Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Azbar Safeer
chhoDo ye baat-chit bhi kis kaa hai kyaa huaa
achchhaa huaa hai yaar jo achchhaa buraa huaa
dhire se chalnaa chaahiye thaa bhaagne lage
ham ne kharaab kar liyaa rasta banaa huaa
· · ·
Azbar Safeer
javaab maangaa to ulTaa savaal karne lage
hamaare ahd ke bachche kamaal karne lage
baDe buzurg parindon se pyaar karte the
so ham bhi sabz ruton kaa khayaal karne lage
· · ·
Azbar Safeer
log aae hi nahin mujh ko mayassar aise
jo mujhe kahte ki aise nahin 'azbar' aise
jaisaa main huun mire chehre ki hansi jaisi hai
ghaur se dekh ki hote nahin joker aise
· · ·
Azbar Safeer
zamin banaai nae zaaviye banaane paDe
kahin pe qaus kahin daaere banaane paDe
kahin thi raushni matlub aur kahin raunaq
kahin charaagh kahin qumqume banaane paDe
· · ·
Azbar Safeer
chameli raat kah rahi thi meri bu liyaa karein
aur is se ji nahin bhare to mujh ko chhu liyaa karein
gar aap ko bhi shauq hai qad-aavari kaa yuun karein
zamin mein paanv gaaD kar zaraa numu liyaa karein
· · ·
Azbar Safeer
chuTki kaaTo zaraa hilaao mujhe
main yahin huun yaqin dilaao mujhe
roz ik jhiil raah takti hai
khinch letaa hai ik alaav mujhe
· · ·
Azbar Safeer
siyaah shab ki balaaon ke haath lag gae the
mire charaagh havaaon ke haath lag gae the
vo le ke katranein guDiyaa banaane lag gai thi
ki shahr-zaadi ko gaanv ke haath lag gae the
· · ·
Azbar Safeer
be-yaqini ke Dar se TuuT gae
ham jo dast-e-hunar se TuuT gae
tum nahin jaante ki kitne dil
haadse ke asar se TuuT gae
· · ·
Azbar Safeer
visaal-rut ki kamaai samajh mein aane lagi
judaa hue to judaai samajh mein aane lagi
qafas ke paar ki duniyaa kaa husn khilne lagaa
rihaa hue to rihaai samajh mein aane lagi
· · ·
Azbar Safeer
jaane kaisaa sog manaayaa jaataa hai
kuchh qabron par diyaa jalaayaa jaataa hai
kuchh jismon ki lazzat puuri karne ko
kuchh jismon ko khinch ke laayaa jaataa hai
· · ·
Azbar Safeer
ab ke ye baat zehn mein Thaani hai aur bas
ham ne to apni jaan bachaani hai aur bas
nuqsaan to hamaaraa hai kachche gireinge ham
tum ne to ek shaakh hilaani hai aur bas
· · ·







