisi har rasm zamaane se miTaa di jaae sunte hain ishq kaa baazaar bahut garm hai phir qimat-e-husn zaraa aur baDhaa di jaae ik jhalak ke liye sau baar sar-e-baam gayaa aatish-e-shauq ko kuchh aur havaa di jaae raaz siine mein dabaa hai jo sar-e-bazm kahun sirf ik baar mujhe us ki razaa di jaae zindagi dhuup mein jalte hue kaaTi jis ne saaya mil jaae koi us ko duaa di jaae jaa-ba-jaa aks meri aankhon mein ubhre jis kaa us ki tasvir bhi ab dil se haTaa di jaae vaqt aajil hai safar tuul hai dam aankhon mein rukh-e-jaanaan se naqaab ab to uThaa di jaae tishnagi aankh ki kam ho koi surat nikle pas-e-parda hi jhalak kaash dikhaa di jaae munjamid koh-e-nidaa par hai taghaaful se tire hiddat-e-chashm-e-karam us pe luTaa di jaae muskuraate hue sar siine pe rakh kar bole maraz-e-ishq hai laazim hai davaa di jaae ye bhi mumkin hai magar tab ki vo khud aa ke kahe baat jo dil ko dukhaati hai bhulaa di jaae"
Asra RizviAsra Rizvi

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud